Download Chereads APP
Chereads App StoreGoogle Play
Chereads

A Game like Reality (Hinglish)

🇮🇳KrishParmar
--
chs / week
--
NOT RATINGS
2.9k
Views

Table of contents

VIEW MORE

Chapter 1 - Hyperion

*Episode 01*

(YEAR 2096)

[Ek school ke 12th standard me History ki class chal rahi thi, bhot sare students apni-apni chair pe bethe hue the, samne ek smart screen pe history ke sir Mr. JD un students ko kuch images dikha kar puchhte hai.]

Mr. JD: Kya tum me se koi janta hai ki abhi maine jitni bhi images dikhai wo konse time period ki hai!?

(Sare students me se ek student hath upar karta hai.)

Mr. JD: Yes Rohit, please answer…

Rohit: Sir, Ye images 2027 AD se 2036 AD ke bich ki hai.

Mr. JD: Right answer, lagta hai chapter 6 start hone se pehle hi tum read karke aaye ho.

Rohit: Nahi sir, unfortunately mere great-grandfather is historic event ka part bane the, india ki aur se ladte hue shahid ho gye the.

Mr. JD: Oh! I didn't know that ki tumhare pardada World War 3 ka part reh chuke hai, God bless him.

Ab tum beth sakte ho.

(class ko aage continue karte hue)

So jaisa ki Rohit ne bataya ki ye images World War 3 ki hai, jo ki 2027 se lekar 2036 tak pure 9 years and 8 mahino tak chala tak chala tha,

Ye yuddha kitna khatarnak tha iska andaja aap isi baat se laga sakte ho ki World War jab saru hua tha tab earth ki population 8.4 billion yani ki 8 arab ke aaspas thi, lekin numbers World War khatam hote hote 5 billion par pahoch gya tha, jisme se kareeb 15 million soldiers the aur baki sare normal log mare gaye the.

Dar-asal is World War 3 ki neev 2020 me hi rakh di gai thi, jab Covid-19 ki wajah sabhi Countries ne China ke sath apne relation kharab kar liye the, uske baad har saal koi na koi chhoti ya badi ladaiya hone lagi, jinme ye sab kuch important wars hai:

1> Israel – Palestine war

2> Russia – Ukraine war

3> China – Taiwan war

4> Europe Subcontinental war

5> Indo – Pak war

6> USA – Russia war

March, 2027 me hue is USA – Russia war ke bad sabhi contries ne dono me se koi ek side ko choose kiya aur Tabhi se hi World War 3 ya dusre words me bole to tabahi ki saruaat hone lagi thi…

[Normally sab log jis me jana napasand karte the, wo log aaj bhot hi interest ke sath class attend kar rahe the, jab ek student ghadi ki aur dekhta hai to pata chalta hai ki lecture kitni jaldi bit raha hai aur tabhi electric bell ki aavaz aati hai aur sab log class chhodkar apne-apne ghar ki aur nikal jate hai.]

[Class se nikalte hue Soham Rohit k pass jata hai.]

Soham: Kya sach me tumhare great-grandfather WW3 ka part reh chuke hai!!

Rohit: Haan yaar! Sir ke samne jhuth thodi na bolunga, actually wo 2030 se lekar 2035 tak WW3 ka part rahe the aur phir 2035 me wo 30 saal ki kam umar me hi is duniya se chale gye, par meri great-grandmother mujhe bachpan se unki bahaduri ke kisse sunati rehti thi.

Soham: Oh! so Sad! (Thoda pause leta hai.)

By the way kya isiliye tumhe military me itna interest hai?

Rohit: Haan! Aur kya pata me bhi kuch saal baad tumhe wahi par dikhai dene lag jau!!

Soham: Hmm… Acchha hai, dekhte hai… shaam ko 4 baje yaad se time par Gladiator Simulating Platform pe aa jana, hum sab wahi par cricket khelenge.

Rohit: Haan yaar aa jaunga me, tu harroz kyu kehta hai ye!?

Soham: (Smile karte hue) Wo kya hai na, Rohit naam ke insaan ko bhulne aadat zyada hoti hai

(Dono hasne lagte hai, Aur parking me se apne-apne flying Hoverboard lekar unke ghar ki aur nikal jate hai.)

(INTRO)

Written & Edited By: Krish Parmar

Gerne: Science-Fiction Mystery

Inspired By: Shoorveer (Pocket FM – Audio Book)

Starting Date: 19th June, 2024

Publishing Date: Coming Soon

[Jab Rohit apne ghar ke andar jaata hai, toh door usse recognize karke automatically khul jaata hai. Andar, uski grandmother, Mrs. Sharma, ek high-tech recliner pe baithi hain, aur digital newspaper padh rahi hain.]

