Download Chereads APP
Chereads App StoreGoogle Play
Chereads

The Immortal Memory

Lokesh_Makhijani
14
chs / week
The average realized release rate over the past 30 days is 14 chs / week.
--
NOT RATINGS
71
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - 1. Ankahi shuruaat

Viwan Apne gaon Kuldhra (rajasthan) ka sabse honhaar ladka tha fir chahe vah padhaai ko lekar Ho ya fir kisi kam ke prati lagan aur mehnat Ko lekar vah hamesha sabse ghul milkar Raha karta hun aur vah kafi jyada samajhdar bhi Jao aur ISI samajhdari ke chalte vah kafi jald samajh gaya ki uska gaon duniya se kafi jyada pichachad chuka hai aur ISI pichadepan ki vajah se gaon mein berojgari aur akal pdna Jaisi chijon ka janm hona shuru ho chuka hai. Esa kahana glt nhi hoga ki 1910 ka yeh samay is kuldhara ganv ke liye kisi abhishap ki tarah tha.

Gaon mein maujud sabhi log viwan ko kafi jyada achcha Insan mante the lekin fir bhi viman ab tk koi itne bade pad per nahin tha ki koi uski baton ko gambhirta se sunna bhi jaruri samjhe. isiliye vivan ne apne star per aisi chijon ko dhundhna shuru Kiya Jo ki gaon ki tarkki mein Sahyog dete hue is gaon Ko duniya ke sath kandhe se kandha milakar chalane mein madad kar sake. iske liye viman ne apne star per jila collector mantri or tmam officers me apni arji lgayi. Lekin har or se use sirf nirasha hi hath lagi vah ine sab chijon se kafi jyada pareshan gaon ki ek chai ki tapri per baitha hi tha tabhi uska koi dost vahan per ek kagaj ke tukde ko lekar pahuncha. Jo kisi purane akhbar ki raddi se use mila tha.

Ki tabhi viwan ne usse poochha are bhai aajkal yah kaun sa naya kam shuru kiye ho tum hamen to nahin bataen humse koi narajagi hai kya ki tabhi viman ka dost bola bhai yah koi naya Kam nahin balki Teri sabhi pareshaniyon ka hal hai. aao batata hun kaise.

Iski jyadatar jankari to yahan se kisi ne faad Li hai Lekin fir bhi ismein spasht roop se ek University ka vivaran Kiya hua hai Jahan per yadi tumhara selection ho jata hai to tumhare pass jarurat ki tamam chijen hongi jisse Tum is gaon ka Bhala kar pao jismein Jaan pahchan aur jarurat ke anusar Aisa tumhen mil jaega lekin uske liye tumhen ek exam pass karna hoga jo tumhare liye thoda kathin ho sakta hai agar tum exam ki taiyari karna chaho to main tumhare ismein madad kar sakta hun.

Viwan Apne dost ki is baat Ko sunkar kafi jyada prafullit ho jata hai aur Bina kuchh soche sidha use kahate Hain mere Bhai tune sach mein meri sari pareshaniyon ko dur kar diya ab main din Raat ek karke kisi bhi tarike se is exam ko jarur pass karunga aur tum dekhna main is gaon ka naksha Puri tarike se Badal dunga ab tum jaldi se mujhe yah batao ki aakhir is Pariksha mein pass hone ke liye mujhe karna kya hoga physical test hai ya FIR ismein sirf dimag ki yogyata Ko dekha jaega ya kisi vishay Vishesh mein mujhe behtar hone ki avashyakta hai mujhe jaldi batao mujhse ab rha nahi ja rha.

Viwan ka dost use exam se judi sabhi bato kafi jyda detail me btata hai. Or exam ke star ke bare mein itni jyada gambhirta ko dekhte hue koi bhi aur candidate is exam ke bare mein bolkar bhi nahin sochta lekin hamara Vivah Aisa nahin tha usne Jo ek bar soch Liya vah use karke hi dam leta tha aur isiliye Bina kisi aur chij ki parvah kiye usne sidha sawal Kiya ki aakhir use exam ki bharti shuru hogi.

