Chereads / Khamoshi / Chapter 2 - Kya Mujhe jine Ka Haq Nahi

Chapter 2 - Kya Mujhe jine Ka Haq Nahi

Kehne Ko Khamoshi Ki Bhi Zuban Hoti Hai lekin Aaj Mai Bezuban Hogayi Hoon

jab Se Khudko Jana Hai Mene Mai Aaj Tak Khudko Talash Rahi Hoon Khud me ,,

Mere Zahen Me Hazar Bate Chal Rahi Hai .

kya Hogya Hai Tujhe ,Tu Aesa kese Kar Sakti Hai Apne Sath... Khamosh Akele Kamre Me Ghutno me Sir Jhukay Ek Ladki , siskiya lerahi Hai Uske Mann ki Awaz Use Utha Rahi Hai Lekin Wo bethi Hai Gum

" mujhe Nahi jina Aesi Zindagi Kuch nahi bacha Ab ,Rote Sisakti Awaaz me Wo Kehti Hai ....

kyu ?? Akhir Kyun mere Sath Aesa Horaha Hai

kis Gunah ki Saza Mil Rahi Hai mujhe .....

Aesa Kehte Huye Wo Apni Dil ki Baate Bayan Karhi Hai , Use Sun kar Aesa lagta Hai jese use Aajtak kisi ne suna nahi Tha ,Aur Aaj Wo Apne Dil ki Saare Bojh ko Utaar Dena chahti Hai keh kar Lekin kuch Keh Kar Fir Khamoshi Ikhtyar Kar Leti Hai ...

Bachpan

~~

Bachpan Se mujhe Ye Sikhaya Gaya K Ladkiya Unche Khwab Nahi Dekhti ,Ladkiyo Ki Zindagi Pehle Maa Baap K Ghar Uske Baad Uske Shouhar Ke Ghar Tak Hi Mehtud Rehti Hai

Hala ki Mai Aesa Nahi Sochti Thi Mai Ek Azad Khyal Ladki Rahi Hoon Humesha Se , Bandisho me Rehna Kabhi Manzoor Nahi kiya Mene ,Aur Is Wajah se Mere Ghar me Koi mujhe Pasand Bhi nahi Karta Tha , Padhne Ka bahot Shouk Rakhti Thi Mai Lekin Kam Umar Padhayi Chudwa kar Shadi Karwa Di Gayi Thi kyuki ladkiya bojh Samjhi Jaati Hai

Shadi

~~~

Zor Zabardasti Shadi To Karwa di Gayi ek Aese Insan Se jise mai pasand karna to door Dekhna Bhi nahi Chahti thi

kam umar Me Shadi k Bojh Tale Dawa Diya gaya mujhe ,ye keh kar Aurat farz Sirf itna Hota Hai apne shouhar ki khidmat Guzari Karna ,chulha chouka Karna ,Aur Bache Sambhalna , kam umri k us Dour me Mai Zimmedariyo k bojh me uljha di Gayi , apne se 10 Saal bade Aadmi se shadi aur Ek bacha ,Wo zindagi Pasand Nahi Thi mujhe kbhi bhi Zor Zabardsti Rishto ka Hawala le kar kab Tak Aese Zindgi Guzarti , Jaha Ghar se bahar jana bina ijazat k Gunah Samjha Jata Tha , Jeans Pahnne wali Aurto ko badkirdar Kaha jata Tha ..

.. Mai padhna chahti Thi lekin mujhe bola gaya , padh likh kar bhi Aurte shouhar bacha hi Sambhalti Hai ...

Mai sochti Thi k kya ye zindagi Hai jaha aap Apni Marzi Se Saans Bhi nahi Le Sakte .. Kisi Tarah Khinch Taan Se 3 Saal Shadi chali Aur Mene kaha mujhe Talaq Chahiye ....

"TalaQ"

~~~~

Us Zamane Me Talaq dene Ka Haq Sirf Mardo ko Tha, Aurat ka isse Koi Wasta nahi tha,, Aurat Agar Talaq Ka Naam Bhi le To Wo Badchalan , Awara Kehlati Thi

Beshak Mard Us Ek Biwi par 4 Biwi Aur kar k Musallat Karde lekin Barkirdar Fir bhi Aurat Thi.....

Mere Talaq k Zikr Par bhi Kuch Aesa hi Kaha Gaya Mujhe Ki Mai Barkirdar Aurat Hoon , lekin Mene Khamoshi Se Sab Sun kar Bardasht Karne Ka Faisla Kar liya Tha....

Mai apni soch Aur Apne faisle Par Atal Thi k Chahe Kitni Bhi Zillat Uthani pade ,zaleel-O-khwar Hona pade Mai Apni Azadi Le Kar Rahungi kyuki mujhe manzur na Thi Ye Zindagi Jisme Khalipan Tanhayi Khamoshi K Alawa Kuch Na Tha ....

aksar Mai Rato ko Akele Beth Kar Aasman ko Ghoora karti Thi aur Swal Kiya Karti Thi k Kya "Mujhe Jine Ka Haq Nahi " Apni Zindagi Apne Tarike Se .....

Aage Ki Kahani Jaari Rahegi Padhte Rahiyega .....