Fansi Ke Rasso Ko Choom
Topo Ke Aage Khade Hokar
Rui Ki Tarah Dhuna Jakar
Bandook Ka Nishana Ban
Kale Paani Ki Khaak Chan
Lathiya Khaa Baraf Ki Silliyo Par Sokar Hamne Azadi Paayi Hai.
Isyi Nashe Main Hamne Yah Sapna Dekha Tha, Par Jab Aakh Khuli Toh ye Chehre Nazar Aaye.
Aapne Kabhi Gaur Se Nahi Dekha Ye Chehre - Maine Bahut Dhayaan Se Dekha Hai, Aur Jab Maine Inhe Puri Tarah Se
Pahchan Liya, Toh Inhe Maine Apni Stroy Main Kuch Patro Ki Tarah Dikhaya Hai. Aur Main Aap Logo Ko Bata Doon, Yah
Chehre Pichale 22 Saalo Ke Pratiroop Hai.
Inn Kuch Logo Ke Paas Itana Jayda Paisa Hai, Ki Dusari Taraf Sirf Nangapan Hi Rah Gaya Hai.
Clubs Main Raunak Aa Gayi Hai.
Par Gali Mohhle Shant Ho Gaye Hai.
Iss Desh Ka Samajho Ek Sheesha Hai, Aur Yah Story Iss Chehre Ki Sacchayi Ko Dikhayegi.
Chehra Ek Asak Do
Nazar Apni Apni
Pashand Apni Apni !
Azadi Ko Hamne Bahut Khoon Baha Kar Paya Hai, Aur Isye Banaye Rakhana Hamara Kaam Hai, Apne Aap Ko Shikshit
Kare Aur Soche Ki Aapko Iss Desh Ko Kaise Aage Badhana Hai, Aur Duniya Ke Shaath Kadam Se Kadam Badhana Hai, Aur
Aisa Karne Ke Liye Apne Vicharo Ko Bahne De