ARC:1 THE BEGINNING
Chapter 1 - "Pehli Shakti Ka Jaagran"
(Scene: Ek andheri gali, raat ka samay. Baarish tez ho rahi hai. Varanasi ki chhoti-chhoti sadkon par paani bhar gaya hai. Camera zoom karta hai ek purane, tute-phute mandir par, jismein bas ek matti ka diya jal raha hai.)
(Aarav Sen, ek 19-year-old college student, mandir ke andar aata hai. Uske kapde geele hain, saans tez chal rahi hai. Uske haath me ek purani, kali pustak hai-jo use ek ajeeb si ghanti ki awaz sunakar yahan le aayi hai.)
[Mandir Ka Andar]
Aarav (andar dheere se aata hai, halke halke kadam rakhta hai):
"Yeh jagah... mujhe yahan aane ka mann kyun ho raha tha?"
(Mandir ke andar purani moortiyan hain, aur ek bade saand ki murti ke neeche ek chhoti si chhatri lagi hai, Wahan ek patthar ka chowki hai jismein ek kaali kitaab rakhi hai. Aarav dheere se us kitaab ke paas jaata hai.)
Aarav (apne aap se) "Yeh... yeh kya hai? Ek kitaab? Par itni ajeeb energy kyun aa rahi hai isse?"
(Jaise hi Aarav kitaab uthata hai, ek tez hawa chalti hai. Mandir ke diye bujh jaate hain. Uske aas paas ka mahaul ekdum thanda ho jaata hai. Ek ajeeb si laal roshni kitaab ke andar se nikalti hai aur hawa mein ghul jaati hai.)
(Aur phir... ek gungunahat wali bhayanak awaaz sunai deti hai. Ek aatma jaisi parchhayi mandir ke kone se nikalti hai Uski aankhein laal hain, aur uske haath lambe, nokile dikhte hain.)
[Raktaj Ka Prakat]
(Parchhayi dheere dheere Aarav ke saamne ek
insani roop leti hai. Uska sharir andheron se bana hai, jaise dhuaan ho. Uski awaaz ek saath bahut saari awaazon jaisi lag rahi hai-ek saath saras, ek saath bhayanak.)
???
"Badhai ho, Aarav Sen... ab tu bhi is khel ka ek hissa hai."
(Aarav peeche hatne lagta hai, par ek dum se uske pair jam jaate hain. Uska shareer ek ajeeb si bhaari energy mehsoos karta hai.)
Aarav (darr ke saath): "Tu... tu kaun hai?! Yeh sab kya ho raha hai?"
(Woh parchhayi dheere se muskurati hai. Uski laal aankhein aur chamakne lagti hain.)
"Mera naam... Raktaj hai. Main ek shraapit aatma hoon, jo sirf unhi logon ke samne aata hai jo Shakti Ke Saat Seals ka chayanit yodha hote hain."
(Aarav ki saansein tez ho jaati hain. Uska dil zor zor se dhadak raha hai. Woh kitaab uske haath se neeche gir jaati hai, par jaise hi woh zameen se takrati hai, ek tez aag ka gola uske aas paas fail jaata hai.)
(Aarav ke haath ke aas paas kaali aag jaine lagti hai. Uske haath kaanp rahe hain, par use koi dard mehsoos nahi ho raha.)
[Aarav Ka Pehla Parikshan)
Raktaj (halki hasi ke saath):
"Yeh hai Kaala Agni- teri pehli Shakti Seal ki shakti. Yeh sirf shareer nahi, aatma tak ko jala sakti hai"
(Aarav shock mein hai. Woh apne haathon ko dekhta hai, jismein ab ek nayi shakti daud rahi
hai. Uski aankhon ke samne duniya dheere dheere badalne lagti hai. Uske doston ki
tasveerein, uska college life-sab ek sekend ke liye blur ho jaata hai.)
Aarav (gusse aur confusion se): "Mujhe yeh shakti nahi chahiye! Mujhe bas
apni normal zindagi jeeni hai!"
(Raktaj dheere se uske kareeb aata hai. Uski awaaz ab ekdum gehri aur shant ho chuki hai)
Raktaj
"Jab ek baar yeh kitaab kisi insaan ko chun leti hai... toh uske jeevan ka ek naya adhyaay likha jaata hai."
(Achanak mandir ke darwaze zor se khul jaate hain. Tez hawa chalne lagti hai. Bahar koi tez kadam chalta hai. Ek aur insaan mandir ke andar enter karta hai.)
(Yeh hai Anaya Rathore-ek lambi height wali,
lambay balon wali ladki jo ek trishool ke aakar ka talwar lekar khadi hai. Uski aankhein gusse
se bhari hain.)
Anaya:
"Aarav Sen... tujhe yeh shakti kabhi nahi milni chahiye thi
(Aarav ab ek naye battlefield par khada hai. Ek taraf ek bhayanak aatma-Raktaj. Doosri taraf
ek ladki jo use rokne aayi hai. Yeh kahani ab
shuru ho chuki hai.)