[Rohit Apne Hoverboard pe ghar ki aur ja raha tha, Uske aaspas Ek Bhot Futuristic sheher hota hai, Badi-badi High-tech buildings and skyscrapers hote hai, jinke Holograohic billiboards aasman tak stretch ho rakhe the.

Thodi hi der me Rohit apne ghar pe pahoch jata hai. Apne Flying hoverboard ko park karke ghar ke door pe khada rehta hai, aur Face recognize karta hai, door automatically open ho jata hai. Andar uski grandmother Mrs. Pooja Sharma high-tech recliner pe baithi hoti hai aur aarpar dekhe ja sakte glass ke rectangle piece pe holographic news dekh rahi hoti hai. Aur uski mom Table par 4 khane ki plates lagakar sab ke liye khana ready kar rahi hoti hai. Rohit apne room me ja hi raha hota hai tabhi uski 2nd standard me padh rahi uski chhoti bahen Kritika Sharma bhi School se aagai thi. Un dono ko aata hua dekh kar unki mom Disha Sharma unse kehti hai.]

Disha: Rohit, Kriti, Tum dono jaldi handwash karlo aur khana khane ke liye aa jao…

Rohit and Kritika: (Dono sath me) Haan Mom! Hum jaldi hi aate hai…

[Phir dono hi apne-apne room me jakar khane ke liye aa jate hai. Charo sath me khana khate hai aur phir Rohit apne room me chala jata hai, aur Gladiator Platform pe Online aa jata hai. Dar-asal Gladiator ek state-of-the-art virtual reality arena hai. Jisme bahot sare log ek sath khel sakte hai aur audience banke dusro ko khelte hue dekh bhi sakte hai.

Rohit thodi der wait karta hai aur Dheere – Dheere Soham aur uske baki ke friends bhi Online aa jate hai. Aur phir wo log Cricket Khelne lagte hai.]

[Thodi der Online Cricket khelne ke baad wo sab me se kuch log chale jate hai, aur unme se 5 log beach par jane ka plan banate hai jinme se ek Rohit bhi tha. Wo bahar aakar uski mom sekehta hai.]

Rohit: Mom me apne friends ke sath thodi der beach par ghoom kar wapas aa jaunga 1 ghante me wapas aa jaunga.

Disha: Thik hai beta, Sambhal ke jana.

[Phir Rohit apni electric bicycle lekar beach par pahochta hai. Waha uske baki 4 friends aa rakhe the. Wo sab apni-apni bicycle lekar sheher me ghoomte hai, aur phir sab log jane ka dicide karne lagte hai.]

Soham: Thik hai friends, Chalo ab hum sab apne-apne ghar jate hai, phir milenge.

Vishal: Chalo na thodi der aur ghoomte hai.

Krunal: Nahi yaar, ab ghar chalte hai phir kabhi aa jayenge.

Rohit: Thik hai phir, ghar chalte hai, waise bhi is raste se mera ghar bich me hi aayega to tum sab mere ghar hote jana…

Everyone: Thik hai!

[Rohit sabko uske ghar pe invite karta hai, aur phir wo sab baatein karte hue uske ghar ki aur jate hai.

Jab Rohit aur uske friends Rohit ke ghar pe aate hai to wo dekhta hai ki uske ghar ke aage ek Badi aur mehangi car padi hoti hai, jo uski to bilkul nahi thi. Rohit thoda confuse ho jata hai, lekin wo andar jata hai.

Andar jakar wo dekhta hai ki kareeb-kareeb 40-45 saal ke ek uncle aur ek aunty the jo uski mom pe chilla rahe the, Rohit ko unhe pehchante der nahi lagti, aur use turant hi uske friends ko ghar bulane ke dicision pe regrate hone lagta hai.

Dar-asal Wo dono Rohit ke chacha-chachi Vihan aur Lakshita the, jo ki pichhle 2 saal se uske dad ki mysterious maut ke baad se hi uski property aur uske ghar ko kabze me karne ki koshish kar rahe the. Aaj bhi wo usi ke liye aaye the, aur uski mom ko dhamka rahe the.]

Lakshita: Tum logo ke pass sirf 1 hafte ka time hai ye ghar khali karne ke liye, tumhare pati, Mr. Niraj Sharma

ne apni properties ko kisi ke naam nahi kiya hai to uske absence me ye ghar bhi humare naam pe hona chahiye.

Disha: (Aankho me halke aanshu ke sath) Dekhiye aap to janti hi hai ki Rohit ke papa ke jane ke baad hume kitni pareshaniyaan jhelni pad rahi hai, me aapko is ghar ki kimat chukane ke liye me job kar rhi hoon, thoda aur time de dijiye me aapko is ghar ki kimat de dungi.

Vihaan: Abhi tak bhot time de diya hai, lekin tum paise dene me nakaam rahi ho.

