Download Chereads APP
Chereads App StoreGoogle Play
Chereads

Zindagi Kya hai..?

ЁЯЗоЁЯЗ│Rohit_Kori
--
chs / week
--
NOT RATINGS
6.5k
Views
VIEW MORE

Chapter 1 - Subordinate Feelings

Pyare vidhdharti mitro me aapka priy dost Rohit.

Aaj me aapko Zindagi ki kuch aesi baate batane jaa raha hu jise sunkar aap bahut gahre soch me pad jaoge ki zindagi aesi hoti hai.

Or meri in baato ko sunkar/padhkar aap ye mat samjna ki ye bahut sadharan baat hai.

Meri ye batein sunkar aapko sadharan lagegi lekin inme chupa saar asadharan hai.

Or ye jo batein me aapko batane vala hu vo koi dekhi ya suni huyi nahi hai.Vo meri khud ki aatma katha hai.

... Mai ek middle class family ka hu,or abhi mai 19 years ka hu. Muje yaad hai abhi bhi ki jab mai chota bachcha tha or bhukh lagne ki vajah se rota tha na to meri mummy muje dekhkar tadap jati thi . Mere papa furniture ka kaam karte the or meri mummy housewife thi. Mere dada dadi bahut paise vale hai lekin unhone kabhi bhi mere parents ki help nahi ki or naa hi kabhi pucha ki aap log jinda ho ya mar gaye . Mere papa jab 16 years ke the tabhi mere dadaji ne unki saadi karva di thi . Mere papa ki mummy to jab mere papa 3 years ke the tabhi unki deth ho gayi thi to mere dadaji ne dusri saadi ki jisase mere papa ka future bigde naa. Lekin souteli maa kabhi apni nahii hoti . Thik usi tarah meri new dadi aayi to vo mere papa ko roj roj pareshan karti thi . Time par khana bhi nahi deti thi or hamesha marti rehti thi . To mere dadaji k ek friend the Ramtirath Uncle vo mere papa ko roj apne ghar bulakar khana khilate the or padhate bhi the is tarah se mere papa ne unki bachpan ki jindagi gujari hai.

Zindagi me kai utar chadhav aate hai bahut sari pareshani bhi aati hai , hame un pareshaniyo se bhagna nahi chahiye balki himmat se unka samna karna chahiye.

Bahut se insan logo ki galtiyo se sikhate hai lekin kuch ese log bhi hote hai jo khud ki galtiyo se sikhte hai .

Aap mese kuch bachche to aise honge jo apne mummy papa ka kehna nahi mante honge hamesha unko pareshan karte honge or unke paise par jalsha karte honge . Yaron aapko nahi pata ki paise kis tarah se kamaye jate hai . Hamare mummy papa kitni mehnat karte hai tab hamare ghar paisa aata hai . Or hum to use bahut aasani se kharcha kar dete hai . Ek din sirf aap apne mummy papa ki jagah lekar dekhiye aapko pata chal jayega ki Time or Money ki kya kimat hai . Mummy Papa khudko sapno ko adhura rakhkar hamare sapne pure karne lag jate hai .

Kya aapne kabhi apne mummy papa se pucha hai ki aapka kya sapna hai , ek din puchkar dekhiye fir pata chalega aapko zindagi ka khel . Aapko kya hai aapne to order kar diya ki muje ye chij chahiye fir bhale hi mummy papa ke paas paisa ho ya naa ho lekin vo us chij ko lakar aapko de dete hai , aap sochiye ki hamari mummy papa hamare liye itna kuvh karte hai to hamara bhi farz hai ki hum bhi kuch karen unke liye .

Doston jyada kuch nahi karne hai sirf aap apne mummy papa ko kisi bhi tarah ka koi tension mat dijiye , hamesha unki baat maniye , apne mummy papa ko 24 hours mese jyada nahi sirf 2 hours dijiye aap apne mummy papa ko bhi thodha pyar dijiye fir dekhiye aap apne mummy papa ki khushi .

Jo insan apne mummy papa ka dil dukhata hai vo puri jindagi dukhi rehta hai or jo bhi apne mummy papa ko khush rakhta hai unki sari batein manta hai vo life me kabhi bhi dukhi nahi rehta hamesha khush or samrudhdh rehta hai .

Isiliye kaha gya hai " Duniya main mummy papa se bada or koi bhagwan nahi , Mummy Papa ke chrano me pura vishw samaya hua hai ".

( Rohit kori )