Dear teenagers
Kaise ho?? umid karti hu thik hoge!
Toh yeh kahani suru hoti hai ek ldki jiska name hai "Lisa" jo ki bachpan mai toh bhot achi thi padhai mai lekin ab bhot confused rehti hai khud ko leke.kafi insecure hai apne looks ko leke aur choti choti bate usse rula deti hai. Halaki uske parents kafi supportive par kbhi kbhi usse nhi smjh pate aur ye unki bhi glti nhi. Aur tumhari bhi nhi ; kbhi kbhi vo apne parents pe gussa kar deti hai aur bad mai usse bhot regret hota hai tumhara hal bhi kuch aisa hi hoga na! Jyada socho mt mai tumhari didi bhi aisi hi thi! bs tumhare hormone mai changes aa rhe hai isliye tum bhi aise react kar dete ho aur kuch nhi.
Lisa class 8 mai padhti hai par usse lgta hai vo kafi duniya ke bare mai Jaan gyi hai. Usse lgta hai uske parents use nhi samjhte aur uski jindgi bhot bekar hai. Ek din uske Papa usse mela dikhane le gye aur uski mulakat uske hi hum umar ki ldki " srishti " se hui uske kapde thode dirty the uski aakhe baya kar rhi thi ki jindgi mai aas ke alawa kuch nhi hai.vo apni mummy ke sath kam kar rahi thi aur apne hum umar ke bacho ko apni aas bhari aakho se dekh rhi thi.
Lisa ne usse puchha tumhara name kya hai usne bola " srishti" kitni ajeeb bat hai na jiske name ka mtlb hi duniya ho vo apne jarurat ke chijo ke liye bhi pareshan hai." Lisa ne bola tumhare papa kaha hai aur tum chai ki dukan pe kam kyu kar rhi ho! Tum school nhi jati "srishti ne palat kar dekha aur bola papa nhi hai chodkar chle gye aur maa bimar rehti hai sare ghar ki jimmedariya mujhpe hai. Lisa ne bola tumhe school jane ka mann nhi hota kya. Jana toh hai lekin jimmedariya "khwahish " se badi hoti hai!
Ek 14 sal ki bachi mai 20 ki samjhdari aa jaye toh soch lena bachpana chin gya hai uska. Sham hone wali thi lisa apne ghar aa gyi papa ke sath par vo sristi ko nhi bhul paa rhi thi .uski din charya bhi kisa ka sapna ho skta hai ye biswas karna uske liye muskil tha.
Apki jaisi jindgi jina bhi kisi ka sapna hai! Be great full for what you have.