Download Chereads APP
Chereads App StoreGoogle Play
Chereads

LAFZ

🇮🇳Sanjeev_Kumar2529
1
Completed
--
NOT RATINGS
4.6k
Views
Synopsis
Ye kahani koi kalpanik yani ki fictional nahi hone walihai,jahanmaineaapkokoipariyonkiyaraja-raniki kahanisunanewalahun,balkiyeekbilkulsacchikahani hai jo aapki soach aur zindagi badalne ke liye kafi hai. Ye kahani hai sangharsh ki, mehnat ki, kamyabi ki aur sab kuch chor ke chale jane ki, ye kahani hai mere pita late Rajendra kumar sahu ki. Kaise ek insaan jishe din mein teen waqt ka khana naseeb nahi hota tha, pehenne ke liye sirf ek jodi kapde the, sambhalne ko ghar par 5 bhai aur ek bimar maa thi, wo aaj karodo ki sampatti ke malik hai aur har vo sukh suvidha hai jiska unhoneekdinsapnadekhatha.

Table of contents

VIEW MORE

Chapter 1 - TheSeedofDreams

Ye kahani koi kalpanik yani ki fictional nahi hone walihai,jahanmaineaapkokoipariyonkiyaraja-raniki kahanisunanewalahun,balkiyeekbilkulsacchikahani hai jo aapki soach aur zindagi badalne ke liye kafi hai. Ye kahani hai sangharsh ki, mehnat ki, kamyabi ki aur sab kuch chor ke chale jane ki, ye kahani hai mere pita late Rajendra kumar sahu ki. Kaise ek insaan jishe din mein teen waqt ka khana naseeb nahi hota tha, pehenne ke liye sirf ek jodi kapde the, sambhalne ko ghar par 5 bhai aur ek bimar maa thi, wo aaj karodo ki sampatti ke malik hai aur har vo sukh suvidha hai jiska unhoneekdinsapnadekhatha. Kahani shuru karne se pehle maine ye bata dena chahta hoon ki ye kahanimaine bahut hi asan shabdon mein likhnekikoshish kihaitakiyekahaniharkoipadh sake aur is kahani se har koi sikh sake. Maine ye bhi bata dena chahta hoon ki is kahani mein maine kuch bhi bada-chada kar ya fir kahani ko banavati dhang se nahin pesh kiya hai. aur ye puri tarah se mere pitaji ki jivniyanikibiographyhai. Mere pita ka janm jharkhand ke ek chote se gaon "Choriya" mein hua tha. woh log kul do behne aur 6 bhai the aur mere dadaji ek kisan. Garibi aisi thi ki na khane ko sahi se khana tha, nahi pehenne ko do jodi kapde. ishi garibi ki wajah se mere pita ki dono behne bachpanmehibimarisejujhtehueguzargayi,wokehte haina"Harjaankiekkimathotihai",aurekgaribbhala wo kimat kaise chukata. Pitaji batate the ki bhook

7

mitanekeliyewothodachawalaurkaafisara panimila kar khaya karte the jisse ki pet bhara hua lage, aur had to tab ho jati thi jab aksar padosi zyada khana fek diya karte the, ushi mohalle mein koi zyada khana kha nahi pata tha aur koi khali pet so nahi pata tha. lagbhag 15 saal ke ho jane tak unhone apna guzara subah kheton mein kaam karke aur shaam mein galiyon ya bus mein chana bech kar kiya. Aksar kheton mein kaam karte waqt dur kisi gadi ko Jate dekh wo bhi socha karte the "Kabhi maine bhi chalunga aisi hi gadi" par phir khali petkigurgurahatapnehaisiyatkiyaaddiladetithi. Ishi tarah ek shaam bazaar mein unhone dekha ek jagah pe kafi bhid ikattha thi unhe laga koi bandar ka tamasha chal raha hoga par jab unhone kareeb ja kar dekha to pata chala ki wahan par sabjiyon ke beej (vegetableseeds)beche jarahethe aursarekisan ushe khareed rahe the tabhi pitaji ne thaan liya ki ab wo bhi yahi karobaar karenge. Ghar se ijazat aur thode se paise ke saath wo nikal pade har roj bazaar karne, jo nahijanteunhebatadun aajkeshoppingmallskitarah hi loag pehle roz marra ki cheese bazaar se liya karte the. Paise ki kami kewajah se wo ek dhabe kebahar hi apna bora (sack) bicha kar beej becha karte the. Dabe walekidant-fatkaraurgandebartankechitteaambaat ho gayi thi. Samay guzarta gaya aur loag pitaji ko unke imandari aur acche bartaao ki wajah se janne lage, mehnat aur lagan dheere-dheere ab rang laane lagi gaonmeinkarobaarkarnekebaadabunhonesheherki tarafapnarukhmodliya.Gaonse50kmdurJharkhand ki rajdhani "Ranchi" mein unhone kadam rakha. Ek chotesedukanseunhoneshuruwatkijishebharahuaa dikhlanekeliyewobeejkekhalidabbekaistemalkarte the. Aksar bus ya truck ke uppar baith kar Ranchi aana janakaafitaklif bhararehtatha.Aur buschoot janepar

