Chereads / achha lagta hai / Chapter 1 - chapter 1 ....PAGAL

achha lagta hai

Marvel_Sameer
  • --
    chs / week
  • --
    NOT RATINGS
  • 1k
    Views
Synopsis

Chapter 1 - chapter 1 ....PAGAL

Simple scene /Father-son story in mids of fight.

Iss baar me isko Hinglish me likhunga aapke liye.

Har kisike jivan me parents ke moral teaching important hota hai. Usike karan koi achha aur bura ban sakta hai...jiske parents strict ,morals or kindness sikhate hai bachha bada hoke achha banta hai.warna bina achhe parenting ke log serial killer tak ban jaate hai...

So let's start the moral giving scenes...hum chote chote baato se sikh lete hai right..

Bas aapke movie scene jaisa par lite version abhi ke liye

Yeh bas

***** *** ** ********* * ****** *** ***

Thg* boom..(attack from enemy)

Arya iss attack se door jaake gira,dard ko sambhalte hue kisi tarah woh khudko sambhala

Uske man me pehle se kahi vichaar the.

Ki woh aisa kyun hai,uska sareer hamesha hi khatre me kyun kud jaata hai woh jaanta hai akele koi bhi kaam asaan kabhi nhi hoga woh pagalpan hai.

Woh Hamesha se hi aisa tha dusro ki musibat me khud ghus jaata tha taki woh jaldi tal jaaye , woh chaahe toh khudko bina chot pahunchaaye bhaag sakta hai par waise khayaal aata hi nhi uske man me.. Kya yeh worth it hai,kya yeh dard jhelna worth it hai...

Arya yeh sab soch hi raha hota hai ki tabhi ek aur visphot hota hai BOOM***

Flashback.

ek thaka hara Aadmi Pharsh me beth kar Akhbaar pad raha hai aur usme woh apna favorite Car jo woh hamesha se khareedna chahta tha usko dekh kar khus ho raha tha.

"Hmm Agle saal zaroor lunga "

"Par yeh aur bhi mehnga ho jaayega na" Yeh soch kar woh uth ta hai aur akhbaar rakh deta hai aur wahaan se jaate samay dekhta hai ki uska 12 saal ka beta niche baith kar apna haath pakad kar baitha tha jiske saamne ek bada almari thi.

" Kya hua".. jab i woh aadmi ne pucha

"Kuch nhi papa Almari ko andar lene ki kosis kar raha tha au-aur haath me lag gaya."

Itna bada almari ko dekh kar papa bole

"kya zarurat thi akele uthane ko tu bhi achhe tarh se jaanta hai yeh tujh akele se nhi uthega."

Beta chup raha aur Papa ne dhire se Almari ko utha kar side me rakh diya jo woh khud badi muskil se uthakar rakhe.

"Beta kaam utna hi karo jitna tum akele kar sakte ho Apne aukaat/ limit se jyada ka kaam akele koi nhi kar sakta ."

" Beta:- aur koi karne ka kosis kare toh."

"Papa -"Toh? Woh mere hisaab se pagal panta hai usko me pagal hi kahunga jab tum jaante ho ki tum akele se woh nhi hoga toh energy waste kyun karna."

"Papa bura mat maan na toh kya aap bhi pagal ho"

Apne bete se yeh sun kar papa ko ajeeb laga aur puchhe

"Kya? Kya matlab me pagal hoon."

"Beta:- Aap Har din subah se lekar raat tak kaam karte hai bina koi araam ke woh bhi pura saal ,ghar ke aane ke baad mujhe padhate ho sabka haal chaal puchte ho aisa dikhawa karte ho ki kuch hi nhi hua aapko phir raat me dard ke karan so nhi paate,me bhi har baar aapko dekhta hoon..itna kaam kyun agar paisa kam mil raha hai toh..aur woh paisa hamesha mere padhai ,kapde tution,school me kharch,loan ,ghar ki baaki kaam me chale jaata hai,

Aise agar chalega wo-woh gaadi toh lene me saalo lag jaayenge papa.

Aap bhi jante hai yeh akela muskil hai aur aap mujhe aur mammi ko bhi kaam karke madad karne me mana karte hai, toh kya aap bhi pagal ho papa..kabhi kabhi sochta hoon kyun karte ho aap aisa"

Yeh sun kar papa bhi ek sec ke liye chup rehte hai phir kehte hai..

"Pehli baat tu kaam karne ke liye chota hai aur mammi ka tabiyat kharab rehta hai aise me,me nhi bhejra tum logo ko kaam karne waise konsa kaam karoge gatar saaf karoge?.ha ha"

Yeh kehke papa pharsh me let gaye..

"Aur baaki me pagal hoon ya nahi??

"Hmm..yeh sach baat hai ki akela karna mushkil hai par me jaanta hoon me kya kar raha hoon kya tumhe school jana pasand nhi?."

"Beta-Pasand toh hai"

"Papa-Achha lagta hai school jana?"

"Beta - hnn "

"Bas aur kya chahiye agar tum dono ko me khus rakh sakta hoon toh aur kya hi chahiye aur kyun matlab kya hai? Me isliye karta hoon kyun ki me jaanta hoon ki yahi thik hai mujhe achha lagta hai jab me tum dono ko hasta hua Dekhta hoon

.Aur shayad hnn me ek pagal hoon kabhi kabar pagal hona padhta hai ARYA .kuch k@am akela hi karna padhta hai bas tumko achha lagna chahiye.aur MUJHE ACHHA LAGTA HAI TUMHE HASTE HUE DEKHNA.

mere basme hota toh me sabko khusi se rakhta par woh mere bas ki baat nhi hai me woh nhi kar sakta par dekhlena woh Car me zaroor launga woh bhi akele.

3 saal baad unhone woh car kharid bhi liya tha.

****.

Flashback khatm.

Thud**.

Arya ke saamne monster khada hota hai..

Arya khudko sambhal ke khada hokar uske taraf daud ta hai.

"Kya tum insaan pagal hote ho ..tu jaanta tu kamjor hai ek akele kya hi karloge."

Monster ek ped uthakar Arya ke taraf fekta hai jisko Arya dodge karke piche hat jaata hai.

Monster- Tu yeh sab kar hi kyun raha hai tu toh araam se mujhse door bhag jaata kai surakshit jagah par inko marne deta kon hai yeh tere kya milta hai madad karke.

Kuch soch kar Arya upar dekhte hue bolta hai.

"MUJHE ACHHA LAGTA HAI bas isiliye me karta hoon yeh sab."

"Mujhe achha lagta hai sabko haste hue dekhna..bad itna hi"

Yeh bolkar Arya apna waar karta hai, monster dodge karke laat marta hai jisse arya thoda piche ho jata hai.

"Pagal Insaan"

Yeh kehke monster ek bada aag ka gola bana kar arya ke taraf fekne ki kosis karta hai par usse pehle Arya uske dil ko talwaar se chir deta hai..

Monster niche gir jaata hai aur arya bhu niche girjata hai..yeh kehte hue ki

"Hnn shayad me pagal hoon".

By sameer prasad .

(Within 6 minutes )