Chereads / Call to action / Chapter 1 - Call To Action

Call to action

🇮🇳Anubhav_Bhagat
  • 1
    Completed
  • --
    NOT RATINGS
  • 4.7k
    Views
Synopsis

Chapter 1 - Call To Action

"Ayesha, Muraad, Zeenat", yeh teen naam aapko ek typical traditional - muslim family ke samajh aa rahe hain jo ya fir jinke naam se aapko koi aisa khayaal

aa raha hoga jaisa yaha koi mamuli teen muslim logo ki baat ki jaa rahi hai. Yeh teeno hi INDIA ke teen shehero mein rehne wale wale log hai , pehli hai AYESHA

sidhe Allahabad se , dusra hai Muraad jo ki hai Delhi ke Muzzaffarnagar se , aur aakhir mein Zeenat jo hai Mumbai se, yeh teeno ka haav - bhaav bilkul

common man jaise hai. Toh kaha se shuru kiya jaye, toh chaliye pehle sapno ke sheher se kickstart maarte hai. kyun thik hai na ?

Toh chalte hai aapko lekar ,"Mumbai" = "City of dreams", yeh jagah toh sabko pata hai ki kisliye prasiddh hai, toh

chaliye fir bhi main thoda sa , bataa hi deta hoon ki "Mumbai"="Bollywood" , arthaat hindi cinema ki adbhut duniya , jahaan aapko apne chahide sitaare

milenge jo laakhon logo ki dil ki dhadkan hai  jaise logo ke toh huge fan following hai puri duniya

mein, aur kyun na ho bhai, inhone mehnat karke apna naam banaya hai , par meri story ki pehli character ki story ab shuru hone wali hai, toh dil thaam

ke baithiye aur purey mann lagakar suniye .

Mumbai ke Saawan Apartments ka naam toh aapne suna hi hoga, woh toh famous kis liye hai hum sabhi jaante hai, par ab meri jo 1st character "Zeenat"

hai, woh kis liye famous hai aaiye dekhte hai..

"ZEENAT" urf "Zeenat Ali Khan" , naam aapko thoda connected with "Saif Ali Khan" se lag sakta hai, but waisa kuch hai nahi. Humari "Zeenat Ali Khan",

apne ammi - abbu ke saath unke 2 room flat mein , khushi khushi rehti hai , isko koi kaam chota ya bada nahin lagta, pure ghar ka saara kharch ka

hisaab yeh apne paas hi rakhti hai, kehne ka matlab yeh hai ki, kahan pe kitna kharch karna hai, ya kitni cheezein kitni maatra pe chahiye , inko acchi

tarah se pata rehta hai. Kabhi kabhi toh inki ammi - abbu soch main pad jate hai ki kaash unhone "Zeenat" ko science ke saath MBA bhi karwa diya

hota toh sone pe suhaaga hi ho jaata . Par jis hisaab se "Zeenat" kharch ka dhyaan rakhti hai , unke liye toh woh jeeti jaagti computer se kum nahin hai.

Dusri taraf "Zeenat" ka bhi bahut mann hai "MBA" karke acchi MNC mein naukri karne ka, par paiso ke kami ke kaaran uske graduation ke baad ki padhai

maano jaise bandh hi ho gayi thi , dusri taraf "Zeenat" ko actress banne ka bahut shauk tha , yeh acting ka keeda usme bachpan se hi tha aur uski toh

favourite actress thi /hai "KARISMA KAPOOR" aur favourite actor hai "GOVINDA" , arthaat "Hero no. 1" . "Zeenat apne khali waqt par inn dono ke hi

gaano pe dance kiya karti thi aur khud ko unn jaisa mehsoos mehsoos karne lagti saral bhasha mein bole toh " living life king size ".

Ab badhte hai, humaare kahaani ke dusre character pe, jo ki aati hai seedhe "Allahabad" se , ya fir kahe toh Allahabad University se , jaha ki

woh one of the top brilliant students ke list mein , ya fir kahe ki merit list mein har baar 4th aane wali "AYESHA Saraf" , jo hai  sab ki chaheedi aur

sabse dashing & studious & "no care attitude" waali MBA pursue karne waali student , thodi naughty & also quite smart & witty & of course a chashmish

& a cutie.

Toh yeh jo hai, inke college mein bade charche hai , aur kyun na ho yeh hai hi itni studious , etc. . Iske peeche college ke saare ladke paagal hai , but yeh

na hi short skirts pehanti hai, aur na hi boys ko lure karti hai, yeh toh bas apne mein hi rehti hai, in a dungree with round specs , short hair with a pony tail

& a charming but bold smile on her face , enough to make a heart skip a beat. Ab yeh jo hai "Ms.SARAF" yeh toh thehri mystery , detective , horror, thriller

ke bade fan , inka adha waqt crime solving games, aur books related to all the above mentioned genres ko padhne meinhi waqt nikal jaata tha, jo thora waqt

waqt bachta tha usko yeh mohtarma MBA ki pahai pe laga deti hai, nahin toh inke parents ka manna haiki agar woh pura dhyaan sirf MBA pe de toh woh

1st position laa sakti hai sivaaye 4th position ke, par inhe koun samjhaye ki thoda time MBA ke saath spend karke 4th aana bhi is a big achievement, aur

woh kahawat hai na "An active mind & a racing heart is the greatest combination leading to success" , aur wohi aata raha tha "AYESHA Saraf" ke saath.

