Chereads / I can't Forget you, My Love / Chapter 3 - Chapter 2

Chapter 3 - Chapter 2

NextGen Tower, Ruhan Ke Grandpa ki Company hai, jo state me top pe aati hai.

NextGen Tower,

Ruhan ke Grandpa apne Mannager se,

"Ruhan yahan kab aa raha hai?"

"Sir, Ruhan Sir... 2weeks me aboard se Yahan aa rahe hai." Mannager

"hmmm.... Hume Ruhan ke liye koi achi ladki inhi 2weeks me dhundhni hai, Hum chahate hai, Ruhan ki shadi Humare samne ho. To koi hai tumhari nazar me yesi ladki jo humare Grandson ke sath achi lag sake ?" Grandpa Mannager se.

" Sir, mujhe nahi lagta agar koi ladki mil bhi jati hai, to Ruhan sir, shadi ke liye razi hoge...." Mannager

"Hmmm....ye sab humpe chod do... bas hume koi achi si ladki Dikhao...." Grandpa keh kr apne Office se chale jate hai.

" ab yesi ladki Main kaha se lau?, Kaha milegi yesi ladki? " Mannager apne se bat karte huye.

Coffee Shop,

Vani Costumers ko serve kar ke free hoker costume change karke jaane lagi hai,

"bye kal milege" ek smile ke sath sab workers ko Bye bol kr apne raste chal deti hai.

hawa tez chal rahi h Vani ke baal hawa me lehra rahe hai.

"Aj hawa kafi tez hai" Vani smile karke apne raste pe aage badhti hai.

Raste me Vani ko ek Old lady Road cross karti dikhti hai, Traffic jayda hone ki wjha se old lady Cross nahi kr paa rahi hai. aur uske hath me bhari saman bhi hai.sab Old lady ko dekh rahe hai, par koi uski madad ke liye aage nahi aa raha hai. Vani jaldi se Old lady ke pas jati hai.

"Hello, Laiye me apka bag pakad leti hun" Vani Old Lady ka ek hath se bag pakad kar, dusra hath se Old lady ka hath tham kar, Road Cross karne lagti hai. sab ko hath dikhati hai dhire dhire Car rukti hai.

Usi bich ek Car Traffic me rukti hai, Uss Car me Grandpa Aur Mannager Sath bethe hai. Dono Vani ko Old Lady ki help karte huye dekhte hai. Vani ke face pe ek pyari si smile se Grandpa impress ho jate hai

" ye ladki Kon hai...? iss ladki ke bare me pata karo... Phir hume batao" Grandpa Smile kar ke Vani ki aur dekhte huye.

"Yes sir, Main Apko Iss kam ki Jald hi report karta hu" Mannager

Vani Road cross karwa kr Old lady se," aap kaha rahti hai...? main apko chod deti hu, Ye saman bahut bhari hai..."

"Nahi beta, tumhara sukhriya, Mujhe uss pas wali banch pe betha do...Mera beta abhi thodi der me yahan aata hoga... " Old Lady .

"Acha apke bete sach me aa rahe hai?, " Vani banch pe Bag rakh kr old lady ko bethate huye.

"han... Wo Iss side aane wale the Isly mujhe road cross karna tha, warna wo preshan hote, main unhe iss budhape me preshani dena nahi chahati" Old Lady.

"Aap apne beto ke bare me itna sochti hai... ye achi bat hai, lekin iss umar me apko apna bhi khyal karna chaiye aage se aap akele bahar itne bhari saman ke sath nahi jana..." Vani Smile kar ke Old lady se Vida leti hai aur apne raste chal deti hai.

Another Day,

NextGen Tower,

Grandpa Apni chair pe bethe kuch document check kar rhe hai, tabhi Mannager ata hai.

"Sir, aapne jis ladki ki detail mangi thi main wo le aya hu" Mannager ek file aage karte huye.

"Oh...Good" Grandpa File hath me lekar check karte hai, Usme kuch Vani ki pictures hai.

Grandpa ek Picture ko hath me le kar, "Ye to bahut khubsurat hai, Humare Ruhan ke sath bahut achi lagegi....par Ise dekh kar yesa kyun lag raha hai, Jese Maine ye chehra kahi dekhi hai...?"

"Sir, Ye ladki bahut pyari hai, Sab ke sath achi, Or humesha mushkurati rheti hai, Maine kai din Iske bare me jana hai, Iss ladki ki Maa Sabji ki shop chalati hai, Ye ladki phele Apni mom ki help karti hai aur phir ek coffee shop me part time job bhi karti hai, bahut mehnati bhi hai, Aur Iska bahut pyara nam bhi hai Vani..."Mannager kehta hai.

Grandpa Nam sun kr thoda soch me padh jate hai. "Vani...?"

Agle din Grandpa Simple Kapde me Roop badal kar Vani ki coffee shop ke bahar uska intezar kr rahe hote hai.Vani Coffee shop se kam karke Nikal kr jane lagti hai, Grandpa bhi Uske piche piche chal dete hai, Vani ko raste me Wahi Phool dene wala baccha milta hai, aaj bhi uske hath me kuch Colourful Flowers hai.

"Hi, sis" Baccha Vani ko dekh kar.

"Are Tum yahan...?" Vani smile kar ke.

"Han... Main pas hi me rehta hun... Aj mere pas Uss din se bhi ache flowers hai... Aap inme se apne liye chuniye..."baccha Vani se.

"Ah... Koi nahi, aaj me tumhare flower nahi lungi..."Vani Bacche ke ser pe hath pherte huye.

"pr Main dena chahata hun....Dekho mere pas Bahut se rango ke phool mojood hai, Aur inn sab flowers ka Apna ek Matlab hota hai, try to kariye, please....sis" baccha flowers ko aage karte huye.

"Acha thik hai, Aaj Main Ye Yellow wala leti hu... ye thik hai na?" Vani Yellow Flower le kar smile karte huye bacche se.

Grandpa Dur se ye sab dekh rahe hai.

"han ye Acha hai, kiya iska matlab Ap janti hai...?, Aap Kisi purane Dost se milegi... " Baccha Vani se kehta hai.

Vani sunte hi Hairan hoker flower ki aur dekhne lagti hai. tabhi bacche ki Mom use awaz lagati hai.

"Rishi...chalo ghar nhi jana?"

"aya Mom....Bye sis Phir milte hai..." Baccha bye keh kr Wahan se chala jata hai.

Vani Smile kar ke use bye ka hath hila kr ishara krti hai.

Vani road cross karti hai, Bekhayali me Grandpa bhi uske piche piche road cross karte hai. Vani Flower ko dekhti hui aage badh rahi hai, tabhi Traffic light badal jati hai. Grandpa Vani ka picha karte huye jese hi aage badhte hai. ek car Tez speed me aati hai aur Grandpa ko Takkar mar deti hai. Grandpa ka accident ho jata hai.Grandpa road pe hi gir jate hai aur bahosh ho jate hai.

Latest chapters

Related Books

Popular novel hashtag