Lekin viman kuchh aur poochh pata uske pahle hi uske dost ne use roka aur kaha are mere Bhai Tum Jara thehro hamare pass tumhari buddhi per prashn karne ke alava bhi ek aur badi samasya hai aur vah yah hai ki use exam mein hissa lene ke liye tumhen ₹200000 ka intejaam karna hoga jisme ki tumhare dwara Di jaane wali Pariksha ka shulk aur Pariksha ke dauran tumhare wha rhne or khane ka jo kharcha shamil hai.

Viwan ne yha bhi har na mante huye bade ullas ke sath kha ki me apne pushteni ghar ko bech kar wo pese lekr aaunga. Or wese bhi mata pita ke jane k bad itna bda ghar muje katne ko dodta hai.

Or ek tarah s acha h hoga jagah badlunga to shayad muje unki yad ana bhi band hojay. Or dekhna wo bhi muje is nek kam ko karta dekh kafi jyda khush honge.

Shyam use itna khush dekh uske liye kitabo ka intezam krne chala jata hai.

Shyam ne kuch kadam aage bdaye hi the ki use piche se kisike chikhne k awaj ati hai. Jab wah piche mudkr dekhta hai to pata hai ki vivan apna sir pkdkr jor se chikhe jaa rha hai.

Shyam kafi dar chuka tha k achanak ise ab kya hua. Or unke ganv me to dur dur tk koi asptal bhi n tha to akhir is halat me kese iska ilaj kiya jaye. Or jitni jor ki chikhe ye nikal rha hai iska dard shn krne yogy to bilkul nahi hai.

Shyam use apne pith pr bethakr ganv ke ek vedh ke pas pahuchta jo apna yeh kam apni kmjor mansik sthiti ke chalte kafi pahle chor chuke the. Qki wo kisi bhi tarah s kisi marij ki bigdti halat ka karan nahi banna chahte the. Un vedh ka nam murli tha jo ab sirf ab gayo ka dhyan rkhna or apne chhote se khet ki dekhbhal krne jese kam krne lage the.

Shyam vedh ji ke darwaje par aakr joro s awaj dene lagta hai :

Kaka, murli kaka. Kaha ho aap.

Are jaldi yha aaiye, nahi to ye dard ke mare mar jayega. Kaka, kha he aap.

Murli :

Are kon hai bhai. Is umar m tum mujse isse jyda teji se aane k ummid kese kar skte ho.

Kon hai ye bhala insan or ky hua ise.

Shyam :

Kaka ye mera dost viwan hai, ganv ke purv sarpanch ramdayal ji ka beta. Ham pas hi ki dukan par bat kr rhe the k tabi achanak ye sir pkd kr drd k mare chikhne lga. Aap jldi kuch kijiye wrna ise kuch hogya to ganv ke khushhal hone ki aakhri ummid bhi ham kho denge.

Murli :

Are beta lekin me ab ved nahi hu. Lekin ky tumne abhi ramdayal ji ka beta kaha. Ruko zara muje dekhne do.

Ved ji viwan ke sir ko dekhne lagte hai or uske sir k chot ko dekh wo achanak chonk jate hai. Lekin apni bhavnao ko dbate huye wo jald hi vivan ko apne ghar ke andr ek khatiya par letate hai.

Kuch der marham patti or dwao ke upchar ke bad murli kaka bahar aakr shyam se kahte hai :

Suno beta, jab wo uthega tab shayad wo bahaki bahaki bate kare, hoskta hai wo yha se bhagne k koshish bhi kare. Lekin yd rkhna uska is halat me is ghr s bahar jana bhi uski zindgi ko chota krdega.

Shyam man m sochta hai .

Lagta me kaka ki sach me umar hogayi hai. Pta nhi kesi bahaki bahaki bate kr rhe hai. Chalo koi n muje kya.

Shyam :

Thik hai kaka . M smbhal lunga aap chinta na kre. Aapka bhut bhut abhar aap snkt ki ghadi me hmari mdd kre.

Kaka apne ghr s wps aakr sidha apne khet k or jate hai or ek fawde se khet k mitti khodne lgte hai.

Khet k kuch dur khade log sochte hai.

Lagta hai kaka ki schme umr hogyi hai. Yeh koi samay hai khet jotne ka. Pta nahi budhapa insan se kyky krwayega. Chalo choro hame kya.

