Download Chereads APP
Chereads App StoreGoogle Play
Chereads

Jindagi ke anokhe rang insaf ka

Santosh_Sri
--
chs / week
--
NOT RATINGS
1.5k
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - Jindagi ke anokhe rang insaf

Har jagah khusiya hi khusiyan par ek kami thi jo logo ko samjh nahi aa raha tha. Kab aur kahan kaise ghatanaye hoti rahti aur her ek las par ek ful hota safed rang ka likha rahta ensaf.

Par thore der bad wo ful rahta par las aur likha kagaj gayab ho jate .

Logo ke jine ka andaj mai koei fark nahi parta. Sab khus the din bitne ke bad raat ke samay ek sundar si khusbu aur ahat hoti fir batawarn ek dam shant . Sab en khusbu mai kh jate fir wahi ghatna ensaf par ye insaf kya Kyun kiske liye . Kisi ko vi samjh nahi aat.

Ek subah ek anokhi ghatna ghati savi apne apne kamre mai so rahe hote hai subah ka 4 ya 4.15 ka time hota achanak ek ahat hoti hai aur khusbu aati hai sab uth kar palang par baith jate hai aur hasne lagte hai aur savi jo 50 aur 60 ke umar ke bayakti the apne purane yado mai kho jate hai.

Ye kahani aaj se 35 sal pahle ki ghatna thi . Ghar mai kul 20 se 25 bayakti ki joint family thi. Unme sabse bujurag byakti dadaji dadi amaa unke char bete do betiyan savi padhe likhe savay pariwar dadaji gaon ke samanit byakti aur sarpanch hua karte the jamin jaydad khub thi pariwar hansta khelta aur khus raha karte the .

Bata beta bides padhne gaya chota bharat mai rah engineering kar raha tha majhla beta gaon mai kheti bari aur sabse chota hansmukh khule bichar ka aur shararti tha savi se pyar muhabbat milna julna jindagi ko jine ka maja lena aur savi baro ka maan sanman ejat dena.

Unke dono betiyon ki sadi ho gaei jisme ek beti doctor dusri grihani thi wo log vi apne pariwar mai khud thai.

Ek din haweli mai achanak ek ghatna ghati Mali ki achanak mout ho jati hai.

Ghar ke savi byakti paresan ye hua kaise wo subah ke 8 baje. Tavi ek awaj aati hai hasne ki aur fir sant. Ek sunder si khusbu logo ko samjh mai nahi ata aur sab madhos ho hasne lagte hai. Par eska asar uske chote bete aur dadi aama par nahi hota. Unke kitchen ke kamre mai ek safed ful aur ensaf likhe huye ek kagaj ka tukra dikhta hai. Koei kuch vi samjh nahi pata. Din esi udherbun aur mali ke dah sanskar mai gujar jate hai batawarn gamgin aur udasi . Las ko jab jalane jate hai wo gayb ho jata hai par kisi ko pata nahi chalta aur wahan ek safed aur ensaf likhe ek kagaj.

Savi esi udherbun mai the ki ye sab kya hai.

Fir bara beta bidesh se wapas padhaei kar aa jata hai dushra wala engineering kar aa jate hai aur fir ek ek kar dada aur dadi dono mil kar charo bete ki sadi kar dete.