Lakshit: Ab tumhe agle hafte tak ye ghar khali karna hoga varna hum tumhare khilaaf legal action lenge. Aur tumhe abhi jo apna saman pack karne ka mauka mil raha hai wo bhi nahi milega aur bina saman ke hi tumhe aur tumhare dono baccho ko ghar se nikal denge.

[Ye sab Rohit aur uske friends bhi sun rahe hote hai, aur is baat se Rohit kafi zyada Embrace ho raha tha, Aur ye sab aur Badhta hua dekh kar wo bich me kud jata hai.]

Rohit: (Thoda gussa dikhate hue) Bas bhot ho gyi aapki bakwas, ab aur nahi. Mom ne bola hai ki wo paise de degi to wo zaroor degi.

Vihaan: Tum bich mat bolo, tumhe pata bhi hai ki is ghar ke liye kitne paise dena baki hai!? Pure 3 Crore rupees, Kya tum de paoge itne paise? Wo bhi sirf 6 mahino me?

Rohit: Haan! 6 mahine to kya me ye kimat tum sab ko agle 3 mahine me hi chuka dunga aur tum sab ko humesha ke liye is ghar se dur kar dunga….

Lakshita: Tumhari conditions ke hisaab se tum 6 mahine me 3 Crore de sako itna hi bahot hai.

[wo log waha se jane lagte hai.]

Vihaan: (pooja ke samne dekhte hue) Chaliye mom.

Pooja: (Disha ki aur badhte hue) maf karna beta me isme tumhari kuch bhi help nahi kar sakti.

[Phir wo teeno waha se chale jate hai, Soham baki sab friends ko apne ghar jane ke liye kehta hai aur wo wahi par hi rukta hai, Rohit ki mom Rone lagti hai, Rohit turant unhe pani pilakar chup karata hai, phir thodi der baad Soham aur wo Rohit ke room me jakar 3 Crore kaise ikattha kare ye sochne lagte hai.]

[Wo log abhi ye soch hi rahe hote hai tabhi Rohit ke smart Device pe flash ke call notification aati hai jiske Dr. Khurana likha hua tha, Rohit call uthata hai aur turant hi uski smart screen me se ek Holographic image dikhai deti hai.]

Rohit: Are Khurana uncle aap!

Dr. Khurana: Ha beta, Kya hua tum kuch pareshan se dikh rahe ho?

Rohit: Ha uncle wo thodi problem to thi lekin thodi lambi story hai…

Dr. Khurana: (Smile ke sath) Are koi baat nahi puttar, aaja meri lab me aaram se baat karte hai phir…

Rohit: Thik hai uncle, me thodi der me aata hoon.

[Call cut karke Soham se baat karta hai.]

Rohit: Soham me abhi Khurana uncle se milne ja rha hoon, tum bhi abhi apne ghar ja sakte ho.

Soham: Thik hai lekin agar koi bhi dikkat hoti hai to turant bata dena me puri koshish karunga tumhari help karne ki…

Rohit: Thik hai, agar kuch hota hai to me tumhe bata dunga, Bye.

[Soham apne ghar jata hai aur Rohit Dr. Khurana ki lab ki aur nikal jata hai.]

*(Last Update)*

[Rohit Dr. Khurana ki lab ke bahar pahochta hai tabhi waha par Dr. Khurana aate hai, aur Rohit ko andar le jate hai. Andar dekhta hai ki kuch thik-thak lagne wale kamre aur kuch chhote-mote experiments ke alawa waha par zyada nahi tha. Aur ye dekh kar Rohit thoda confuse ho jata hai.]

Rohit: Aap itni chhoti lab me kaam karte hai, mujhe laga ki aap itne bade scientist hai to aapki lab bahot badi hogi!?

Dr. Khurana: (Muskurate hue) Chalo mere sath

[Itna keh ke Dr. Khurana Rohit ko last room me le jate hai aur Fridge open karke ek button click karte hai, aur waha side ki diwar khisak kar dur ho jati hai aur ek door aa jata hai, Dr. Khurana aur Rohit door kholke andar jate hai, us door ke andar ek badi si lift hoti hai, jaise hi Dr. Khurana door bandh karte hai aur turant wo lift bhot tezi se niche jane lagi, aur kuch seconds me hi wo lift rukti hai aur lift ka door open hota hai, jaise hi door open hota hai Rohit ko ek Bhot hi Advanced High-Tech lab dikhti jaha bhot sare scientist kaam kar rahe the, usme bhot sare rooms bhi hote hai, Dr. Khurana Rohit ko unke room me le jata hai, Rohit dekhta hai ki waha par bhot science tools, kuch aadhe complete hue experiments, bhot advanced chize padi hui thi. Rohit ko waha baki chizo se alag ek bhot purana Telephone Booth lab ke kone me pada hua tha, Rohit ko ye thoda sa ajeeb lagta hai. Wo Dr. Khurana ko uske bare me puchhta hai]

Dr. Khurana: Ab bolo Rohit, Kya baat hai? Kya kuch bhot badi dikkat hai?