Kaka lgatar khodte huye wha karib 3 feet gehra gadhha khodne ke bad kahte hai:

Aakhir kar, muje iska asli varis milgya.

Kaka us gadde se ek chamakdar tabij bahar nikalte hai. Ye kisi mamuli kanch se bani ek choti prtima thi jo gale ke locket ke akar ki thi. Lekin wo anajn karan se bahut jyda prakash wan thi.

Kaka use apni kmjor muthi m dbay wha se ghar ki or jane lagte hai , or jate huye unke chehre k hasi byan kr rhi thi ki jese unke sir ka koi bhut purana bojh wo aaj utarne wale ho.

Kaka apne ghar aakr sidha viwan ke pas jate hai. Jha viwan nindo me kafi jyda preshan or psine se bhiga hua. Chehre pr shiknd or hav bhav se lgrha tha mano kafi jyda pida m ho. Kaka bina use ya shyam ko pta lage wo locket viwan ko pahna dete hai. Or is locket ko phnate hi viwan ki gatividhiya ekdm se shnt hojati hai. Or ab wo ek achi nind me ja chuka tha.

Viwan ki aankh khulti hai or wo apne samne shyam ko bde hi ajib muh bnate huye dekh dr ke mare uthta hai or puchta hai :

Are bhai, ky kr rhe ho. Muje drakr marna chahte ho kya. Or ye kha hai ham.

Shyam : ha bhai marna chahta tha isliye to kai km tuje pith pr ladkr tuje yha tk laya baki agr bchana chahata to whi tdpta chor jata.

Viwan : maf krna bhai , muje pt n tha tune y sb bhi kiya mere liye . Lekin muje hua kya tha.

Shyam : bhai kya yah sawal Mera nahin hona chahie.

Vivan Shyam ki baat Ko sunte hue kafi jyada confuse ho jata hai aur kahta hai ki chalo chhodo main apni is bimari Ko nahin jaanta aur main is per samay bhi barbad nahin karna chahta isiliye kya tum mere liye vah kitaben le aaye Jo Tum laane ke liye gaye the.

Shyam : bhai pichhle teen din se main Teri aaya bna hua tha aur isme tujhe kyon lagta hai ki mujhe itna bhi time Mila hoga ki maine khana bhi time se khaya Ho!!

Vivan : kya sach mein teen din ho gaye mujhe behosh hue lekin mujhe kuchh bhi yad kyon nahin kya kisi ne mujhmein per kisi prakar ka Jadu tona kiya hai ya Aisa kuchh main tumhara Dil se aabhar prakat karta hun ki tumne mere liye itna kuchh Kiya baki Mata pita ke bad mujhe laga nahin tha ki koi mujhko itna jaruri samjhega.

Shyam : bhai jo bhi maine kiya vah is kam ki padhaai ke liye Kiya hai Lekin ab tujhe vah exam pass karke mujhe Sahi sabit karna hai ki mere dwara ki gai sabhi chijen vyarth nahin gai.

Vivan : bilkul bhai aisa hi hoga lekin kya tum mujhe use Pariksha ki tarikh bata sakte ho.

Shyam : tumhen kal yahan se nikalna hai yadi tumhen samay per use exam ko dena hai to aur yad rahe tumhen yahan se jaate hue Seth Ramlal ke pass se apne 2 lakh rupaye le lene hain kyo ki maine tumhare ghar ke dastavej ki sabhi baten usse Puri kar Li hai. Tum bas jakr wha sign kar apna pesa le skte ho.

Or Darna nahi qki delhi jane ka bhi sara intezam pahle s m kr chuka hu.

Shyaam ek parchi dete huye vivan se kahta hai :

Tumhe bs wha jakr is jagah pr Jagdish bhai sahab ke bare me puchhna hai uske bad wo tumhari puri dekh rekh sambhal lenge.

Vivan : thik hai bhai, chal ab me thoda apna saman pack karleta hu. Kal bus stand par milate hai.

Itna kahkar vivan apne ghar k or chal deta hai. Lekin is smy tk bhi usne apne gale me us locket ki mojudgi ka ahsas nahi kiya tha jo ki kaka ne uske gale me pahnaya tha.

