Download Chereads APP
Chereads App StoreGoogle Play
Chereads

Aaj bhi un dono ki rone ki awaj hr aane jane wale logo ko sunai deti h

Ajay_Chauhan_8430
--
chs / week
--
NOT RATINGS
1.4k
Views

Table of contents

VIEW MORE

Chapter 1 - GADARIYA KA ISHQ

ek gaav me ek gadariya rehta tha, uske pass kuch bhed aur bakri thi, wo un se nikalne wale dudh se apna gujara karta tha, wo roj roj ek hi kaam karke bor ho gya tha, to usne socha kyo na dusre sehar jaa ke ghuma jaaye, aur wo agle din subah apni bhed aur bakriyo ko le ke nikal gya pahado ki taraf aur chalta gya, aur pura din ghumne ke baad jab raat hui to wo apne ghar se kaafi dur aa gya tha to wo wahi par so gya, aur utth kr wo phir ghumne nikal gya, uske pass khana bhi khatam ho gya tha, phir kuch dur aage jaane ke baad use ek jhopdi dikhayi di aur wo us jhopdi ke paas jane laga, jab wo us jhopdi ke pass pahucha aur darwaje ko khat khataya to usme se ek sundar ladki nikli jo bahut hi khubsurat thi, phir gadariye ne bola ki mai apne ghar se bahut dur aa gya hu aur mere pass khana aur pani bhi nhi h mujhe kuch de do jis se meri bhukh mit jaaye to ladki ne use apne ghare bulaya aur khana khane ko diya, ladki ghar me akeli hi rehti thi aur us gadariye ko dekhte hi use us se pyar ho gya, phir kuch der baad raat ho gyi aur thand ka bhi samay tha to dono ek hi bistar me so gye, phir raat ko gadariye ko thand lagne lagi, phir ladki ne use pakad ke kiss kiya aur phir dono ne khub maja kiya, jab subah hui to gadariye ne bola mujhe ijajat do mai 4 din ke baad aoonga, aur wo ye bol ke chala gya, aur wo ladki uski raah dekhti rahi jab 4 din wo gye tab bhi wo gadariya nhi aya, phir ladki ne socha kal subah mai ja ke use khud dhoondhugi aur wo agli subah use dhundhne nikal gyi aur kafi dhundhne ke baad wo ek pahad pe pahuch gyi aur ye soch ke rone lagi ki wo gadariya is pahad se gir ke mar gya aur wo bhi rote rote us pahad se kud gyi aur mar gyi, kuch din ke baad jab gadariya uske ghar pr aaya to wo nhi thi phir kuch der rukne ke baad bhi jab wo ladki nhi aayi to wo bhi use dhundhne nikal gya aur wo bhi us pahadi pr baith lar rone laga, phir ye soch ke wo waha se kud gya ki usne mujhe dhokha diya hai aur kud kr apni jaan de di, kuch log kahte hai ki aaj bhi un dono ki atmaye ek dusre se milne ke liye tarasti hai aur har aane jaane wale logo ko unke rone ki awaj sunayi deti hai.