8

raat wahi sadak par so kar bitani padti thi, jisme se ek raat unhone "Firayalal icecream corner" ki sidiyo par bhibitaya,jahanaajhumaksarapnicham-chamatigadi se icecream khane jate hai. Aise hi ek saal guzarne ke baad unhone apna karobaar Ranchi mein bhi jama liya jiske baad unhone shaadi karne ka socha. Paas kehi ek gaon se unke liye ek prastav (proposal) aaya jiske baad sab kuch theek lagte hi unhone shaadi ki. Maa batati haiuswaqtwokafichotithiaurekdinjabwoschoolse aayi to unhe pata chala unki shaadi tai ho gayi hai aur haan us waqt ladkiyon se pucha nahi jata tha balki bataya jata tha. Badle me, maa ko 15 rupaye diye gaye jisse unhone apni shaadi ke liye chudiyan, bindi aur na jane kya kya kharida aaj to 15 rupaye mein ek acchi mithai bhi nahin aati. Shaadi ke kuch saal baad unhone hamesha ke liye Ranchi aane ka socha, bina kisi saman ke saath wo 2 bacchon ko le kar Ranchi aa gaye. Kisi tarah 10x10ft kekiraye ke ghar mein rehtehue unhone khud ko aur dono bacchon ko sambhala. Kuch saalo ke baad mera janm hua aur ushi samay pitaji ne apna khud ka gharbanaya aur sabhibhaiyon kobhi rehne ko bulaya aur phir ek four wheeler gadi ke saath hi unka pehla sapna pura hua. Iske baad pitaji ne kabhi piche mud kar nahi dekha aur phir kamyabi ke shikhar tak pahuchte huee unhone apna aur apne pure pariwar ka sapnapurakiya. Sab kuch sahi chal raha tha, tabhi na jane hamari khushiyonkokiskinazarlagiaurachanakpitajikiek din tabiyat kharab ho gayi, dekhte hi dekhte tabiyat bat se battar ho gayi 3 din ke andar hi andar pitaji ko humne 19th jan,2010 ko kho diya hamare liye duniya jaise khatam si ho gayi thi par himmat bandhte hue mere bade bhaiya jo is waqt sirf 17 saal ke the unhone

9

karobar ko sambhala aur bakhubi aaj tak sambhalte aa rahehai. Busyethimerepitajikikahaniaurjaatejaatemaineek line maine apne pichle kitab "My 15 girlfriends who made me a millionaire" se boalna chahunga ki "Some people areso-so poorthatallthey haveis money"yani ki kuch loag sach itne itne garib hote hai ki unke paas sirf aur sirf paise hi reh jate hai aur sach aaj pitaji ke binawogaribinsanmeinhihun. Asha karta hun mere pitaji ki jivni se apne bohot kuch sikha hoga. Mere pitajine apne sapne ka beej boya tha jishe unhone pani se nahi mehnat ke paseene aur khoon se sicha tha jiski badolat aaj wo sapne ka ped itna bada ho chuka hai ki uski chaaon me aaj bhi hum sukun se rehte hai. Maine chahta hun aap bhi apne sapne ka beej aaj hi boye, jiska fal ek din aapko zaroor milega aur haan ped apna fal khud nahi khata hai, toh usfalkoapnokesaathbatnanabhule. Dhanyawad, Sanjeevkumar Sanjeevkumarofficial96@gmail.com