Rohit: Wo dar-asal baat ye hai ki…

[Rohit uske ghar me jo kuch bhi hua wo sab Dr. Khurana ko batata hai. Dr. Khurana uski baat sunkar thoda soch me pad jate hai.]

Dr. Khurana: 3 Crore!!

Rohit: Haan! 3 Cr. Kya aap mujhe 3 Cr de sakte hai,

Dr. Khurana: Beta utne paise to mere pass bhi nahi honge, lekin me tumhari madad karne ki puri koshish karunga. Tumhe aur help chahiye to batao, Agar mere se possible hoga to me tumhari help karne ke liye jo banpadega wo karunga.

Rohit: Abhi to paise hi chahiye, kya aap kuch help kar sakte hai?

Dr. Khurana: Nahi beta, me zyada se zyada meri agency tumhari 20-25 hazar ki job lagva sakta hoon, aur to kuch nahi kar sakta.

Rohit: (Disappoint hokar) Utni salary me to mujhe pure 100 saal lag jayenge 3 Crore kamte-kamate…

Dr. Khurana: Sorry puttar, me teri aur to koi help nahi kar sakta.

[Disappoint hokar jane lagta hai, tabhi use wo telephone booth dikhta hai.]

Rohit: (Us Telephone booth ki aur ishara karte hue) waise ye kya chiz hai? Baki sab saman se kafi alag dikh rha hai!

Dr. Khurana: Wo ek Secret Mission pe jane ke liye use hone wala Teleportation device hai.

Rohit: Kaisa Secret mission?

Dr. Khurana: Waise koi aur hota to me nahi batata lekin tum ho isliye me bataunga, lekin pehle mujhe promise karo ki tum ye baat kisi ko bhi nahi bataoge…

Rohit: Promise, Me kisi ko bhi is secrete mission ke bare me nahi bataunga.

Dr. Khurana: Rohit ye to sabhi jante hai ki pure universe me Prithvi hi aisa planet hai jaha pe jivan paya jata hai, hala ki pichhle kuch salo me scientist ko Prithvi jaise hi aise kuch planets ka pata chala hai jaha signs of life paye gaye hai, humare jaise hi log, humare jaise hi janvar aur humare jaise hi ped-podhe, Lekin dekhne me humse kai alag, Generally un sabko hum Aliens keh sakte hai.

[Dr. Khurana Rohit ko samjate hue kehte hai, Lekin Rohit ye sab sunkar abhi bhi sock me tha.]

Rohit: Aliens? Mana ki Humari Technology pehle se kafi zyada improve ho chuki hai, lekin Aliens!? Mujhe to abhi bhi yakeen nahi ho raha… Mujhe to lagta tha ki Aliens sirf Movies aur Kahaniyon me hi hote hai.

[Rohit abhi bhi Confuse hi dikh raha tha, use aisi halat me dekhkar Dr. Khurana thoda muskurate hue usse kehte hai.]

Dr. Khurana: Humari Filme aur Kisse Kahaniyaan kahin na kahin humari asal zindagi se hi judi hoti hai, Ek lekhak wahi likhta jo wo imagine kar sakta hai aur insaan usi ko Imagine karta hai jo possible hota hai.

Pichhle kuch saalon se humari agency *Hyperion* Planet pe ek secret mission chala rahi hai, jaha har saal hum kuch logo ko Hyperion grah par bhejte hai, dar-asal us grah par development abhi bhi apni pehli stage par hai, isiliye waha ke log abhi puri tarah se viksit nahi ho paye hai, Waha kai log aise hai jo na to puri tarah se insaan hai aur na to puri tarah se janavar, matlab unke kuch hisse insaano jaise hai aur unki harkate aur dimaag janvaro jaisa hai. Waha kuch janavar aise bhi hai jo viksit hokar bhot hi khatarnak hote ja rahe hai. Is tarah ke log aur janvar un logo ke liye khatra hai jo puri tarah develop ho chuke hai aur jinki intelligence bhi hum jaisi hi hai. Lekin un logo se sath sath aise janvar aur log humari Prithvi ke liye bhi khatra ban sakte hai. Isiliye har saal hum apne planet se kuch log Hyperion grah par bhejte hai, taki wo log humari Prithvi ki taraf badh rahe khatre ko wahi par Khatam kar sake. Ye telephone booth usi titan grah par jane ka portal hai.

Rohit: (Confusion ke sath) Uncle, jab us planet par itna khatra hai to log waha jatee hi kyu hai?

Dr. Khurana: (Muskurate hue) Paise kamane aur takat pane ke liye.

Rohit: (Surprise hote hue) Paise kamane? To log kitne paise kama sakte hai waha par?

