Act-4: krishna aur Garima dono ek hi college me admission lete h.Garima aur krishna Art side padhai karte hai.Garima English se phd karna chahti hai aur krishna psychology se B.A .karke psychiatrist ka course karna chahta h.Dono ki padhai complete ho gyi hai,dono ghar wapas aa gye h.krishna ke papa nhi chahte ki wo doctor bane wo chahte h ki unka beta business sambhale lekin krishna chahta hai ki business uska chota bhai karan sambhale aur wo doctor banega.krishna doctor ban jaata hai aur Garima phd kr chuki hoti hai wo degree college ki professor hai.krishna ke papa use shadi karne ke liye kahte hai lekin wo mana kar deta hai uska kahna hai ki wo shadi nhi karega,wo social work karna chahta hai,shadi ke bandhan me nhi bandhana chahta hai aur karega shadi to aisi ladki se jo uske jaisi ho,wo bhi social work karti ho.jo uske kaam me pura sath de.krishna ke papa kahte hai mere dost ki ladki ko dekh to lo na pasand aaye to mana kar dena,wo tyaar ho jaata h.Ragini ek fashion designer hoti hai jo ki bahat khubsurat hoti hai .krishna ko wo pasand aa jaati hai,wo bhi social work karti hai aur usne krishna ki saari baat maan li hai.Dono ki shadi ki tayariyan shuru ho jaati hai.Krishna Garima ko phone karta hai Garima phone receive karti hai,krishna apni shadi ke baare me batata hai,Garima shadi ki baat sunkar khush hoti hai lekin jab use pata chalta hai ki Krishna ki shadi usse nhi kisi aur se ho rhi hai to wo bahat dukhi hoti hai ,shadi me aane ka wayda karti hai aur phone rakh deti hai.