Chereads / Situationship over relationship / Chapter 2 - Dosti ya console...

Chapter 2 - Dosti ya console...

Next day - 3 April

Ek message aata hai laddu ka - Hii,kaisi ho

Hello,mai bilkul thik hu ,tum kaise ho - Maine jawab diya

Tumne Ghar aakar message hi nahi kiya - laddu ne kaha

Haan, wo thoda late ho gya tha aane mein,aur fr mujhe tum so gye hoge toh isliye nahi kiya - Maine jawab diya

Acha thik hai ,koi baat nahi - usne pucha

Haan - maine thoda guilty feel krte hue jawab diya

Aise hi hmari baat chit ka silsila chalne lga ,

1 Mahina nikal gya ,pahle msg se baat hoti rahi aur fr calls ka silsila suru hua...

usne apne baare mein bahut sari baatein btayi ,kuch achi kuch buri

Mujhe nahi pta ,ki kya soch kar . Lekin fr bhi btaya

Aur maine bhi ek dost ki tarah unn baaton ko as a secret apne paas hi chupa ka rkh liya

Kyuki myjhe aisa lagta hai ki agar koi aap pr bharosa karke kuch bta Raha ho toh uska bharosa kisi bhi keemat pr tutna nahi chahiye, chahe wo aage chal kr kuch bhi kare pr aap unn baaton ko khud mein dafan karke rakhe ,

Toh aate hai hamari kahani par...

Inn lambi baat chiton ka silsila subah good morning se hota hua , break fast ,dinner,aur aaj ka din kaisa Raha aur good night take care tak pahuch gaya...

Meri ek khraab aadat hai ki mai khud ki baatein kuch bhi share nahi krugi kyuki mujhe lgta hai ki agar insaan khud ki baat ko khud Tak ni sambhal pa raha hai toh dusre se ummid Krna ki wo aapki baaton ko Raaz rakhega ,ye bekar baat hai.

Laddu ne mujhe apne baare mein aur jo abhi recently uske sath hua tha ,wo btaya tha

Aur maine as a friend ye baat bhi smjhayi thi .pr wo kehte hai na ki

"ishq par jor nahi "

Toh bs wahi haal tha bhi the.

Khair, jo hona tha wo ho chuka tha .pr as a person mai jo bhi suggest kr sakti thi ,I did for him.