Download Chereads APP
Chereads App StoreGoogle Play
Chereads

Boxer

Ahtsham_Shami
--
chs / week
--
NOT RATINGS
4.7k
Views

Table of contents

VIEW MORE

Chapter 1 - Struggle

Kabhi kabhi ap jaisa sochte ho wese nhi hota.Arham ek middle class family se tha.Us ke bhi same struggle the jaise baki middle class bachun ke hote.Bachpan se he us ko grades,job,se cure career ,shadi agr agr job nhi karo ge to Zindagi ma tumhara kuch nhi hone Wala.Wo bhi isi race ma lag gia us ne graduation complete kar le lekin asli life ke problems us ke baad shuri hoen.Na usko ko kahin job mil rahi the kuinke har jaga rishwat aur sifaarish chahia the uper se ghr walun ka pressure,rishtedaarun ke taane wo andar he frustrated rehne laga tha.Lekin jab insan ko koi Rasta nhi dikhai de raha hota to Allah koi na koi Rasta Nikal he deta ha.Ek din wo park ma ek bench betha hoa tha air Apni life ke bare ma soch raha tha ke pata nhi uska kia bane ga.Tabhi ek Admi exercise ke baad relax hone ke baad wahan a kar beth gia.Us ne ise pare dekha to poch lia.Wo Admi tha to anjaan lekin nhi kuin Ise wo shakhs apna sa laga Arham ne us ko sari baat bta de.Us Admi ne ise Kaha ke ye frustration jitni apne andar rakho ge utna jaldi Tum dimagi mareez ban joa ge.Is frustration ko energy ke Tara use karo.Wo Admi ek boxing club ma trainer tha wo us ko wahin le gia.Ye bhi boxing ke training karne laga.Tarkreeban 8 month training ke baad Arham ne National level boxing competition ma hisa lia.Wo ye competition to nhi jeet pata lekin ab usko boxing ma Maza ane lag gia tha.usne pehle se Zaida mehnat karne lag gia usko Zindagi ka maqsad mil gia tha.Agli Baar jab competition hoe to usne ne competition jeet lia.Kabhi kabhi hamain Zindagi ma sahi maqsad milna zaroori hota ha jahan hamare lia haar aur jeet zaroori nhi hota bas khelna zaroori hota.Is lia dunya ke peechne Zaida bhagne ke zaroorat nhi ha.Khud se baat karna seekain kuin ke apse behta apko koi nhi Samaj sakhta.Bahar ke dunya ko control karne se acha ha apne andar ke dunya ko control karo kuin Bahar ke dunya ko to hum control he nhi kar sakte sab ke expectations Pori karna na mumkin ha.