Ab kuch door chalte hai aur batate hai aapko kahaani ke antim character ki kahaani jo "Delhi ke Muzaffarnagar" seshuru hone

jaa rahi hai, aur uss shaks ka naam hai "MURAAD HOSSAIN", jo hai DU [Delhi University] ke geography & statistics ke top professor . Inka worldly knowledge

itna achha hai aur yeh itne self confident hote hai har waqt ki duniya ki koi bhi musibat maano inke saamne haar mann hi jaegi, iska kaaran hai jaise ki maine pehle bataaya self confidence , proper

knowledge, hard work, aur allah pe pura bharosa. Aap soch rahe honge , ki main yeh teacher ka concept kyun use kar raha hoon , toh main chota sa hint de deta hoon, "worldly knowledge"

Inki age lagbhag 28 saal hogi, par yeh jaha ke teacher hai, arthaat D.U.  waha inke bahut charche hai, aur lakho ladkiyaan inpe line maarti hai, short mein kahe toh , yeh d.u. ke one of the sexiest

, good looking masculine male hai,inka attitude bole toh ekdum "faadu" hai, aur khaas kar ke jab woh agar kabhi white shirt aur blue  mein college aa jate the toh college mein bawaal ho jaata tha

aur ladke sharam se choor choor ho jaate they aur ladliyaan na jaane kitne corridoors mein line lagakar unki ek jhalak ko taras jaati hai aur unko bahut tohfe bhi mil chuke hai, kayi ladkiyaan ke taraf se

, even proposals you know, par yeh jo "Mr.Hossain" hai inko koi farak hi nahi padta, yeh gifts toh hai par unka ek unique style hai, woh yeh gifts charity ya fir kahe old age home mein distribute karwa dete hai,

kyunki inhe lagta hai ki yeh apne ammi abbu ki sewa kar rahe hai, aur agar naseeb mein hua toh allah kasam agle janam fir unke hi bete hokar janam

lena pasand karenge.

Toh yeh the humare kahaani ke teen characters. Ab aap soch rahe honge ki aagey kya hone wala hai. Abhi interval ka maza lijiye , thode snacks grehan kijiye kyunki interval ke baad hi toh maza shuru hota hai.

Ab inn characters ke updated version se aapko milwate hai, so mere priye audience 3,2,1....fast forward. Let me introduce you to 1. Captain Muraad Hossain [M.F. Hossain]

[Captain of INDIAN ARMY] , 2. Madam ZAK / Zeenat Ali Khan [cyber expert ATS= Anti Terrorist Squad] , 3. Ms. One Woman Army/ Ms. Ayesha Saraf [top spy of IB & RAW]. Kyun chauk gaye na ? ek dialogue yaad aya

"Tide hai toh white hai " but in this situation the dialogue goes "Jo Jeeta Wohi Sikandar" , kyunki yahaan sab connected hai, lekin koi ek dusre ko nahin jaanta, par teeno INDIA ke liye kaam karte hai apne tarike se, ya keh sakte

hai yeh teeno apne tarike se desh ki raksha karte hai.

Ab aapko main ek ghatne ke baare mein detail mein bataane ja raha hoon , jisme inn teeno ka bhut bada yogdaan hai, aur kahin na kahin yeh teeno ek dusre ke lifeguards bhi reh chuke hai varna aaj shayad teeno mein se koi bhi zinda nahin rehta.

Toh baat hai 2011 ki , ek udti udti khabar aayi thi ki cyber cell dept. aur Indian Army mein tension ka mahol  utpann hua hai. Iska kaaran yeh tha ki achanak cyber crimes bhut zyada badh gaye the aur Indian Army mein se bhut

se gopniya details leak ho jaa rahi thi , ab dono hi taraf tension ka maahol ban raha tha , aur saath hi kuch khabar udti udti aa rahi thi jo logo ke liye ya INDIA ke liye bhut haanikaarak saabit ho sakti thi .

Toh jab aise haalaat utpann hue, tab inn teeno departments [IB , ATS[CYBER CELL],INDIAN ARMY] mein selection shuru ho gaya taaki crimes & terrorism in all forms

ko tagda jawaab dene wale teeno department se 1 candidate select hoga is live/die mission ke liye. Toh teeno departments mein se 1 specialist ko chunna tha per team. Candidates toh bahut the par time kam tha

, tph finally teeno departments ne apna task captain chun liya tha. Toh woh 3 koun they , any guesses ? arrei yaar , the best ko hi chuna hoga na, toh woh 3 hai :-

1. MURAAD HOSSAIN [ INDIAN ARMY ]

2.ZEENAT ALI KHAN [ CYBER CELL / ATS] ATS= ANTI TERRORIST SQUAD

3.AYESHA SARAF [IB] [ TOP SPY]

Toh har department mein zoro shoro se kaam shuru ho gaya tha, har dept. ko unjke head dekh rahe the , taaki kahin bhi bhi bool se bhi bhool na ho, aur proper stragies apnaayi jaa rahi thi , aur execution plans bann rahe the, in return the hands were expecting full

cooperation & support from their teams, aur full on details nikali jaa rahi thi against any type of attack in any form. virtual & physical weapons bhi taiyaar ki jaa rahi thi , aur top managements bhi bilkul tight lipped way mein iss mission ko anjaam dene mein lagey hue the.

Toh teeno departments fully ready they with all the necessary equipments aur saath hi virtual & physical preparations bhi ready the , but to their shock pehle hafte mein kisi prakaar ka koi attack nhi hua,toh departments ke kaafi log jo chaukanne the , woh thoda sa lightly lene lage matter ko

, par teeno departments ke hero's MURAAD, ZEENAT AUR AYESHA, ko daal mein kuch kaala lag raha tha jab 2nd week mein bhi kuch nhi hua aur sab normally guzar gaya.

Fir 3rd week mein achanak se Mumbai ke mall road mein ek bomb blast hua , aur kaafi log injured ho gaye the , saath hi saath Delhi ke Sarojini Market mein do din ke antraal mein ek aur bomb blast hua, aur top companies ke data chori ki khabar bhi aane lagi , inn sab ghatnao ne desh bhar me breaking news ke zariye tehelka macha rakha tha.

Ab  teeno depts. ke experts HOSSAIN , KHAN aur SARAF ne apne teams ko kaam pe laga diya tha, ki jald se jald inn terrors ka koi na koi suraag ya link mil jaaye toh tab iss case ko solve karne mein thodi maddad ho jaegi . Iss dauraan, Zeenat ke phone pe ek call aata hai aur woh bhi unknown number se, jiska daava tha , ki yeh jo bomb blasts aur cyber breach hua hai inn kuch dino mein ,

iske piche ke "MATERMIND" ki khoj karna bandh kar diya jaaye turrant,warna Zeenat ki jaan ja sakti hai , aur teeno departments ki badnaami bhi ho sakti hai , aur hokar rahegi agar yeh search operation turrant radh na kiya gaya toh , itna kehkar phone hang up ho gaya.