Ghr jake vivan ek bade se lohe ke bakse me apni jarurat i chijo ko bharne lagata hai. Lekin din khatm hote hote ganv ka lagbhag har insan vivan ke ghar se hokr jane lagte hai. Kyuki shayad shyam ne ye bat sabhi ko bta di thi ki akhir vivan delhi jane wala hai.

Anshu mosi jo k vivan ki maa ki sbse achi dost thi. Or padosi hone ke nate h sahi lekin mosi hi wo ikloti insan thi jisne vivan ka khyal kisi bhi or rishtedar se jyda rakha tha.

Vivan apne ghar se jyda wqt to unhi ke ghar guzarta or esa ho bhi kyu na jab anshu mosi ke khane ka swad pure ganv me famous tha.

Anshu mosi ki bhi apne aap me kafi dukhad kahani thi. Ek bade or bhare pure parivar me paida hokar or us smy me bhi 10th class tak pdhai krne ke bad bhi is banjar ganv me rhne ke piche. Halaki unke pati bhi koi ganv ke nami parivaro ki ginti me the lekin anshu mosi ne apne pyar ke liye jitne bade rishto ko thukraya tha aisa kuch karne ke liye kafi himmat chahiye hoti hai.

Mosi ki koi khudki aulad nahi thi or shayad ye bhi ek karan tha unke dwara vivan ko itna pyar dene ka.

Vivan ke mata pita ki anupasthiti me sdev hi mosi ne vivan ka khyal rkha lekin unhe kya pta tha kuch wqt khyal rkhna to sirf unki kahani ka pahla adhyay tha.

Mosi vivan ke ghar aai or andr aakr boli :

To finally tuje tera rasta mil hi gya. Par meri bat kan kholkr sun ki agar exam dene ke 5 dino ke andr tu waps nahi aya to pura delhi dekhege mujhe tere piche dodte huye.

Or yad rkhna na to tu bahar ka kuch khayega na hi kisi par bharosa karega tere exam khatm hone tak ka pura bandobast mene wha kar diya hai. Halaki mere jesa swad to nhi milega pr fir b tera kam to chal jayga.

Vivan : are mosi kya aap bhi, aapko lgta h koi apke khane k swad k bina jyda dino tk rhna chahega. Me to bs u gya or u aya.

Acha aap btaiye aapke liye wha se.....

Vivan aage kuch kah pata iske pahle hi darwaje par koi dastak deta hai.

Vivan jakr dekhta hai to pata hai ki raghuveer ji apne dono hatho me kuch thele lekr khade hai.

Are raghuveer kaka aap. Aap yha kaise.

(Vivan ne muskurate huye kaha.)

Kaka : jyda khush hone ki jarurat nahi, me bs yha se guzar rha tha tumhare bapu ki yad aagyi to socha tumhara hal chal puchhte chale.

Suna hai delhi jarhe ho.

Vivan : ha kaka, ganv ki sthiti din b din khrab hoti ja rhi hai or shyam ne isase niklne ka ek rasta btaya hai.

Kaka : bs bs , jyda jankari lekr hame ky krna hai tumhara jivan hai , chahe jo karo.

Par ha tumhare bapu ko yakin tha tumpr or usi yakin ke bharose ham tumhe kuch dene aay hai.

Vivan : akhi kya hai wo.

Kaka : nahi tu rahne de.

Beta anshu. Idhar aana zara. Ye thele le jakr iske delhi jane wale saman me rakhde.

Mosi : lekin dada ye itna saman ye lekr kese jayga.

Kaka ne aankh dikhate huye kaha :

Itna hata katta jawan ladka itne se saman uthane me thak jayga kesa dhyan rkhi ho fir tum iska.

Kyu re vivan koi dikkat hai tuje inhe uthane me.

Nahi nahi kaka me lejaunga.( Vivan ne darte huye kaha)

Aise hi kuch samay bita or logo ka ana jana lga rha. Vivan ka swabhav or vivan ke pita ki pahchan ke chalte koi bhi insan khali hath nahi aya. Or logo ke aate rhne se vivan ki tention bhi lgatar badhti rhi or isi ke sath jo sbse achi chij hui wo thi ki,

Vivan ke pas ab pure 2 lakh rs ikathhe hochuke the jo ki usase milne aay logo ne chhupte chhupate se ghar ki alag alag jagah use bina bataye rakhe the.

