Chereads / I can't Forget you, My Love / Chapter 34 - Chapter 33

Chapter 34 - Chapter 33

Der raat Vani sohte huye uthti hai, aur beth jati hai "Mujhe bhuk lagi hai... Pata nahi konsi Dish mangwai thi... bhuk bhi khatam nahi hui..."keh kr Vani Kitchen ki aur chal deti hai,

Pure Villa ki light off hai.Vani Jese hi freez ka gate open karti hai, Andhere me side me Ruhan khada hota hai, Vani ko Ruhan nhi dikhta hai. Ruhan abhi bahar se aya hai or Pani pee raha hai. Wo Freez ki light se Vani ko dekh leta hai.

"kiya dhundh rahi ho?" Ruhan

Vani Ruhan ki awaz sun ke saham jati hai aur Freez ka gate band kar deti hai, Ruhan lights on karta hai, Ruhan ke Hath me Water glass dekh kr Vani samajh jati hai, ke Ruhan pani pine aya hai. lekin uske kapde dekh kr pata lag jata hai ke Ruhan abhi hi ghar aya hai.

"Wo... mujhe bhuk lagi hai... isly socha ke freez me kuch khane pine ka rakha hoga... to meri bhuk khatam ho jaygi, aur main Aram se soh sakungi. lekin iss freez me sab vegetable hi hai."Vani kehti hai.

Ruhan sun ke Muskurate hai, aur apne hath ka glass Side me rakh ke dusre freez ki door open karta hai, Usme Sab kuch Vani ki pasand ka rakha hua hai, Venilla flavour Vani ka favourite flavour hai, uss flavours ke kafi item usme store hai.

"Ye dekho.... Ye pura refrigerator tumhari hi favourite chizo se store hai" Ruhan

Vani Khane ke saman ko dekhti reh jati hai, phir kehti hai," Kisne kaha ye mere favourite items hai?"

"Kyun, ye sab tumhe bachpan me pasand tha, specially, ye Venilla flavour...." Ruhan ki bat adhuri reh jati hai.

"Nahi... mujhe ab Venilla flavour pasand nahi hai...wo bachpan tha... logo ka behaviour badal sakta hai... pasand badal sakti hai... to flavour kyun nahi..." Vani keh kr freez me se venilla flavour cake nikal ke apne room ki aur chali jati hai.

Ruhan Vani ko jata dekhta reh jata hai. Room me aakar Vani apne bed pe beth ke apna ser pakad leti hai.

"ye maine kiya keh diya aur kyun?, Mujhe ye flavour aaj bhi pasand hai... " kehti hui cake khane lagti hai

Morning,

Ruhan Uth ke ready hoke dining table pe aake beth jata hai, jo kitchen ke thik samne lagi hai jispe aram se 6 log beth sakte hai. Ruhan ke samne acha sa breakfast rakha hua hai, Breakfast me omelet bread and tea rakhi hai. Ruhan use khane lagta hai.

Vani hath me pasta ki ek plate le kr aati hai. Ruhan ko breakfast khata dekh kehti hai.

"Ye.... ye... tum kiya kar rahe ho...?" Vani uth ke apne plate table pe rakh ke Ruhan ko kehti hai.

"Kiya kar raha hun...?, Breakfast kar raha hun..."Ruhan Vani ko dekhte huye.

"Lekin... ye mera hai... maine khud bnaya hai," Vani Ruhan ke aage ki Plate apne seat ke aage karte huye.

"Kyun?, aaj Chef nahi aai ?" Ruhan.

"Kon chef? maine abhi tak koi chief nahi dekhi...mujhe nahi pata ye mera breakfast hai, Agar tumhe khana hai to khud bana lo" Vani keh kr beth jati hai.

"Mujhe khana bnana nahi ata...." Ruhan Sharmida hoke idhr udhr dekhta hai.

"Thik hai.... Tum ye kha lo, main apne liye or bana lungi..." Vani wapis sari plates Ruhan ke aage rakh deti hai, Ruhan chup chap khane lagta hai, Vani apna breakfast banane Kitchen me chali jati hai.

