Salam...
Kese ho ap umeed hy khairat se hoge.
Dosto aj main ap ko jo bt bata raha hn wo 2018 ki hy jb main iran or iraq ki ziaraton pe gaya tha ghr se nikle quetta main 2 din rahe phr wahan se nikle taftan ki taraf 980 kilo meter safar kar k taftan border pe puhnche border kiras kiya passport chek karwa k iran puhnxh gai gari main bethe zahidan ki taraf gai jo k 100 kilo meter tha 2 din zahidan main lege us k bd Qom gai hamahre pas din kam the is lie Qom main kuch gante ruke kiun chehlum pe puhchna tha iraq .
khair hm Qom se nikle chalumche barder ki taraf 12 ghanto k bd iraq border pe punche border kiras kiya najaf ki taraf rawana ho gai border se najaf 12 ghanto ka safar tha jo hm ne tai kiya najaf puhnche ek arab k ghr rihaish ki subh hote he najaf Hazrat Imam Ali a.s k roza mubarak k samne khare ho k salam phera phr piyadal karbbla jane lage jo 92 kilo meter tha hm ne 3 dino main piyadal safar kiya karbbla puhnche .islami date 19 safar thi 20safar ko chehlum tha subh 20safar chehlum k din hazrat imam hussain a.s k roze pe gai ziarat ki dua e ashora parhe bari tadad main log the us saal pata cha taqreeban 800 lac olg aai the 20 safar k bd phr hm najaf gai 3 din najaf main rahe hazrat Ali a.s k roze ki ziarat ki phr wapas karbbal gai 4 din wahan rahe kabbla ki jo ziarte the wo ki hazart imam hussain a.s or hazrat Abbas ka roza amne samne tha wahan ziaraten ki phr bagdad gai samra .kazmeen or b ziaraten thi jo hm ki us k bd wapas iran aai Qom main 4 din Qom main rahe wahan ki ziaraten ki wahan se mashhad gai 4 din mashhaf main rahe us k bd apne mulk rawana ho gai or khair se ghr puhnch gai.
to dosto kese laga mera safar nama umeed hy ap ko safar main maza aya hoga.