Lekin inhi sab samano ke bich vivan jab apne parivar ki ek tasvir ko dekhta hai to uske gale ka tabiz vibrate krne lgta hai.

Tab jakr vivan ko kahi iske bare me pta chlta hai lekin vivan ispe abhi kuch react nahi krta or apni packing krne lag jata hai.

Vivan 01.01.1910 naye sal ke din apne jivan ki nayi shuruat krte huye apne ghar ke pas hi ke ek mandir me apni yatra ke liye prathna karne pahuchta hai. Vivan apne ghutno par bethkar bhagwan se aane wali sabhi samsyao me uska sath dene or uske aane tak uske sabhi janne walo ka dhyan rkhne k kamna krne lgta hai.

Tabhi ek budhe se unkle uske hath me prasad dete huye kahte hai :

Beta bhavishya ki chinta ka bojh lekr kisi bhi safar par nikloge to apni shat pratishat yogyta ka isteman krna kathin hoga. Apne karmo ko bina chinta ya dar ke karo sab acha hoga.

Vivan ko un unkle ji ki bat kafi sahi lagi lekin aage vivan unka nam bhi puch pata uske pahle hi wo unkle wha se chale jate hai. Fir vivan bhi kuch der mandir m beth wha se shaym se milne chla jata hai taki wo uska saman rakhwane me uski help kar ske.

Dost se milkr vivan bus me bethta hai. Or vivan ki pas hi ki seat par whi mandir wale unkle bethe the. Vivan unhe kuch der pahchan nahi pata or unkle bhi use kuch nh kahte. Jese jese safar aage bdta hai vivan un unkle ko pahchan leta hai or unhe dekh vivan ko apne man me ek ajib si shanti ka anubhav hota hai. Ab qki vivan ne un unkle ko apne ganv me pahle kabi nhi dekha tha isliye jigyasa vash wo puch leta hai :

Ky aap apne kisi rishtedar se milne yha aye the, qki pahle kabi aapko yha dekha nahi.

Unkle :

Nahi beta , me to bas apni kahani ke adhure hisso ko batorne me lga hu jiska ek hissa is ganv m tha use lejane k liye hi yha aya tha.

Wese mera nam ashvin vaishnav hai or peshe se me ek wrighter hu.

(Unkle ne bdi utsukta se kha)

Wese aap koi mamuli insan nhi lgte , akhir ap kam ky krte hai.

Viwan : acha to aap ek righter hai tabhi me sochu akhir aapki har bat smjne me itni pechida kyu hoti hai.

Wese mera nam viwan hai or aapki bdhai ke liye shukriya par me koi vishesh insan nahi hu bas samay ke bhav me khud ki khoj hi muje delhi le ja rhi hai. Or me ab tk kisi bhi sthayi kam ko apna nahi kah skta to aap agar yh swal 3 mahino bad puche to me behtar jwab de paunga.

Unkle (muskurate huye bole) :

Beta apne 40 sal ki zindagi me mene tumse jyda tej kisi dusre vykti ke chehre par nahi dekha, or iske bad bhi tum khudko mamuli bta rhe to to ya to tum bade udar vykti ho ya tum abi tk khudko smjh nahi paye.

Or qki meri writing ki wjh se muje kai bar reasearch ke chalte logo ke chehre se lekr unka bhavishya dekhne ke bare me kafi kuch sikhna oda hai to me bta skta hu ki Aage aane wale kuch din tumhari zindagi ko palat kar rakhne wale hai.

Vivan unkle ki bat ko jyda seriously nahi leta or apne sath lai un kitabo ke dher ko tatolne lagta hai.

Vivan ko ese dekh unkle bhi ab use aage bt krke preshan na krne ka sochte huye is safar or bus me bethe logo ka khubsurat varnan apni ek chhoti notebook me krne lgte hai.

Ek lekhak ke peshe ki tulna me unkle ki righting kafi khrb thi , lekin wo ise ek achi kala or behtar soch ka prinam btate the. Jo unhe jaldi sochne or shak ki gunjaish ko kam krne me madad krta .