Fir dobaara uss number ko call laga nhi , tab immediately uss number ko trace kiya gaya , but uss ka sirf laswt location hi pata chala jo KARACHI ka dikha raha tha , aur sim bhi bandh aa raha tha . Fir kuch der sochkar, "Zeenat" ne apne higher authorities ko yeh suchna dena zaroori samjha aur pure form mein jaakar puri baat bol dala. Tab waha bhi tension ka mahol utpann hone laga tha, immediately all 3 forces ke heads ko jaankari video calls ke sahaare de di gayi .

Fatafat , ya phir kahe bina waqt gawaaye, INDIAN ARMY , IB aur ATS [ CYBER CELL] ko turrant kaam pe lagaya gaya, aur unka ek hi lakshya tha , ki kisi bhi tarah "MASTERMIND " ko dhoond nikaalna hai , jo iklauta zimmedaar hai cyber theft aur unn teeno blasts ke liye. Ab teeno departments high alert mein they, aur teeno ne search operation shuru kar diya tha apne tarike se. Fatafat KARACHI Govt. se contact kiya gaya aur jaankaari ki pushti karne ki koshish ki gayi, par unhone saaf inkaar kar diya ki ,

waisa koi bhi call unke state se nhi kiya gaya hai, fir bhi dept. mein asantushti bani rahi, tab top spy "AYESHA SARAF" ko contact kiya gaya , aur usko puri baat btayi gayi , aur uso unke strategy ki puri detail di  gayi , saath hi "ZEENAT" aur "MURAAD" ko bhi unke respective depts. se bhi aagha kar diya gaya.

Ab unn teeno ke liye action time shuru ho gaya tha. Ab teeno ka ek hi mission tha "Mission MASTERMIND" . A b iske liye teeno ko karachi phuchna tha, toh teeno ne jaha the wahi se KARACHI ki flight pakdi aur KARACHI ke liye ravana ho gaye. Most importantly iss beechek co- incidental ghtana ghati ki teeno ne ek hi  brand ki flight mein boarding ki thi "INDIGO" , but tickets different thi toh timing bhi different thi, sabse pehle "Muraad" phucha, fir "Ayesha" phuchi , fir aakhir mein "Zeenat " mein phuchi, abb teeno "KARACHI " phuch chuke the.

Ab ittefaq dekhiye , teeno ne ek hi hotel mein room bhi le liya, usme bhi timings thodi aagey peeche thi, aur hotel ka naam tha "HOTEL PARADISE" . Iss hotel ki khaasiyat yeh thi ki teeno ne apne sutro se pata kiya tha, ki "MASTERMIND" ka hotel , ya fir kahe iss hotel ka maalik "MASTERMIND" tha. Ab aapko lag sakta hai ki teeno fas chuke hai, aur baagh ke illake mein ghuss chuke hai , jisse nikalna asambhav hai , par case ulta bhi toh ho sakta hai. Teeno ne janbujhkar issi hotel ko apna hunting ground bana liya tha, kyunki  yeh jaha the waha se kuch na kuch jaankari toh

praapt ho hi jaati aur hafte mein ek na ek din toh "MASTERMIND" ki ek jhalak dikh hi jaegi yahi soch kar mission  mein agey badh rahe the.

Aaye toh teeno tourist banke , par jaise maano teeno hi detectives ban chuke the, koi ek dusre ko nahi jaanta tha , teeno ka mission ek tha , par kaam karne alag tha, aur teeno khud se zyaad aksis pe vishwas nahi karte the , halaki teeno mein se koi kisiko nahin pechaanta tha. KARACHI mein ,"MASTERMIND" ko lagbhag koi nhi jaanta tha, bahuto se pucha gaya par koi jawaab nahi mila , ya fir shayad log darr se kuch bata nhi rahe the, kyunki unko apni jaan aur apne pariwaar ki jaan pyari thi. Ab dono taraf search opration chal raha tha, ki "MASTERMIND" ki ek jhalak dekhne ko mil jaaye, dusra

uske related kuch jaankari mil jaye. Teeno ko apne higher officials ko per day ka progress  report dena parta tha . Sab allah ko yaad kar rahe they aur duaa maang rahe the ki koi clue mil jaaye "MASTERMIND" ke related, ya koi link mil jaaye , toh unhe "MASTERMIND" tak phunchne mein aasaani ho jaati.

Isi beech ,ek number se "Zeenat "ko call aya aur phone ke dusre side se ek shaqs ne kaha ,mujhe pata hai aap "MASTERMIND"ko dhoondna bandh kar dijiye yeh meri aakhri warning hai., par zeenat ko koi farak nhi pada , aur usne sidha phone kaat diya. Inn logo ko pata mhi tha ki wha pehle se unke madad ke liye IB , CYBER CELL [ATS], INDIAN ARMY se log bheje gaye the , aur woh log bhi "HOTEL PARADISE" mein hi ruke huye the. Toh aapko samajh aa hi gaya hoga ki purey desh ko "MASTERMIND" chahiye tha zinda ya murda. Ab sirf tha ,"wait & watch" ka time aur kyunki laakho logo ke sentiments jude

hue they toh success toh anyhow achieve karna hi tha iss mission mein . Achanak hotel stay ke 5th day mein ek shaks aata hai hotel ke reception pe , bilkul mamuli se kapdo mein , aur ek room ke details puch raha tha . Uske kapde dekh kar kisiko shaq nahi hoga  ki woh normal tourist nahi hai. Par pata nahi kyun "MURAAD" ko thoda khatka  laga aur uss aadmi ke jaane ke baad reception waale se uska id proof dikhaane ko kaha, dusrea koi hota toh shayad objection karta par kyunki receptionist Indian tha jo karachi mein kaam ke silsile mein reh raha tha 5-6 saalo se , toh usne bejhijhak uss shaks ka ID proof dikhaya, woh bhi jab "Muraad" ne apna ARMY ka badge dikhaya tab hi warna har desh ke liye yeh illegal hai dusre ke documents kisi unknown person ko dikhana.

Ab ID Proof se kya pata chala hoga "Muraad" ko ? sochiye aur interval ka maza lijiye.

