Chereads / Choti se zindagi / Chapter 1 - Meri Maa (My lovely Mother)

Choti se zindagi

πŸ‡΅πŸ‡°Zemal_Ayat
  • --
    chs / week
  • --
    NOT RATINGS
  • 4.4k
    Views
Synopsis

Chapter 1 - Meri Maa (My lovely Mother)

Meri Maa k sath mera relationship bhttt he alag hai or wo is liye q k mera in say 9 months zeyda rishta hai jb mai paida howi thi to mery grand father bohat naraz howy thy wo is liye q k unko boy chai tha or mai paida ho gai us k bad when I was 3 months old to mujy asthma ho gaya din raat Maa mery sath jagti or bhttt takleef hoti thi mujy andhi andhi raat ko baba mujy hospital la kr jaty thy doctors ka yahi kehna tha k ye jb 6 saal ki hogi theek ho jaye gi har Roz meri Maa issi umeed par jeeti k shayad kabi kabi meri beti theek ho jaye gi magar nhi din pa din meri halat or kharab hoti gai or 6 saal b guzar gay but mai theek nhi howi meri Maa mujy yahi bolti thi mai hamesha tumhary sath hon or mai tumhai kuch b nhi hony dongi....

Phir issi trha zindagi guzarti gai or meri ye bemari barti gai.

Ab mashallah say mai 21 saal ki hon or abhi Tak mery sath asy hota hai.

Har insan ko barish bohat pasnd hoti hai lekan mujy barish sy bohat elerji hai jb b barish hoti hai meri condition bohat kharab ho jati hai issi trha last time jb bohat zeyda barish ho rahi thi tub meri condition bohat kharab ho gai or mera brother or sister mujy hospital lay kr gay waha emergency mai doctors sy injection galat lag gaya jis ki waja sy mai behosh ho gai,

Doctors na bohat koshish ki but mujy hosh nhi aya to doctors na mujy ice shift kar dia or mujy ventilator par dal dia jub mujy ventilator par dal rahy thy tub meri Maa say call par ak bar pocha gaya k kuch b ho skta hai apki beti k pass srf 2 ganty hai...

Ak Maa sub kuch bardash kar skti hai magar jb uski ankho ki samny uski aulad zindagi or moth say lar rhi hoti hai tub us k anso nhi rokty hai or same kuch issi trha meri Maa k sath b ho raha tha q k wo ghar mai thi or mai hospital mai zindagi or moth say lar rahi thi....

11 din Tak mai under observation thi din raat doctors apni pori koshish karty thy taky mai theek ho jao but Allah tala na jb meri kismat mai ye sub takleefy likhi hai to koi isko rok to nhi sakta na but ha Ak Maa ki dua sub kch kar skti hai...

Meri Maa din raat dua krti hai or mery rab sy meri salamti ki dua karti hai ab Tak takleef mai hon nhi janty zindagi kitni hai meri but apny Maa k Lia khush rehti hon chahy jitni b takleef q na ho mujy..

Dosto Maa he ak asi Hasti hai jo har hal mai ap ka sath deti hai

Wo kehty hai na Ak Maa apny 20 bacho ko b sambal sakti hai magar 20 Maa phr ak bachy ko nhi sambal sakti

Is lia jub Tak zinda ho apni Maa ki har Choti se Choti wish pori karo ye soch kar kia pata Kal wo hamary sath ho ya na ho.

Love you Ami jan😘😍