Dr. Khurana: Unlimited! Samajh rahe ho, Unlimited.

(Rohit ye sun ke kuch sochne lagta hai, Dr. Khurana ko bhi ahesas hota hai ki Rohit kya soch raha hai wo turant hi uske sapno pe pani pherte hue usse kehte hai.)

Nahi, nahi! Par tum waha par nahi ja sakte. Isliye socho bhi mat. Are bhai tum mere jigri dost ke ek laute bete ho, yani ki mere bhi bete jaise hi hue. Me tumhari jaan khatre me nahi dal sakta. Tum ghar jao aur koi dusra rasta dhoondho.

[Rohit ghar ki aur nikal jata hai lekin Dr.Khurana ki baat uske dimag me Sci-Fi movie ki tarah ghoom rahi hoti hai. Par sath afsos bhi hai ki wo apni mom aur bahen ki madad nahi kar paya. Rohit ghar pe ja hi rha hota hai tabhi usko raste me usko usek chacha-chachi dikh jate hai.

Aur wo man hi man sochne lagta hai, he Bhagwan sari musibat aapko ek sath hi deni thi kya mujhe!!

Wo dono Rohit dekh kar apni car rokte hai aur usse kehte hai.]

Vihaan: Yaad hai na tumhe, sirf 6 mahine hi bache hai, varna purani haveli ko jalte hue zyada der nahi lagti ye to tum jante hi honge …

[Dono haste hue waha se chale jate hai, Rohit ye sab sochte hue hi ghar ki aur jane lagta hai, Rohit jaise hi ghar pahochta hai to dekhta hai ki uske dost ghar ke bahar hi uska intezar kar rahe the. Rohit ko pata tha wo log jo bhi hua uske bare me zaroor puchhenge , isiliye wo hi un sab ko sab kuch batana saru kar deta hai ki kaise uske father ne uske dubte hue family business ko sambhala aur uski bua aur chacha ki shadiyaan karai, unhe ghar dilwaya, unki wajah se star group jaisi badi company se panga bhi liya, jiski wajah se unki jaan chali gai, par unke jane ke baad uski bua aur chacha-chachi unhe Dadaji ke ghar se nikalna chahte hai, Rohit ki kahani sun kar sabhi dost use sympathy dikhate hai, Aur phir waha se chale jate hai. Rohit andar jata hai. Khana khan eke baad apne room me chala jata hai aur sote-sote aaj jo hua uske bare me hi soch raha tha, aur bhot der sochne ke bad wo decide karta hai ki wo Hyperion jayega aur karza chukane ke liye paise kamayega…

Dusre din wo school jane ke bahane wo Dr. Khurana ki lab par chala jata hai, waha jake dekhta hai ki Dr. Khurana waha par nahi hote hai, Rohit unhe aavaj deta hai par koi reply nhi aata, use bhot jaldi thi Hyperion jakar paise kamane ki aur isi hadbadi me wo Dr. Khurana ke aane ka intazaar nahi kiya aur isiliye wo dicide karta hai ki wo khud hi koshish karega. Tabhi Rohit samne rakhe Telephone Booth me enter karta hai. Us booth me bas ek hi lal rang ka bada sa button tha, Wo aaspas dekhta haiaur us button ko daba deta hai. Button dabte hi booth me bhot sari roshni ho jati hai, aur Dheere-Dheere booth me dhua bharne lagta hai. Us dhue ko uske pair se lekar upar kandhe tak aate dekh kar wo panic karne lagta hai. Tabhi wo booth puri tarah se dhue se bhar jata hai, Rohit ko dikhna bandh ho jata hai aur phir wo button ko dhoondh kar use daba deta hai, jaise hi wo button ko dabata hai turant hi ek aavaj aati hai aur darvaja khul jata hai. Rohit jaldi se bahar aata hai aur zor-zor se khaansne lag jata hai. Thodi hi der me use realize hota hai ki wo Dr. Khurana ki lab me nahi hai. Wo apne charo taraf dkhta hai, ek bilkul safed kamra hai. Aur usme bas ek darvaza laga hai, Rohit Ghabra jata hai aur wo jat se darvaza khol kar bahar jata hai. Darvaze se bahar jate hi veer ki duniya bilkul badal jati hai, uski aan,khein badi ho jati hai, uski dhadkne tez ho jati hai, wo apne charo taraf dekhta hai to use lagta hai ki jaise wo swarg me aa gya.

