WEBNOVEL's writing platform-INKSTONE can realize your creative dream and connect you with readers all over the world with words. You can also visit https://inkstone.webnovel.com Create on the PC.
hi,
My own historical story,likh rahi hon mn Kesy likhon Kisi ko Pasand aaegi ya nahi mujhey nahi pata lekin itna zaror pata hy ki herkoi is story sy itafaq zaror karega.
ye Kahani tab shuro hui jab mn 8 year ki thi wo is liye 8 year ki age sy shuro hui kiyonki jab mn 8 year ki thi us waqt mery papa ki death hui ham 5 behny aik Bhai Jo sabsy chota tha usko tu pata bhi nahi tha ki yateem Hina kiya hota hy or ye yateemi hamary liye kitni pareshaniyan laeygi lekin wo kehty hn na ki Allah Kisi bhi apny piyary bandy ko Kitna wo bardasht ker saky utni hi mushkilen deta hy.
kher mery papa ki death KY bad Meri sisters ny CHOTI MOTi jobs ki or jesy tesy ghar ky kharchey ko Dhaka diya jab Meri mother ki idat poori hui tu mery uncle ki tu pehly sy Meri mother py Nazar thi kiyonki un ki wife ki mery papa sy pehly death ho chuki thi tu mery papa ki jesy death hui unko apni sazish kerny ka muqa mil gaya.
Khair aagy chalty hn Kahani mn Meri mother ki idat poori hui tu mery uncle ny un sy marriage kerli ye kehkr KY tumhari 5 betiyan hn tumhara beta chota hy mn inka Sahara banonga Sahara kiya bany Ulta ham sab Bhai behn mushkil mn par gaey phir ab uncle ki Suno sath mn un KY bachon ki bhi waqt guzra mn bari hui mera Ghar meray liye qeed Khana ban gaya mery apno ki buri Nazar sy Bach kr mn Kahan jao har koi taq lagakr betha hota tha KY kahen tu bus akeli mil jaey tu jhapt paren.
mn buhat Koshish Karti thi khud ko mehfooz kerny ki lekin unki gid ki nazron sy Bach nahi pati thi Bahar Chali jati school phir tution ziyada sy ziyada waqt Bahar guzarny ki Koshish kerti lekin bhag kr jati Kahan Ghar tu aakhir aana hota tha.phir Wohi Ghar Wohi torcher apny Ghar mn bathroom Jany sy room mn Jany sy kahen akely rahny sy dar lagta tha apni parchaen dekh kr dar jati thi.
kiya Karti Ami ko batati tu koi faida na hota wo bichari halat ki Mari Kuch nahi krpati tu unko kiya pareshan Karti khud akely Jang larti rahi bachti bachati.lekin Jang haar jati gidon ny mujhey buhat nucha mn Bach nahi paey buhat bar Socha is Zindagi sy jaan churalon lekin kamzor insan thi wo bhi na kr saki.
waqt guzra Meri shadi hui Socha ab mera ACHA waqt aagya lekin mujhey kiya pata tha mera asli imtihan ab shuro hua hy. meny apni Pasand sy shadi ki meny ye samjha ki ab Meri Zindagi sy sary dukh pareshaniyan khatm hogae ab mn sukh ki sans longi apni Zindagi jiyongi mn Azad hogaey khof sy apny husband KY sath Khush rahongi lekin.... mujhey kiya pata tha Meri Khushi ko girahn lagny Wala hy ye Chand dino ki hy Chand sansen Khushi ki or bas shadi KY Sirf aik sal KY andar mujhey apny husband ny wo tuhfa diya Jo mn chahti hon Allah Tala na Kary Kisi ki beti ko ye gift Mily Jo mujhey Mila mery husband ny 2nd marriage kerli mery sarsy aasman chin gaya paonky nechey sy Zameen Nikal gaey Mera Dil kiya abhi khudkushi kerlon or is dunya ko or ismy basny waly behis insano ko khaskr mardon ko Jo aisa kam kerny sy pehly kabhi apni wife KY bary mn nahi sochty ki us per kiya guzraygi un mardon ko aajky Baad kabhi na dekhon lekin phir Wohi waja kamzor insan thi khud kushi karney ki himmat nahi thi mn tu mar gae us din aik zinda lash ban gae magar apni lash ko uthakr chlti rahi chalti rahi waqt guzarta gaya.
Meri soutan ki death hogae us ko bhi koi ulad nahi hui Jo waja Bata kr mery husband ny doosri shadi ki thi shadi ko15 sal hogaey koi ulad na hui duniya walonki baten sun sun kr mn tang aagaey thi koi aisa darwaza nahi tha Jahan mn nagaey hon koi doctor koi per faqeer koi Hakeem Jahan koi batata KY falan KY ilag sy tumhen ulad Hogi wahan mn puhanch jati thi phir naumeed honey lagi tu achanaq Khushi ki Khabar aaey 15 sal bad Allah Tala ney mujhey ulad ki naemat sy nawaza Meri aik piyari beti hue mn us mn masroof hogaey duniya ka koi gosh na tha mery husband ny mujhsy bas Sirf nam ka rishta rakha phir bhi ab mujhey koi pareshani nahi thi kiyonki mery pas Meri beti hy. aik urat Jo chahti hy KY usy piyar kerny Wala,us ka khayal rakhney Wala,us ki izzat kerny Wala husband Mily wo mujhey nahi mila hamesha apny husband ko gussy mn dekha galiyan dety dekha mn piyar ko taras gae lekin wo din ab tak nahi aaya mn aik narag say Nikal kr doosry narag mn aagaey ab buhat beemar hogaei hon Meri beti abhi CHOTI hy Allah na Kary ki us ko Meri Jesi Zindagi Mily us ki sari pareshaniyan mujhey milen aameen sum aameen.Allah Tala her ma nap ki beti ko achi Kismat dy khudkushyan dy aameen sum aameen.Allah Hafiz