Ye baat meri jindegi ke kuch ese palon ki hai jab main apne ghar se yani ki mere home town se bahar nikla ek safar main Jahan mujhe bohot sare alag mentality ke logon se milne ka moka mila tha aur inmese ek thi woh jisne mujhe badal ke rakh dia mere sochne ka tarika badal dia. The girl I met.....
Main odisha ke ek chote se city deogarh main reh Raha tha yani ki mera home town lekin wahan koi acha college nahi tha tab toh meri bohot se bache bahar jate hain padhai karne aur Jada tar lag jate hain 11 th main yani ki +2main . Main bhi gaya tha aur mene apna college vikash ko chuna tha kyuki pehli baat main raging se darta tha toh mera ek relative prince idhar 2nd year main tha. Toh mujhe koi raging nahi karta. Aur dusri baat Mane suna tha ki vikash sambalpur ka khana bohot hi acha hota hai isiliye bhi I think. Deogarh main koi bhi railway station nahi tha toh hame ek city se dusre main Jane ke liye car main hi Jana padta tha . Pehle pehle thoda dar lag raha tha aur mere kuch past experience bhi ache nahi the jab main ek extrovert tha tab isiliye abhi tak main ek introvert toh ban hi Chuka tha . Car se jate bakt bhi main soch raha tha ki kis type ladke mere roommates honge? ,woh mujhse dosti karenge bhi ki nahi? lekin long story in short woh mere itne ache dost nahi ban paye the .
Jab main college main pohoncha toh hamar ache se swagat hua aur mujhe itna toh pata chal hi Gaya tha tha ki ye sab admission tak hi hai.
Mere parents kuch paper works kar rahe the aur main bore ho Raha tha toh ye baat warden ne dekhli aur mujhe bola"chal tujhe jara apna college dikhate hain " mujhe bhi college dekhna tha toh uske han main han bhar diya aur chal dia Mai chalte chalte ek mod pe pohoncha tabhi kisi ek kam ki bajeshe Jana pada
"Alok tum idhar hi thodi der ghumo main jara sa ata hun"
"Thik hai !!"
Main udhar khada tha,ush mod per wahan se college ka gate bohot dur nahi tha maine socha Jake bahar ghum ke ata hun akhir ash pash hai kya ??
Main gate pe khada hokar bhar ki aur dekh raha tha aur usi waqt main Milla use 'Puja' ek esi ladki jo sabse alag thi sabse juda thi sabse haseen thi. Woh road ke dusre taraf ke ek store khadi thi. Hawa chalne se uske resmi julfain asman main lehraha rehe the aur main uske komal si cehre ko dekhta hi reh gaya jis main thoda sa dukh bhi tha uske gehre Kali ankhe haye!!