samra ek middle class family se belong karti he.oska father ek mamoli se job karta tha pizza shop me manager tha.mahine ke 25 thousand os ki salary thee.samra ki mother samra ko deliver karte time fhot ho gai thee..samra ke father aur oski dadi ne bohot piyar aur ladh se ose badha kiya aur ab samra college me padhtee he..ghar ka guzara bohot mushkil se hota tha..ghar samra ki dadi k name par tha ..samra ke father 2 months pehle heart attack se mar gaye ..jis ki waja se samra aur oski dadi bohot tooth gaye..
2: Chapter 2
■samra aur oski life
samra bohot samajhdar aur zindagi se piyar karne wali ladki thee..baap k guzarne ka baad ghar ki zimedari os par agai ..ghar ka kharcha college ki fees dadi ki dawaiya sab chizon ko deikhna oske zime tha..wo 2nd year ki student thee aur wo LLB kar rahi thee..ab wo part time job ka soch rahi he..jis ke liye wo apne father ke osee pizza shop gai jaha oske father job karte the as a manager..magar waha vacancy nahi mili ose ..4 din ke struggle ke baad ose ek restaurant me waitress ki job mili jis ki salary 10 thousand per month thee..job timing evening 6:00 se raat ke 12:00 takh ka tha ..samra ne ghar aakar apni dadi ko job ka bhtaya ab wo log pir se zindagi ki taraf badhne lage ..baap ke jane ke baad jo pareshaniya bardasht ki jo tanghiya bardasht ki oska sila milna start ho gaya tha..
magar yaha se preshaniyan dard aur zillat ka khatma nahi belke shurwaat honi thee...
3:Chapter 3
● samra ki work life
samra ki life me sukoon tha ..wo subha college jati ..college se ane ke baad wo ghar ka sara kaam khatam karti ..dadi ka khyal rakhti..aur kuch der apni study karke restaurent jati job par ..wo bohot mehnat se apna kaam karti..kisi ko os se complain nahi thee..supervisor manager aur baki staff sab os ke kaam se kafi khush the..deikhte hee deikhte ose 20 din ho gaye restaurant me kaam karte hue ..sath hee sath oski padhai bhi sahi jarahee thee..dadi bhi khush thee..samra ko oski half salary mil gai thee jis se osne dadi ki dawaiya aur ghar ka kuch saman liua aur ghar gai ..aur dadi se kehne lagi ke ,
dadi ab sab acha ho ga baba ke jane ke baad jo mushkil waqt hum ne deikha oska silaa milega hame ab apko sirf apni sehat ka khyal rakhna he me to ghar par nahi hoti magar apko apni sehat ke sath compromise nahi karna time par khana dawaiya aur fruits khane he ..dadi kehne lagi ,
haan mairee jaan tum hona maire khyal rakhne ke liye ..aur pir samra chai banane ke liye gai ..
4: Chapter 4
■ samra and sahil first meeting
samra jis restaurent me kaam karti thee wahi sahil bhi kaam karta tha ..jo 1 month ke liye holidays pe gaya tha ..sahil 1 year se isee restaurant me job karta tha ..ose ghumne phirne aur dosto ke sath nayee nayee jagha par ghomne ka bohot shok tha is liye saal me ek bar wo holidays par kahi ghomne jata ..is saal bhi wo gaya tha dosto ke sath ghomne..sahil ki family me koi nahi tha parents ke death ho chuki thee car accident me aur wo hostle me badha hua ..osne business management me bachlors kiya tha aur ab masters kar raha tha..sath me part time job karta restaurant me ..jab wo holidays se wapas aya to sare new staff se milte time wo samra se bhi mila ..
Sahil●
Hey new ho yaha pe
samra●
G 1 month pehle hee join kiya
sahil●
kiya kartee ho i mean job ke elava
samra ●
study karti hon college me hon
sahil ●
oh really konse year he family me kon kon he apke
samra ●
kiya masla he apko sawal pe sawal puche jarahe ho kaam karne de mujhe please
sahil●
uf ho itna gussa kiya ho gaya yar chill kar
samra ●
chali jati hon yana se aap kaam ni karne do ge
sahil ●
arey rukho bhat to suno ....chali gai miss moody