Haan toh hum kaha they , ab uss ID Proof se uss shaks ka naam pata chala jo tha "Hamid Qureshi" . Koun tha yeh? yaha kyun aya tha ? kya yeh normal tourist tha? ya "MASTERMIND" se connected tha? yahi sab chal raha tha "Muraad" ke dimaag mein aur woh kisi bi tarah iss "Mr. Qureshi" ke baare mein aur jaankari nikalne ke liye kuch bhi karne ko taiyaar tha. Toh usne bina waqt gavaaye usne uske ID se apne team ko uski khoj mein laga diya , team ki details respective heads ko mail kar di gayi thi departments ke taraf se. "Muraad" ko "Qureshi" ki har waqt ki khabar chahiye thi , isliye usne waisi hi instructions de rakhi thi apni team ko.

Ab yeh baat toh "AYESHA" aur "ZEENAT" ko khabar nahin thi, par jab unhone apne tarike se "MASTERMIND" ko dhoondna shuru kiya,tab unhe apne sutro se pata chala ki, "MASTERMIND" "KARACHI" ka sabse raees insaa hai, aur yeh khabar bhi thi ki "MASTERMIND" ka "KARACHI market" mein kaafi aana jaana tha. Toh inn dono ne apne log karachi market mein tainaat kar diye the, ab na yeh 'Qurseshi" ko jaante they aur na hi "Qureshi inko jaanta tha. Allah ka kamaal dekhiye, yeh dono mall road waley market mein they, par "Zeenat" ka bag churakar koi bhaagne laga, aur "Zeenat" bhi uske peeche bhaagi, achanak se "Qureshi" scene mein aa jata hai , aur chor ko pakad leta hai. Toh yeh dono bilkul anjaan ek dusre se , "Qureshi"  "Zeenat" ka bag use wapas kar deta hai, aur "Zeenat" toh raah chalte ko shaq karti nahin,

toh unhe thank you treat dene pe tul jaati hai , jispe pehle toh "Qureshi" manta nahin , fir bola sirf coffee kaafi rahegi , jispe "Zeenat" ne haami bhar di.

Fir dono ne kuch der yunhi baat ki aur shukriya adha kiya "Qureshi" ka , toh "Qureshi" ne "Zeenat" ko apne ghar bulaaya jispe woh pehle toh maani nahi , fir "Qureshi" ke bahut insist karne par woh mann gayi. "Qureshi" ka ghar "Karachi" airport se 4 kilometre door tha, aur "Zeenat" thi uski guest, "Zeenat" ne suna tha ki "Karachi" waley apne guests ki khoob khaatir karte hai , toh usey bhi mehmaan nawazi lene mein koi aapatti nahi thi. Issi beech "Zeenat" ki nazar "Qureshi" ke table top pe padi jisme ek photo mein "Qureshi" aur ek aadmi saath photo khichwa rahe they , toh pata nahi "Zeenat" ko kya laga ki usne "Qureshi" ko puch hi liya, ki uss tasveer mein unke saath woh shaqs koun hai ?, usey laga ki unka bade bhai honge , par jawaab toh kuch aur hi tha .. pehle toh "Qureshi" ne kuch socha , fir kaha ki uss aadmi ka naam  "AKBAR ALAM' itna kehke woh chup ho gaya. Ispe "Zeenat" ne thoda aur utsaah ke saath ke pucha ki "ALAM" ji karte kya hai , ispe bhi jab "Qureshi" sochne laga tab "Zeenat" ne bola ki agar woh nahi batana chahte toh koi baat nahin usne toh yunhi puch liya tha , koi zabardasti nahin hai , aur woh thoda flirt karne lagi "Qureshi" ke saath aur  "Qureshi" ko pata nahin tha ki kaise react kare , aur woh tha thoda sharmiley type ka insaan tha , toh usne jhatapat bataana shuru kiya "Zeenat" ke prashno ke uttar dena , "AKBAR ALAM" Karachi ka sabse raees insaan tha aur uska ek aur naam bhi tha , toh "Zeenat" ne socha ki koi nick name hoga jo gharwalo ne rakkha hoga , par "Qureshi" ka jawwab sunke "Zeenat" ka dimaag  chakkar khaa raha tha , kyunki woh  "Akbar Alam"  aur koi nahi balki  "MASTERMIND"  tha . Bahut uts chahiye iske baad kisiko jo bhi yeh prashna puche ya bole toh "Zeenat" ko hi uss  jagah rakh lijiye , usne bade himmatr se bina darre "Qureshi" se aur baatein ya information nikaalne ki koshish karte hue pucha ki "MASTERMIND" ka matlab kya hai , aur unka kaam  kya hota hai?

