Download Chereads APP
Chereads App StoreGoogle Play
Chereads

Holy storeies

Bela_Malik
--
chs / week
--
NOT RATINGS
1.3k
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - Parestan ki shezadi

Aik dafa ka zikar hai.. sayeedani bibi ka aik waqt tha.qilay ki achi achi mugliyania in k samney kan pakerti thi.mehal may jo koi neya suit silwata inko bulaya jata..shehr ki begmat bhi inkay hunar ki tareef kerti. Sb inhay ankhow pay bithatey.aj palki jafer rahi hai k barey sarkar nay bulaya hai.kal doli khari howi hai k nawab sultan ki began nay bulaya hai.na rat ko fursat thi na din ko.subha kahi mehman hai to sham ko kahi mehman hai.Lakin jesay burhapa aya to hath paow nay jawab daydia. Ab kon poachtaa??.dunya ar matlab.matlab na raha to kasi khater sari???harey waqt ka koi sathi nahi..baychari ko tukrey ka Sahara bhi denay wala koi nahi tha.jb bohat pareshan howi to paross may aik meer sb rehtay they.unki bv nay inpay taraas kha k inko apney pass rakh liya.

Suna hai k ye nihayat shareef bati thi..inka khandan aik hadsey may tabah hogaya tha..barasdin ki biyahi bewa hogai thi..is zamaney may dosri shadi kerna bohat bura samjha jata that...muglani ka peshaa ikhtiyar kr liya..jawani to izzat abrow say guzar gai..khob kamaya..hazaro rupay inaam may milay..magar rakhna na Jana..dil ki ar adat ki achi ar naram mazaj ki thi.ar poraney sharefoo may aik yahi ayb hota hai k waqt ki qader nahi kertay..Khuda ki beniazi ko bhool jatay hai. Bnay howay zamanay me bigrnay ka khyal bhi nahi ata.

Sayeedani bhi jawani bhar is galat femi ka shikar thi...bhurhapey nay andabaya.power daga day gai to ankh khuli ar dosrey k saharey pr zindagi k andheerey din porey kernay parey..

Meer sb k ghar waley chotey say lay kr barey tks sb k sb inteha say ziada khoshmezaj ar khuda taraas they ..

Aik din serdio ki raat thi sb bachay lehaff may bathay they khania sun rahay they itnay may mir sb ki bv namaz say farigh ho k ain to kehti hai sayedani bi tumhay bhi pareshan ka shezada lay gaya thaa ar tum waha say enam o ikram li thi..

Sayeedani ..ji bilukul such hai pareestan k badsha mujhay apney hamrah lay gaya they parestaan...ma bihat khobsorat bhi thi ar hr hunar janti thi ..Sara mehal Mari tareef kerta that ma achay pakwan bawati thi ..jb kabhi rakss ka moqa ata to ma Rakss may jhomm jati sb meray dewaney ho jatey .badshaa begum khti lo bhi sayedani tum apna hunar dikhaow...parestan may mera bohat naam that..parestan may na din hota na raat..aik hi mosam at aik hi wakt rehtay tha...nachnay ganey wali peryoo k takht utar rahay they.. gana bajana bohat soreela tha...

Aik sheezada bohat ki khobsorat tha uspay fida honey ka dil chahta tha...lakin ma aik sayeedani thi.apney jazbat pay kabo rakha akhir ma bhi us wakt bharpoor jawani k door say guzar rahi thi...

Akhir jb Sara kam inki marzi k mutabiq hogaya to ma nay kaha:!Huzoor..khuda nay mujhay surkhroo Kia..moolah nay Mari abroo rakh li...sirkar ki shezadi ki shadi ar shezadi ko ye jorey pehnay mubarak ho..ab londii ko ruksat dijeyeh..Badsha bagum boli k shezadi ki shadi deekh jaow..such kaho mera ji bharbharaya k sayeedani dewani howi hai ?? To khaki ye aatishi mail acha nahi..zara si dair may bigar bhathey to jala kr khak kr dain..bhar may jaiy parestan ar parestan ki shadi...

Shezadi ki shadi apko janam janam naseeb ho mujhay ab ruksat dejiyeh... badshaa begum boli achi bi sayeedani tumhari marzi...

Phir sayadani bi nay ruksati li...ye thi kahani aik sayadani bibi ki ..jb w/o jawan thi to zindagi ko apni marzi say jiyaa.jawani may himmat bhi thi ar taqat bhi ar jb sayeedani bi borhi hogai to dosro k der pay pr gai....

Yun to hangamey uthatey nahi dewaney ishq

Magar ay dost kuch aiso ka thikana bhi nahi..