Bade-bade pahad Aakash aur dharti ke bich tair rahe hai, ped ke patto pe itne rang usne apni zindagi me kabhi nhi dekhe the, zameen par bichhi ghass bhi aisi chamak rahi thi jaise unme chhoti-chhoti lights lagi ho, hawa bhi ekdam saaf aur sugandhit thi, wo isi khubsurati ko charo taraf dekh hi raha hota hai ki ek dahad se uska dhyaan pichhe ki aur chala jata hai. Wo pichhe moodkar dekhta hai to aisa lagta hai ki ek pal ke liye uski dhadkan hi ruk gai ho, achanak se uske chehre ka rang ud jata hai. Wo dekhta hai ki uske thik samne ek ajeeb sa janwar khada hai, uska sar sher ke jaisa hai par sharir gende ke jaisa, pure sar par tentacles nikale hue hai.

Use dekhne ke baad Rohit chah kar bhi apni jagah se hil nahi pata, tabhi wo janavar uski taraf chhalang laga deta hai. Parisse pehle ki wo Rohit tak pahoch pata ek bhala udta hua aa kar us janvar se takra jata hai aur wo janavar chhitak kar dur ja girta hai. Rohit hairan ho kar bhale ki disha me dekhta hai, ek ajjeb se ghode pe sawar ladki apne haathon me talwar liye us janvar ki aur jane lagti hai, uske kale ghane baal hawa me lehra rahe hote hai. Rohit use aavaz lagane hi wala hota hai ki tabhi ek hath aa kar use khich le jata hai, Rohit khud ko phir se dhue se ghira pata hai. Thodi der me dhua hat jata hai to Rohit dekhta hai ki Uske samne Dr. Khurana khade hue hote hai, aur behad gusse me use ghoor rahe hai.]

Dr. Khurana: Ye kya bevakoofi karne ja rahe the tum! Tumhe zimmedari ka koi ahesas hai ya nahi?

[Dr. Khurana Rohit ko gusse me datne lagte hai, Rohit janta tha ki wo abhi unko jawaab dene ki haalat me nahi hai, uski is galti seuski jaan bhi ja sakti thi.]

Agar tumhe kuch ho jata to kya hota aaj? Tum samajhte ho! Tum samajhte kyu nahi ki tum abhi ek bacche ho. Ye khatarnak khel tumhare liye nahi hai, Dr. Khurana concern dikhate hai.]

Rohit: (Serious hokar) Uncle Khel khelna koi shokh ya koi uhointerest bhar ke liye nahi hai, ab ye meri zaroorat ban chuka hai.

[Uski baat sunkar Dr. Khurana shaant hokar use sunne lagte hai. Aur phir Rohit unhe Vihaan ne di hui dhamki ke baare me batata hai aur unhe samjata hai ki uska dusre planet jake paise kamana kitna zaroori hai. Uski mature baton ko sunkar Dr. Khurana gehri soch me pad jate hai aur Rohit udaas ho kar wahi beth jata hai.]

Dr. Khurana: (Kafi sochne ke baad) Thik hai, tum agar Hyperion pe jana hi chahte ho to me tumhe rokunga nahi, par waha jane se pehle tumhe waha ke bare me sab kuch janna hoga.

Rohit: Thik hai, me taiyaar hoon.

Dr. Khurana: Suno, Hyperion grah pe humara base Devashram ke naam se hai, tum teleport hokar wahi par bane apne kamre me jaoge, lekin Rohit waha guzara karna itna aasan nahi hoga, samay-samay par apni kabiliyat aur takat badhane ke liye tumhe levels par karne hoge aur wo tabhi hoge jab tumhe Gene Points milenge, aur wo tumhe tab milenge jab tum waha un aliens ka shikar karke unki energy haasil karoge. Ye kafi kuch waisa hi hai jaise tumhari video games ki duniya me hota hai, bas fark itna hai ki yaha par khatra asli hai, tumhari ek chhoti si chuk tumhari jaan bhi le sakti hai aur video games ki tarah yaha tumhe dusra mauka bhi nahi milega.

[Jitni aasani se Dr. Khurana ye sab keh rahe the Rohit janta hai ki ye usse kahi zyada mushkil hone wala hai.]

Hyperion grah waise to dikhne me huamri Prithvi jaisa hi hai, lekin phir bhi humari Prithvi se kafi alag hai aur isiliye waha ke niyam bhi alag hai. Is duniya me Science aur Technology dono hi bewajah hai kyuki waha ke log abhi bhi develop ho rahe hai, isiliye wahakoi bhi scientific ya technical equipment kaam nahi karte, dusre shabdo me kahoon to waha machingun se zyada ek steel ka khanjar tumhare liye faydemand rahega. Yaha tak ki waha par mobile phones ya aise koi bhi electronic instruments bhi nahi chalte, Sab kuch waise hi hoga jaise Prithvi ke development ke first stage me tha.

[Rohit ye sab dhyaan se sun raha hota hai aur use isme aur bhi zyada interest aane lagta hai.]