Toh ispe "Qureshi" thoda soch vichhar karne laga , ki "Zeenat" ko "MASTERMIND" ke kaam ke baare bataana sahi rahega ya nahi , fir usne socha khamakha "Zeenat" darr jaegi aur unki bani banaati nayi dosti wahi khatam ho jaegi  isliye usne "Zeenat" ke prashno ko avoid karna shuru kiya aur baat ghumane ki koshish karne laga , kyunki  " Zeenat" ko woh mamuli guest samajh raha tha , aur aane wale khatre se usey bachana hi uska lakshya tha . Par "Zeenat" ke  baar baar zid karne par , usne kaha ki main zyada toh  nahi jaanta par "MASTERMIND" ka kaam bhut risky job hai aur khatarnak bhi. Ab "Zeenat" ko toh kisi bhi haal mein iss "MASTERMIND' se milna hi tha , toh usne "Qureshi" se pucha ki kya woh usey "MASTERMIND" se milva sakta hai ya nahi , kyunki usey aise dangerous logo se milna unke baare mein pata lagana bahut mazedaar lagta hai , ek alag sa thrilling wali feeling deta hai, aur bhi bahut kuch bola "Zeenat" ne jaise ki "Qureshi" uss se impress hokar usse "MASTERMIND" se milwa de. Ispe "Qureshi" ensocha aur kaha ki woh koshish kar sakta hai ki "Zeenat" ki mulaqaat "MASTERMIND" se ho jaaye , but kuch confirm nahi bataa pa raha tha, isme "Zeenat" ne usko thoda seduce karna shuru kiya uski taarif karni shuru ki ki wwoh kitna handsome tha aur mashallah kitna cute hai "Qureshi" aur sexy bhi wagera wagera , aur "Qureshi" apni taarif sunke na chahte huye bhi "Zeenat" ke baaton mein aa hi gaya, aur unhone kuch intimate moments bitaaye , "Zeenat " ne socha manzil ke itne karib aakar usey khina bewakoofi hogi , toh kya hua agar ek anjaan insaan ke saath kuch intimacy ho hi jaaye toh , waise bhi "ZAK" apni raksha karna acchi tarah se jaanti thi, arthaat woh hamesha ek condom apne saath apne purse mein carry karti thi , arthaat "all work no play makes ZAK a dull girl". Fir jab unki intimacy khatam hui aur "Qureshi" ghode bech kar so raha tha , tab usne uska pura ghar ko search karna shuru kiya , ki kahin toh kuch aur prrof mil jaye "MASTERMIND" ke khilaaf , usne sab jagah dhoond liya saboot ke liye , par kuch na mila , tab usne uss photonko gaur se dekhne ka socha jo table top pe tha par uspe bhi kuch nhi mila. Fir jab "Qureshi" ki aankh khuli toh "Zeenat' ne usey kiss kiya aur alvida kehkar waha se nikal gayi."Qureshi" ka toh "dil garden garden" ho gaya tha, aur "Zeenat" ko shayad "MASTERMIND" tak phunvhne ka raasta mil gaya tha. Dusri taraf "Muraad" tha jo apni sources lagaye baitha tha "MASTERMIND" ki khoj pe , aur ab toh woh Karachi police se toh puch nhi sakta tha "MATERMIND" ke baare mein toh usne socha ki chalo Karachi jab aa hi gaya hoon toh sheher kyun na ghom liya jaaye , ab uske paas toh "MASTERMIND" ki koi tasveer toh thi nahi jisse "MASTERMIND" ko dhondne mein aasaani ho , tab usne kya socha ki kyun na apne chief se contact karke unhise "MASTERMIND' ki tasveer maang li jaye , toh turant usne ARMY chief ko phone lagaya aur unse "MASTERMIND" ke kuch pics usey whatsapp karne ki darkhaast ki , par chief ne kaha ki unke paas "MASTERMIND" ki abhi ki photo nahi hai , par ek puraani photo hai jab woh apne mid 30's mein hua karta tha, unke paas jo photo tha usi ko bhejne ko kaha "Muraad" ne aur shukriya zaahir karke baat khatam ki aur unke message ka intezaar karne laga. Teesri taraf  "Ayesha" ke paas already "MASTERMIND" ki poori gutthi thi usne pehle se hi ikkatha kar rakha tha, kyunki SPY ka kaam hi hota hai ki woh apne target ki full details pehle se apne paas mauzood rakhte hai,taaki target pehchanne mein bhul na ho aur na hi apna kaam ko anjaam dene mein.

"Ayesha" ne "MASTERMIND" ke baare mein apne team ke duara jo information ikkatha kiya tha , woh yeh tha ki "MASTERMIND" ek lamba chauda 6'2'' ka hattakattainsaan tha , jiska lifestyle raeeso jaisa tha , uska bahut sara dangerous ya fir kahe illegal karobaar tha, jaise ki jism faroshi , etc. . Unka behaviour ekdum kattar tha , unke family mein woh aur unke 2 biwi aur 1 bete aur 1 beti rehti thi. "Ayesh" ne shyad "MASTERMIND" ki gaadi ko dekhliya tha karachi bazaar se guzarte waqt uss waqt usey pata nahi tha ki yeh "MASTERMIND" ki gaadi thi, uss gaadi mein baithe shaqs ne apne driver ko bolke karachi market ke saamne se ek phalwale se kuch dozen phal liya aur gaadi ka seesha utarkar phalwale ko paise de diye , tab "Ayesha" ne dekha ki uss shaqs ke dihine haath mein bade bade stones se saji hue anguthiya thi , shayad woh astrology mein vishwas rakhte honge , fir usi haath mein ['right hand} mein ek khareoch ya fir koi purane chot ka nishaan bhi tha thik haatho ke nasso ke beech , jaha se doctor heartbeat measure karta hai , thik ussi jagah , toh "Ayesha" ne bade gaur se sab notice kiya , aur apne saamne se gaadi ko jaate dekha toh usne kya socha ki fatafat usne gaari ka number plate ka number yaad karliya , aur gaadi bhi kounsi thi woh bhi likh dala , tabhi se woh iss shaqs pe apni nazar jamayi rakhi thi, arthaat usey bhi pata nahi tha par uski gut feeling usey cheekh cheekh kar keh rahi thi ki ho na ho yeh aadmi hi

"MASTERMIND" hai. Isliye usne iss shaqs pe pura dhyaan de rahi thi jis baat ka andaza bhi shayad uss shaqs ko nahi tha ki koi uski har waqt ki activity track kar raha tha . Aakhir yahi toh kaam hai ek Spy ka.  

Dusri taraf "MURAAD" ke paas "MASTERMIND" ki puraani tasveer aa chuki thi , usme "MASTERMIND" ek wakayi ek lamba chauda handsome youth nazar aa raha tha , halaki yeh photo aaj se 20 saal pehle ki thi as mentioned by ARMY chief . Par uss photo mein "Muraad" ne kuch ajeeb cheez notice ki thi jo shayad kisisne nahi ki thi ya ki hogi , woh yeh tha ki picture mein "MASTERMIND" ne ek bhut alag type ki angoothi pehen rakhi thi, jiski baarik kaarigari dekh kar bahut log uske laalach mein pad sakte hai, woh tha hi itna behtareen ki uspe hi "Muraad" ki aankhein kuch der usi pe fix ho gayi, kyunki aisi kaarigari wali anguthi usne pehle baar dekhi thi, aur woh uske dimaag mein chapp gayi thi, aur woh ghar jo photo mein tha woh shayad "MASTERMIND" ka ghar hua hoga , isliye woh ghar uske mastishq mein chapp gaya tha . Ab "Muraad" ko sirf uss ghar ka pata lagana tha , toh woh photo usne apne team ko forward kar diya aur fatafat uss ghar ka pata lagane ka nirdesh de diya unko.