"Acha Tum mujhe apni favourite items ki list de dena... Main Refrigerator me wo saman hatwa ke tumhara favourite items store krwa dunga..."Ruhan

"Hm...Iski zarurat nahi... Use rakha rehne do... Hume khane ki chize waste nhi karni chaiye... main kha lungi" Vani apni plate table pe rakhti huye kehti hai.

Enter gate se dada ji Aate hai aur dono ko breakfast sath karta dekh dur se khush hote hai.

"Are wah....kitne ache lag rahe ho dono sath me..."grandpa khush hote huye dinning table pe aake beth jate hai.

"Grandpa aap... itni subha subha?"Ruhan.

"good morning dada ji" Vani Grandpa ko breakfast served karti hai.

"kyun?, kya main yaha nhi aa sakta hun...?" Grandpa tea ka cup hath me le kr sip karte hai.

"han... aap aa sakte hai... ye aap hi ka ghar hai..."Ruhan

"hmm.... tum dono ko yese couple ki tarah dekh ke dil khush ho gaya, aur Vani beta chai to bahut tasty hai... " Grandpa Vani se kehte hai.

"Sukhriya Dada ji... aur lege aap" Vani.

Ruhan sun ke Uth ke jane lagta hai,

"Kaha jaa rahe ho Ruhan?, " Grandpa

"Office...?"Ruhan

"Koi zarurat nahi hai wahan jaane ki...."Granpda

"Kyun Grandpa aaj important Meeting hai, agar main nahi gaya to...?" Ruhan

"Humne sab cancel kar di hai, abhi abhi tumhari shadi hui hai, ghumo phiro honeymoon jaao... Vani ke sath time spent karo" Grandpa Fligt ticket Vani ke hath me dete huye kehte hai.

"Grandpa....." Ruhan Irritate hote huye kehta hai.

"Bas..... Main ek word nahi sunuga... aaj sham ki flight hai.... Country B ki... jao jaa ke ghumo maje karo... company main sambhal lunga... abhi hum itne budhe nahi huye hai... Understand." Grandpa keh kr uth ke wahan se chale jate hai.

"Grandpa bhi na.... bahut ziddi hai..." Ruhan irritate hote huye.

Evening in Airport,

Airport ke entry gate pe Ruhan aur Vani apne luggage ke sath khade huye hai, Dono andar jane lagte hai ki, Ruhan ruk jata hai, aur ghum ke Vani ki aur dekhta hai. aur use uska passport aur ticket pkdata hai.

"Yahan se akela main jaunga, tum mere sath nahi jaogi...."Ruhan kehta hai,

Vani sun ke shocked ho jati hai. aur chup chap apni ticket or passport le leti hai. aur murd kr jaane lagti hai, Uski aankhe na jane kyun Nam ho gai hai. Ruhan Bhi aapne raste aage chal deta hai. Vani ke samne ek taxi aake rukti hai.

"Ma'am Taxi chaiye, kaha jana hai apko?" Taxi driver

"Mujhe kaha jana hai?, Main kaha ja sakti hun?," Nam ankho se Vani dhire se kehti hai.

itne me piche se Ruhaan aake uska hath pakad ke apne sath le jane lagta hai.aur Vani ka luggage bhi apne sath le kr jane lagta hai, Vani kuch samjh nahi pati hai. Airport me entry le kr dono rukte hai.

"mujhe pata chala hai ki Grandpa ne kisi ko humpe nazar rakhne ke liye bheja hua hai... Grandpa bahut hi ziddi hai... tumhe mere sath jana hi hoga... tabhi unhe yakeen hoga." Ruhan kehta hai.

Vani bas Ruhan ka face dekhti reh jati hai.

kuch der bad,

dono flight me chale jate hai.Vani kuch nhi keh rahi hai, bas mayusi wala face window ki aur le kr dekh rahi hai. Ruhan apni ankhe band kar ke Laita hua hai.

kuch der bad, Vani bhi soh jati hai aur nind me Vani ka ser Ruhan ke shoulder pe aa jata hai, jiski wajha se Ruhan ki nind khul jati hai. Ruhan ankh khol ke Dekhta hai, Vani Gheri nind me hai, Ruhan Dekh ke khamoshi se apni ankhe band kar leta hai.

Latest chapters

Related Books

Popular novel hashtag