Download Chereads APP
Chereads App StoreGoogle Play
Chereads

Atish-e-Dillagi

🇵🇰Dodomalik
--
chs / week
--
NOT RATINGS
21.2k
Views
Synopsis
Hasad ki manzil sirf tareek andheri raat hy Yehh kahani hy ik Larki ki jis ka Nam Maira Hussain shah hy jis ki family Bhi isi hasad ka shikar Hui thi . Woh kehty hain na kahani khatam ni hoti , qatal krny waly yeh bhool jaty hain ky survivors to bach jaty hain . Esi tarah kahani ka ik or qirdar Waleed Ahmad khanzada hy Jo badly ky kisi ajnany safar par nikal para hy , jis par usko bhi yaqeen ni hy ky uska wujood baqi rahy ga ya ni , lekin yahan parwah kese hai Ik kirdar ROMAAN ALI SIKANDAR hy Jo apni hi maghroor zindagi guzarny mein magan yeh Bhool betha hy ky duniya mein hamesha khush rehna boht mushkil hy . Ik or Sab sy ehm kirdar Alex - 26 Bhi hy , Jis ko raaz pasand hain . or usko har raaz pata hy , yahan tk ky uski apni zindagi ik boht gehra raaz hy . Yeh hai kahani in kirdaron ki jin ky raasty na jany kab milein gy Lekin Is umeed par zindaa hain ky in ko apni manzil mily gi or kon kon in ka saath chory ga . Keo ky " JO ZINDA BACH JAYEIN UNKA MARNA YAQEENI HY "
VIEW MORE

Chapter 1 - Atish-e- Dillagi

CHAPTER #01 

Zindagi ik ese safar ka name hy Jo insan ko ya tou uski manzil sy milata hy or usko har khushi deta hy ya phir us sy jeene ki wajah Bhi cheen leta hy .

Lekin is safar mein ik lafz jis sy

 roshnas hona insan ko kahi dur tanha kr deta hy woh hy " mayusi ."

Lekin hum mayus keo hon ,hamary sath to Allah hy jis ky ik ishary par pahar pighal sakty hain .

Or Pathar mom ban sakta hy .

Wo naseeb bana Bhi sakta hy or muqadar badal Bhi Sakta hy .

Agar esa na hota to woh insan ko kabhi Dua sy roshnas na karwata or mojzon ka Ilm hi na deta .

Is tareek duniya mein boht sy sahary chootaty hain jahan, wahan boht sy naye rishty Bhi Milty hain .

Lekin log to phir Bhi us Allah sy mayus ho jaty hain .

Jese ky yeh ik nazuk si Jan khud ko tanha mehsus krti hy yeh jany bagher ky woh do aankhein kab sy uski muntazir hain .