Teesri taraf , thik do din baad "Qureshi" ne "Zeenat" ko "MASTERMIND" se milwane ki baat kar dali , kyunki thik do din baad  "MASTERMIND" ke ghar pe unke bete ka janamdin manaaya jaane wala tha arthaat "RAFI ALAM" ka janamdin hai, abse thik do din baad . "ZEENAT" ka khushi ka thikana nahi tha , aur usne issi baat pe "Qureshi" ko kiss kar diya , aur saath hi usne mann hi mann soch liya ki plan ko anjaam kaise dena hai, aur saathhi saath kuch intimate moments bhi dono ne bitaaye , aur ek jhoota wada bhi kar dala "Zeenat" ne ki aaj usko itni khushi ho rahi hai ki woh bayaan nahi kar sakti hai , aur usne "Qureshi" se nikaah karne ka jhoota wada kiya , jispe "Qureshi" ka dil garden garden ho gaya , par usey [ Qureshi] kaha pata tha ki ek anjaan shaqs ko trust karna usey bhaari pad sakta hai , yeh soch "Zeenat" mann hi mann hass rahi thi , bechara "Qureshi" bali ka bakra befaltu ka banne ja raha tha. Ab kehte hai na kuch paane ke liye , kuch bho sacrifice karna padta hai .

Itni der mein "MURAAD' ne 'MASTERMIND' ka ghar ka pata laga dala tha . Ab intezaar tha D-DAY ka . Waise dekha jaaye toh ab sher khud fass chuka tha aur ghir chuka tha chaaro ore se , aur "MASTERMIND" ne apne security mein har kadam mein 2 security guards tainaat rakhe the . "Ayesha" ne saari taiyaari pe nazar rakha hua tha aur usse acchi tarah se pata tha ki plan ko kaise execute karna tha. Aur ab isi ka fayda uthana tha humare teeno characters ko . Aur ab bas D-DAY ka intezaar karna tha . Dusri taraf teeno ne apne headquarters ko bhi aagha kar rakha tha apne plan ke baare mein .

Ab aakhirkaar woh din aa hi gaya aur humare  teeno jawaan ekdum taiyaar the. Yeeno ko pata tha apna apna role iss mission mein. Ab kaun kaisa dikhne wala tha aaiye dekhte hai, pehle toh baat yeh hai ki "MASTERMIND" ka bangla bada hi alishaan tha , maano bilkul chaand mahal jaisa , uff aisi sajawat ki gayi thi jiska koi jawaab nahi tha, iske aagey toh mughlo ki imaarat sharma jaaye. Waqayi lag raha tha 8wa ajooba ho duniya ka . Ab logo ka aan shuru ho gaya tha , sabko dekhkar lag raha tha maano , sab raees parivaar ke log hai, ab isis beech hamari teeno characters ki entry hoti hai. Thoda vistaar mein agar bataaya jaye toh , black kurte aur white pyjame mein "MURAAD" with a stylish beard entry aur woh bhi muslim they isliye unhe zyada takleef nahi hui iss getup mein sabke saamne aane mein, woh bade hi stylish , sexy aur macho lag rahe they. Unki entry mein janamdin ke function mein chaar chaand lag gaye the, woh they hi itne handsome ki sabki nazre bas unhi pe tiki ki tiki reh gayi, aur jitni ladkiyaan thi mehfil mein sab toh maano unki fan ho gayi ho , usne toh "MASTERMIND" ke bete ka show pura flop kar diya tha , woh "MASTERMIND' ke bete se kahi zyada handsome lag raha tha , maano lag raha tha koi film ka hero aa gaya ho , uff kya lag raha tha boss, ekdum bole toh "faadu", maano yeh akela hi sab ke dil ka chor bann gaya tha, ladkiyatoh jaise latoo hon gayi thi "MURAAD" par , aur kyun na ho ek toh waisi personality uppar se INDIAN ARMY , par insab ke beech "MURAAD' apna lakshya bhula nahi tha, aur kisiko shaq na ho isliye, usne khud ko "MASTERMIND" ke bete ka dost bataaya , aur door ka rishtedaar bhi. Ladkiya toh har waqt "Muraad" ke agey piche ghppm rahi thi, par woh kahaan kisko dekhta , woh bas apne kaam pe focus kar raha tha.

Ab iss beech "Ayesha" toh apni nazar jamaye baithi thi "MASTERMIND" ke ghar pe , bole toh spying constantly, unke har movement ka track rakh rahi thi , aur sahi mauke ke talaash mein thi apne kaam ko anjaam dene ke liye . Teesri ore , "Zeenat " aur "Qureshi" ki entry hui mehfil mein , ab "Zeenat' ko pata tha ki plan execute kaise karna hai. "Qureshi' ko woh zid karne lagi ki "MASTERMIND" se mila de , toh "Qureshi" ne sahi waqt dekhkar "Zeenat" ko le gaya "MASTERMIND" ke paas , aur usne piche se awaaz di "jahaanpanah , zara iss sangi ko do baatein kehne ka muka mil sakta hai kya ? yeh sunn "MASTERMIND" piche ki ore mudew , toh jaisa description pehle bataya hubahu waise hi hai "MASTERMIND" ,lamba chauda , hattakatta, sir pe baal kum , lekin koi wrestler se kam nahi lag raha tha , aur waisi hi physique. "Qureshi' se toh far handsome la g raha tha "MASTERMIND", ek oomph factor tha unme jo bayaan- e - bahaar tha. Par kuch baaton ke baad "Zeenat" ko introduce karaya "Qureshi" ne , ab "mastermind' uske saamne

khada tha aur usne "Zeenat" ka haath chuma aur uski taarif ki.

