Chereads / Childhood Love Story Memories ?? / Chapter 6 - Sameer Will Not Come In School Van From Today.

Chapter 6 - Sameer Will Not Come In School Van From Today.

After 3 years, morning ka time Sharavani school ke ready ho kr school van mei second last seat pr bethne jati hai to vo dekh ti hai ki ajj seat khali hai, to vo sad ho jati hai qki uska best friend Sameer ajj school van mei ni aata, to vo sad ho kr school van mei beth jati hai or fr school paunch kr jab vo aapni class mei jati hai to vo dekhti hai ki Sameer already classroom mei first bench pr betha hai Sharavani uske pass beth ti hai or school bag bench pr rakh kr puchti hai ki ajj vo school van mei q ni aaya, or fr Sameer bolta hai "qki abse vo aapni mom ke sath aayega uska ghar school ke pass hi shift ho gaya". Ye sun kr Sharavani sad ho jati hai, tab Sameer bolta ki "to kya hua agar hum school van mei sath ni aate pr pura din hum classroom mei to sath rahenge na" ye bol kr Sameer Sharavani ko dekh kr smile krta hai or fr ye sun kr Sharavani ke face pr bhi ek pyari si smile aa jati hai uske baad unki teacher classroom mei aati hai or padhana shuru krti hain. Thodi der baad unka computer period hota hai or sabh bache computer room mei jate hain vaha ladke or ladkiya alag alag beth te hain ek line mei sabh girls or dusri line mei sabh boys. Sabh bache excited hote hain computers ke baare mei jaan ne ke liye pr Sharavani sirf Sameer ko dekhti raheti thi or fr jab fr se period over ki bell bajti sabh bache aapni aapni classes mei jate or fr unka maths ka period hota pr Sharavani ka sara dhyan sirf Sameer pr hota vo baar baar yahi soch rahi thi ki "Roz subha Sameer ke sath school van mei ni aa payegi". Firse 45 mins ke baad bell ho jati or une sabh ka library period hota hai jise mei sabh bache library jate hain or story books padhte hain pr Sharavani ka sara dhyan ab bhi Sameer pr hota hai or vo Sameer ko dekhne lagti hai or vahi Sameer aapni story book padhta hai Sharavani sad bethi hoti hai or fr Sharavani bhi aapni story book padne lagti hai fr 45 mins ke baad lunch break ki bell hoti hai or sabh bache bina koi noise kiye mei discipline mei line bana kr aapni classroom mei jate hai or tiffin box le kr ground mei jate hain vaha Sharavani sad bethi hoti hai or akele lunch krti hai tabhi Sameer uske pass jata hai or sath mei beth kr lunch krta hai dono ek dusre se kuch ni bolte pr Sameer samjh jata hai ki Sharavani q sad hai or fr sabh bache lunch khatam kr kr games khelte hain pr Sharavani sad akeli bethi raheti hai or fr Sameer bolta hai "Sharavani chalo sabke sath games khelte hain", Sharavani Sameer ki baat maan leti hai or fr bell hote hi sabh aapni aapni classes mei jate hain or fr une sabh ka games period hota jaha class ke sabhi bache games khelte hain pr Sharavani sad thi or alag ja kr beth gayi thi. Sharavani ko akele dekh Sameer Sharavani ke pass jata hai or bolta hai "Sharavani kya hua tum sad q ho?" Sameer janta tha ki Sharavani ka sad hone ka reason pr vo fr bhi use se hi sabh sun na chahta tha or ye sabh sun kr Sharavani bolti hai ki "Mujhe bilkul acha ni lag raha ki kal se tum subha mujhse school van mei baat ni kroge or na hi school van mei mere sath ghar jaoge". Ye sun kr Sameer bhi thoda sa sad ho jata hai pr vo baat ko handle krte hue bolta hai ki "Sharavani mei bhi sad hun ki na hi to mei school van mei subha tumse baat kr paunga or na hi tumhare sath ghar ja paunga, lekin mei kuch bhi hun qki mei aapni best friend ke sath pura din school mei rahunga or uske sath games khelunga, stories read krunga or sath mei lunch krunga", Ye bol kr Sameer fr se smile krne laga or ye sun kr Sharavani bhi smile krne lagi or kaha ki "Sameer tum mere best friend or mei humesha tumhari best friend rahungi". Or fr unka games period over hote hi sabh classroom mei gaye or ja kr bag pack krne lage.