Mohabbat me chot khaaye hote toh phir bhi smabhal jaate,
magar hum toh aitbar me chot khaaye hain.
Logon ki bewafai se toh hum phir bhi sambhal jaate,
magar yahan toh bewafa apne hi saaye hain.
kisi ki aankhon me sach talaashne jaaun toh unki aankhen jhooti lagti hain,
kisi ki baaton par aitbaar karne jaaun toh unki baatein jhooti lagti hain.
kisi ke waadon par itminaan nahi aata toh kisi ke iraade jhoote lagte hain,
doobti kashti ko hamare sahaara chahiye magar hume toh kinaare bhi jhoote lagte hain.
Waqt ke saath har ghaav bhar jaata hai,
mohabbat ka ghaav hota toh phir bhi sambhal jaate,
bewafa agar pura zamaana hota toh gham na hota,
magar yahan toh bewafa apne hi saaye hain.