Dr. Khurana: Ab tum puchhoge ki waha par koi bhi modern technic kaam nahi karegi to tum waha par guzara kaise karoge, To Rohit us grah par sab kuch prachin duar ki Prithvi ke jaisa hi hai aur waha par guzara karne ke liye tumhe prachin duar ke tareeko hi apnana padega. Jaise ki tumhe lakdi ke chule par khana banana hoga, early man ki tarah fal aur sabji o se apna pet bharna hoga, dusre shabdo me kahoon to jin sab chizo ke tum aadi ho unme se tumhe waha kuch bhi nahi milega. Ladne Ke liye bhi tumhe Modern Hathiyaaro ki jagah prachin kaal ke Martial Arts ka istemaal karna hoga. Jiski samajh tumhe bahot acche se hai aur isiliye me tumhe is mission ke liye Titangrah par bhejne ke liye taiyaar hua hoon. Lekin sirf prachin martial arts ki samajh hona hi kafi nahi hai, Hyperion grah par un khatanak aliens se ladne ke liye tumhe isi martial arts ki basic me kai tarah ki alag-alag technics jodni hogi, jiski training tumhe Hyperion grah par bhejne se 1 mahine pehle yaha par di jayegi. Iske alawa waha par apni takat badhane aur aliens ka samna karne ke liye tumhe ek aur chiz ki madad milegi, aur wo hai aliens ki Devil Soul, Lekin is tarah kisakti tumhe yaha nahi balki Hypreion grah par hi milegi.jab waha par tum kisi alien ko maroge na to tum uski devil's soul haasil kar sakte ho. Ek bar jab tum kisi alien ki devil's soul haasil kar lete ho tab ya to apne roop ko usi alien ki tarah badal sakte ho ya use kavach ya dhal ki tarah istemaal kar sakte ho, ye is baat depend karega ki tumne kis type ke alien ko mara hai, iske alawa tum Waha fal aur sabji o ke soup se bhi gene points haasil kar sakte ho par uski me guarantee nahi de sakta, baki jaise-jaise tum develop hoge waise-waise tumharejivan ke saal bhi badhte jayenge. Devashram me development ke 4 charan hote hai ur jaise-jaise tumhare development ke Charan pure hote jayenge waise-waise tum agle Charan ke liye qualify karte jaoge. Ye usi tarah hai jis tarah video game me character upgrade hota jata hai. Lekin ye sab kuch tumhare gene points par depend karta hai. Tumhare gene points jitne zyada takatvar honge utni hi jaldi tum develop hokar agle Charan me pahoch jaoge aur jitni jaldi tum agle Charan par pahochoge tumutne hi zyada takatvar hoge, Khatarnak se khatarnak alien ka samna kar paoge.

[Dr. Khurana ki baat sunkar Rohit kafi zyada excited ho jata hai. Par ek sawal abhi bhi wahi ka wahi tha ki aisa sab karke uski pareshani kaise hal hogi. Isi bare me wo Dr. Khurana se puchhta hai.]

Dr. Khurana: Hyperion grah ke aliens 4 tarah ki categories me divided hai.

1> Ordinary Aliens

2> Primary Aliens, yani ki wo jo develop hona saru ho chuke hai

3> Mutant aliens, jo puri tarah se develop ho chuke hai

4> Sacred blood aliens

Alag-alag aliens ke alag-alag gene points hote hai, jo tumhe unki energy haasil karke milenge lekin uske sath-sath tum apne shikar ko bech ke bhi paise kama sakte ho. Aur tumhari kismat acchhi rahi aur tum kisi takatvar alien yani ki mutant alien ya sacred blood alien ka shikar kar lete ho, to us alien ki devil's soul ya hathiyar tum bechkar tum asani se karodo(Crores) kama sakte ho.

[Dr. Khurana ki baat sunkar Rohit ki aankhon me chamak aa jati hai.]

Lekin Rohit ye itna bhi aasan nahi hoga jaise maine tumhe pehle bataya hai, us grah par khatra kafi zyada hai aur sabs e badi baat, waha par tum akele Prithvi vasi nahi hoge tumhare alava waha aur bhi kai log tumse pehle se mojud aur tumse zyada takatvar bhi hai isiliye waha tumhe sirf aliens se hi nahi ladna hai balki tumhe apne aap ko dusro ke samne prove bhi karna hai. Tumhara compition sirf waha pehle se mojud prithvivasi se hi nahi balki khud se hoga, tum jitna jaldi khud ko takatvar banaoge utni hi jaldi khatarnak aliens ko markar paise kama paoge. Lekin ek baat, ek baat me tumhe pehle hi bata dena chahta hoon, ki agar is secret mission me tumhe kuch ho jata hai to humari agency iski koi zimmedari nahi legi. Kyuki sarkar ko humare is mission ke bare me kuch nahi pata hai. Isiliye me ab ye faisla tum par chhodta hoon, Agar tum ye khatra mol lene ke liye taiyaar ho me abhi hi tumhare Hyperion grah jane ki sari taiyaariya saru kar deta hoon. Nahi to phir hum koi aur rasta sochenge faisla tumhara hai, acchhe se soch lo pehle.