Doosri taraf "Muraad" ki aankhen "MASTERMIND' ko dhoond rahi thi , toh woh apni nazre chaaro ore aur yahi karte waqt usne socha ki kyun na kisi ladki ki madad le li jaaye "MASTERMIND" ko dhoondne mein. yahi soch woh yunhi dusri taraf muda hi tha ki usne dekha ki ek ladki usse ek takk dekhi ja rahi  thi. "Muraad" dheere se uske taraf badh raha tha , aur uske karib pahuch gaya , woh ladki sharam ke maare maano kahin bhaag hi jaegi, "Muraad" ne uska haath piche se pakda, aur pucha ki kya woh usey "Akbar Alam" se milwa sakti hai, ispe woh ladki aur sharma gayi aur bola ji haan aap jinhe dhoond rahe hai woh mere abbu hai, yeh sunkar "Muraad" ki khushi ka thikana nahi raha, toh usne uss ladki ka naam puchte hue kaha, ki woh kaha mil sakti hai ? Ispe uss ladki ne bola ki uske abbu varanda mein kuch logo ke saath gappe lada rahe hai aur uska naam "Aaliya' hai , pura naam "Aaliya Alam" hai, "Muraad" janta tha ki ek yahi mohra hai jiske sahare woh "MASTERMIND" ko aasani se apne kaam ko anjaam de sakta hai.

Ab isi beech "Muraad" ne apna plan shuru kar diya tha woh bilkul stranger ke tarah gaya "MASTERMIND" se milne aurjaisae hi pahuncha usne "MASTRMIND"ko uppar se niche pura nirikshan kar liya tha, aur usko kaisa counter attack ka plan bhi bana liya tha apne mastishq mein. Waha pahunvhkar uska khoon khaul raha tha par woh toh INDIAN ARMY isliye use apna kaam karna dimaag shaant karke apne objective poora karna tha ya fir kahe mission accomplish karna tha. Waha par usne unka haal chaal pucha aur unke bete ke janmadin ke liye shubkamnayein di. Ab itne logo mein "MASTERMIND" ne khyaal nahi kiya ki "Muraad' ek ajnabee tha , aur bina soche hi usey gala laga liya aur shkriya adha kiya , uss waqt fir "Muraad " ne apne gusse ko control kiya , warna agar woh dono akele hote toh abhi tak "Muraad' ne "MASTERMID" ka kaam tamam kar diya hota aur wahi dafna diya hota , ab woh bas "MASTERMIND" ke akele hone ka intezaar kar raha tha.

"Ayesha" bhi sab par rakhi hui thi ki kab "MASTERMIND" thoda akela ko paya jaye toh  apna nishaana saadhkar "MASTERMIND" ka kaam tamam kiya jaaye. Ab sher teeno taraf se ghir chuka tha aur apne ghar mein fass chuka tha aur usey iss bat ki bhanak tak nahi thi, lekin phir bhi uski protection zabardast thi , kyunki sher ko bhi apni jaan pyaari hoti hai , isliye in teeno ko bahut chalaki se apne kaam ko anjaam dena hoga, ab issi beech "MASTERMIND" ko ek call ata hai aur dusre taraf se koi shayad unhe inform kar deta hai ki unki jaan shayad khatre mein pad sakti hai , aur unhe chaukanne rehne ki salah de raha tha , par "MASTERMIND" ne caller ki baat hasi mein uda diya aur kaha ki kisiko pata nahi ki woh kaha rehta hai , toh usey koi kaise attack karega , aur yeh bhi kaha ki allah unhe mehfoos rakhenge woh unki tension na le ,  aur bataaye ki kya haal chaal hai ? , yeh conversation sunkar "Muraad'  ko  thoda tension ho raha tha aur woh aur chaukanna ho gaya , par jab dekha ki woh matter ko maze mein le rahe the uska mann halka hua aur woh ab satark ho gaya aur mann mein thaan liya ki ab toh "MASTERMIND" ki khair nahi. Par thodi der mein kahase pata nahi par ek bullet aakar "MASTERMIND" ko lag hi jaati agar "Muraad' ne notice nhi kiya hota toh aur "MASTERMIND" ko kheech ke dusre taraf mud na gaya hota toh , aur iss dauraan goli "Muraad' ko chu kar nikal gayi , jisko "Mastermind' ne khyaal kiya aur usey dusra room mein le gaye apne saath , aur fatafat uski patti karne lage , saath hi apni praan bachane ke liye shukriya karne lagey , aur kaha ki woh agar na hota toh aaj "MASTERMIND" toh allah ko pyaare ho jata , ispe mann hi mann "Muraad" ne socha ki wohi toh karne ko usne chot khayi kyunki woh apne haatho se 'MASTERMIND" ko maut ke ghaat utaarna chahta tha. Isi beech "Muraad" ne puch hi dala ki koi kyun unpe attack karna chahega, ispe toh pehle "MASTERMIND" kuch bone se itra raha tha ,fir  kyunki "Muraad' ne unki jaan bachane ke liye goli khai thi aur socha unhe isse koi khatra toh hai nahi , tab kehna shuru kiya  ki

bhai tumko shayad mere business nahi pata , toh suno yeh jo bomb blasts hue hai delhi mein aur baaki shehero mein woh sab mere hi order se hi hua hai, aur mujhe INDIA mein aatank failane mein bada Maza aata hai.

