Jab Main Paida hui thi
To mere Pita bahut jyada Khush the
Aur Mujhse bahut jyada pyar Bhi
Karte the
Han Mujhse do bade bhai aur the Magar papa sabse jyada pyar Mujhse hi Karte The
Kyunki Sab Kahate Hain
Ki Ek Pita sabse jyada pyar apni beti se hi karte hai
Par jab Mein Paida Hui
To mere Pita Ke ek dost the
unko Achcha Nahin Laga
Kyunki ladki hui thi
Papa ne Unse unke Udas hone ka Karan poochha to unhone bola
Ki aapko ladki hui hai
mujhe yah baat bilkul acchi Nahin Lagi Kyunki jab tak uski shaadi Hogi
Tab tak aapko Kuchh Ho Gaya to
Uska Kya Hoga shaadi Kaise Hogi
Kyunki aajkal ke ladkon ka Koi Bharosa Nahin Hai
Shaadi ke bad kab Badal Jaaye.
Aur Vahi hua Jab Main 6 Saal khi thi Papa Ki death Ho Gayi
Sabhi bahut jyada chote the
Bada bhai 18 Sal Ka hoga aur Chhota bhai 12 Sal Ka or main 6 saal ki thi
Ham Chhote se Gaon Mein Rahte the to vahan per Koi kam bhi nahin tha
Aur Jyada Paise Wale Bhi Nahin the
Middle class family se the ham log Papa Ki death ke bad bahut jyada problems bhi aayi humari life mein
6 kilometre per Ek Saher tha
Jahan bhai job karne lage
cycle se Jaate the aur salary 1000 thi mahine ki mujhe jyada to samajh Nahin Thi
use Waqt per itna Jarur Pata Tha Ki Ab papa Kabhi Laut kar Nahin aayenge