[Itna keh kar Dr. Khurana relax hokar beth jate hai aur Rohit unki baton par gor karte hue soch me pad jata hai. Dr. Khurana ki baaton se Rohit ko ek baat to saaf ho gai thi ki Hyperion grah pe sach me bhot khatra hai lekin agar wo waha nahi gya to 3 crore ki itni badi rakam ko itne kam samay me haasil karne ka koi aur muaka nahi milega. Agar vo is secret mission pe jata hai to uski jaan ko khatra hai lekin agar wo secret mission pe nhi jata hai to uska Parivar beghar ho jayega. Kafi der sochne par wo ek faisle par pahoch jata hai.]

Rohit: Uncle me Hyperion grah ke is Secret mission pe jaunga.

[Rohit ka faisla sun kar Dr. Khurana ko behad Khushi hoti hai. Kahin na kahin unhe Rohit se ummid bhi yahi thi aur wo puri tarah se unki ummido par khara utra tha. Lekin phir bhi wo Rohit ko ek baar phir se sochne ke liye kehte hai.]

Rohit: Maine ye faisla bhot hi soch samajh kar liya hai, jab tak zindgi me challenge na ho zindgi jeene me maza nahi aata, wo ye to meri zindgi ka sabse bada challenge hai, mere isse romanchak baat kya hogi ki jin Superheroes ko dekhkar me bada hua hoon mujhe unhi ki tarah zindgi jiine ka muaka milega. Janta hoon ki isme khatra hoga lekin agar kuch hona hoga to wo yaha par bhi ho sakta hai. Agar me gya to mar jaunga lekin agar nahi gya to apne Parivar ko beghar dekh kar ji bhi nahi paunga. Isiliye me Hyperion grah jaunga uncle, bas aap se ek request hai, agar is mission me mujhe kuch ho jata hai to aap bas meri family ko sambhaal lijiyega, unka dhyaan rakhiyega.

[Rohit pure confidence ke sath kehta hai aur uska confidence dekhkar Dr. Khurana ha meapna sar hilate hai.]

Dr. Khurana: Me abhi se hi tumhare jane ki sari taiyaariya karta hoon. Kal se tum martial arts ki training ke liye agency ke institute me aa jana, Good Luck.

[Rohit ko aaj raat neend nahi aa rahi thi, usko itne bade adventure pe jane ka mauka jo milne wala tha. Dr. Khurana ki baaton se saaf tha ki jis ladki ne Rohit ki jaan bachayi thi vo bhi Hyperion par uski Competitor hogi. Subah hote wo ghar se nikal jata hai. Aur aise hi Dr. Khurana ke under agle 15 din ki primary training khatam ho chuki thi aur ab Rohit Hyperion jane ke liye ekdum taiyaar tha. Dr. Khurana jante the ki sirf primary training ke sath Hyperion jaise planet pe survive kaena mushkil hoga lekin wo Rohit ki jane se rok bhi nahi sakte kyuki Hyperion ko Rohit ki nahi, Rohit ko Hyperion ki zaroorat thi.

Rohit ke pita Dr. Khurana ke bhot acchhe dost the. Dr. Khurana us din Rohit ke pita ke sath hi the jis din unka murder hua tha. Us din kuch aisa hua tha ki jiska raz Dr. Khurana ne aaj tak apne dil me chhupa Rakha tha, Khurana bas ye jante hai ki aaj Rohit ke pita ki wajah se wo zinda hai aur isiliye Rohit ko sahi makam pe pahochana sirf unki zimmedari hi nahi balki unka Lakshya bhi hai.]

Dr. Khurana: (Rohit ko dil ki baat kehte hue) Dekh puttar, Training se skill develop hoti hai lekin us skill par vishwas experience se hi aata hai, isiliye Hyperion par Chhote-chhote kadam badhakar pehle Anubhav haasil karna, chhote chhote aliens ka shikar karke apne aap par vishwas haasil karna, aur jab ek baar vishwas aa jaye to chahe jo bhi ho jaye use kabhi mat chhodna, yaad rakh puttar bade se bada yoddha bhi shahid ho sakta hai hum mehnat ke aage kismaat ko nakar nahi sakte, tere pita aaj hpte to tujhe ye kabhi nahi karne dete, par me majboor hoon par chinta mujhe bhi tere pita jitni hai.

[Ye sunkar Rohit unhe gale se laga leta hai.]

Rohit: Uncle aap chinta mat kijiye, me apni safety maintain karke hi rahunga aur aapki di hui har sikh ko manunga.

[Iske baad Rohit Hyperion jake ke nikalta hai.]

*To be Continued...*