Yeh sunkar "Muraad" toh ussi waqt usse maar deta par socha ki uski khabar ko sach karne ka waqt aa gaya hai. Isi beech "Zeenat' ne inn dono ko jab "MASTERMIND" zakhmi "Muraad"  ko room mein le ja rahe the tab inn dono ko usne dekh liya tha. Toh woh "Qureshi" ke saath washroom jaane ke bahane usey washroom tak usey saath vchalne ko kaha aur jaise hi woh phuche "Zeenat" ne usko bhi andar kheech liya aur intimate signals dete huye  aur humara " Qureshi" waha apne aapko sambhal nahi paya , aakhirkaar "Zeenat" ke liye woh paagal tha . Toh dono hi washroom mein the aur washroom "MASTERMIND" ke room se bikul nazdeek tha i mean ekdum chipki hui thi . Isme "Zeenat" ko information  ya 'Muraad' se jo bhi baat uss room mein ho rahi ho rahi thi woh clearly usse sunayi pad raha tha aur samjhne mein koi dikkat bhi nahi ho rahi thi , aur waisa hi sochkar "Zeenat" ne washroom lock kar liya aur waha woh aur "Qureshi" apni intimacy enjoy kar rahe they , atleast "Qureshi" toh enjoy kar hi raha tha , aur "Zeenat bhi cooperate karte huye apna dhyaan "MASTERMIND" ke baaton pe hi fixed rakhi hui thi. Ab iss hamle se "MASTERMIND" toh tension se purey pasina se bheeg chuke they, uppar se A.C. toh chal raha tha par usmein bhi pasine ruk nahi raha tha "MASTERMIND" ka, toh "Muraad" ne unko relax karne ko kaha aur khidkiya khol di . Ab  pehli goli jo "Muraad" ko lagi , woh "Ayesha" ki rifle se chali thi, par galti se "Muraad" ko goli lag jaati hai. Saamne building mein "Ayesha" full focus lagaye usi khidki ke taraf ekk takk dekh rahi thi. Ab "Muraad" ne haav dekha na taav aur woh "MASTERMIND" pe goli chalane wala tha , usi waqt uska call baja aur dusri taraf se usko puri jaankari di gayi baaki do logo ke baare mein, yeh sunn uska josh aur badh gaya ab woh maar hi dalta "MASTERMID" ko , ki dusri taraf "Zeenat" ne "Qureshi" ko intimacy ke dauraan injection ke zariye uske sharir mein zeher inject kar diya , jisse uski sang sang maut ho gayi , aur isne wohi usey ek goodbye kiss dekar "Qureshi" ka chapter fully close kar diya.

Dusri taraf "Ayesha' bilkul taiyaar thi , tabhi usne dekha ki "Muraad" ne usko dekhliya aur woh usse wahi shoot kar deti , par tab usne dekha ki "Muraad" usko kuch dikha raha tha , usne jab binoculars se dekha tab woh INDIAN ARMY ka badge tha aur woh samajh gayi ki woh INDIAN ARMY se tha , aur unn dono ka laskhya ek hi tha . Ab woh aaram se tamasha dekhne lagi. Aur issi beech "Zeenat" andar ghusi chali aayi aur aisa dhong karne lagi ki woh jaise dekhne aayi ho  goli ki awaaz sunkar ,ki "MASTERMIND" thik hai ki nhi kahi unhe koi haani toh nahi pahuchi ,tab "MASTERMIND" ne kaha ki unhe bachate bachate iss naujawaan "Muraad" ko goli lag gayi , warna aaj agat yeh na hota toh woh toh allah ko pyaare ho jaate. Yeh sunkar usko aur gussa badh gaya aur woh toh "Muraad" ko wahi maar dalti , par bahgwaan ka lakh shukar hai ki "Muraad" ko khabar mil gayi thi baaki dono ke baare mein , toh "Zeenat' ke haav bhav dekh kar usey pehle shaq tha fir confirm ho gaya ki ho na ho wohi woh dono mein se ek hogi  tab isi beech "Zeenat" ke pocket se ATS [cYBER CELL] ka id card gir gaya aur turant usey "Muraad" ne usey uthakar uthakar de diya isse pehle "MASTERMIND" usey dekh leta. Aur taaki "Zeenat" bhi jaan sake ki "Muraad" INDIAN ARMY se hai toh usne apne aapko usi jagah dobaar achot lagaya aur girne ka naatak kiya aur apna badge gira diya , jisko "Zeenat" ne dekh liya aur usko sab samajh aa gaya tha, aur first aid lene ke bahaane se "Muraad" ne usko khidki ke paaswale drawer se first aid box lane ko bheja , jaise woh phuchi usne "Ayesha" ko dekha rifle liye bilkul taiyaar , usko pura plan samajh aa gaya tha aur usne bhi "Muraad" ke hi tarah "Ayesha" ko apna id card dikha diya tha. Ab teeno ready the , teeno ne allah ko yaad kiya,aur countdown shuru ho gaya, niche toh sabko har team ke logo ne baaton mein uljha rakha tha , aur yeh log bhi guests ke tarah hi ghus aaye the mehfil mein . Uppar "Zeenat" ne jaise hi first aid karna shuru kiya tab woh samajh gaya tha ki "Zeenat" uske taraf attract ho rahi thi, aur usne isika mauka uthaya aur usle saath intimacy karni shuru kar di jispar "Zeenat" hairaan ho gayi aur "MASTERMIND" ko kuch samajh nahi aa raha tha ki kya kare, tabhi "Muraad" ne uske saath zabardasti karne ka jhuta naatak shuru kar diya aur woh samjh gyi thi ki yeh plan ka hissa tha , toh woh naatak asli lagey isliye woh "Muraad" se door jane ki koshish karne lagi par "Muraad" bhi kuvh kum toh tha nahi usne wapis aur zor se usey apni ore khichna shuru kiya,aur yeh dekh "MASTERMIND" ne "Zeenat" ko bachane ki koshish karne laga  aur bas yahi tha perfect moment aur khidki ke lagbhaag saamne hi khade the "MASTERMIND" ab isi khichatani mein bina waqt gawaye ayesha ne aim fix kiya aur fire kar diya aur rifle mein silencer fit rehne ke wajah se koi shor bhi nahi hua aur laga toh laga pura headshot , 1 second mein kahaani khatam.

Ab yaha do baatein proof ho gayi ki "MASTERMIND" confusion mein marra aur inn logo ne usey uske ghar mein ghus kar uska kaam tamam kar dala.

Terrorism ka "MASTERMIND" ab allah ko puri tarah pyaar ho chuka tha aur kisko kaano kaano kaan khabar bhi nahi hui . Ab yeh teeno apne teams ko lekar waha se aaram se nikal padi. Arthaat yeh mission pure teams ke effort ki success reult thi , aur iska shray ya credit all 3 heads aur unke pure teams ke joint effort ko jaata hai. Uss raat ke baad woh log Karachi emein kabhi fir dikhayi nahi diye aur koi unhe thik se janta bhi nahi tha isliye kisika shaq unpar gaya hi nahi, toh karachi ke logo ke liye "MASTERMIND" ki maut ej rahsya banke reh gayi.

Fir agle din IB, ATS, INDIAN ARMY , heads apne apne teams ke saath INDIA wapis laut aayi aur congratulate kiya ek dusre ko , aur saath hi apne apne departments ke hero bann gaye.

-x-