Download Chereads APP
Chereads App StoreGoogle Play
Chereads

Rampo

ЁЯЗоЁЯЗ│Anupama131999
--
chs / week
--
NOT RATINGS
6.7k
Views

Table of contents

Latest Update1
Rampo5 years ago
VIEW MORE

Chapter 1 - Rampo

Aapne purv Janam mi mai ek murga tha┬░┬░┬░wo Raghu kumhar ka Ghar tha jha Mai raat ko ek Darve mi band rehta tha aur Subhash-savere JB Raghu ki choti ladki Darve ka dakkhan hta deti to mi ko..Ko..ko krta, pankh fadfadata, subhah ki sunhali Dhoop mi Nikal aata tha. mere pichhe-pichhe Raghu kumhar ki 7-8 murgiya bhi aangan mi fail jati thi. hum log ek dusre se vartalap krte Ghar ke Bahar esthit ghure pr aa jate ur usme se khane yogy samigri dhundne lgte ur Mai behad gambhir bna murgiyo ke Charo taraf ek dayre ki shakl mi ghumta rehta Taki koi kutta ya billi mere humjoliyo pr aachanak halma na krde. inn 7 ya 8(shi sankhiya esliye nhi bta sakta kyoki aapne pichhle Janam mi mai jis Gao mi murga ban kr paida hua tha vaha padne likhne ki koi makul viyavstha nhi thi.) murgiyo se mujhe behad isneh tha. ve safed rang ke bade suadist aande deti thi. aur kbhi kbhi Raghu kumhar ki Nazar bacha kr Mai ek do aande pee Jaya krta tha.yeh murgiya bhi mujhe behad chahati thi,aur jab kha pee kr unka pet bhar jata tha to ve mujhse choche ldaya krti thi.yu to Raghu kumhar ki sbhi murgiya mujhe behad pasand thi parntu surmaii rangat vali Lgaran jati ki ek choti murgi vastav mi mujhpr jaan chidkti thi.ghure ke dher se jab bhi koi behad swadist keeda makoda usse milta wo mujhe uska taste zarur krvati thi.ek br JB kallu dhobi ke kale kalute ur bdsurat kutte dhavru ne ghat lga kr mujhpr hamla kr Diya to yeh choti murgi(usse mi pyaar se rampo kehta tha.)aapni nanhi si jaan ki prvah na krke dhavru pr Chad baithi thi.iss hamle mi kareeb hi tha ki mi mara jata aachanak Raghu kumhar ki choti ladki aa gyi aur seize fire ho gya Mai buri tarah ghayal ho Chuka tha,rampo mujhe sahara dekr Darve tk le gyi aur fir aagle 3-4 dino Tak usne Jo Meri sewa ki wo mujhe iss Janam mi bhi yaad hai.kyoki murge-murgiyo ke uss samaj mi shastr sammat ya retatmak prikirya sambandh isthir krne ki nhi thi aatah Rampo se Mai kisi pirkar ka koi sambandh nhi bta sakta parantu hmare beech aisa bahut kuch tha jisse sirf mehsoos hi kiya ja sakta hai.iss pirkar ke sambandho ko kisi chardivari mi band krke bhi nhi dekha ja sakta.shayad ek aasman hota hai door Tak jha Nazar le jao bas neela-neela saaf bedag sa aasman.jese aasman mi koi mail nhi hota iss pirkar ke sambandh bhi nishkalush hote hai.

aapne uss jeewan mi Mai behad nishchintta ke sath jeewan byatit kr rha tha parntu niyati,Jo sadev se hmari khushiyo ki shatru bni Hui hai,dave pav hmare pichhe aa rhi thi.raghu ki choti ladki ki mangni ke din jb Sara Ghar prisanta ke thahake lga rha tha, Darve mi Mai ur Rampo ek dusre ke Gale lag kr ro rhe the.mera to manna hi yeh h ki ydi hum prishan hai to hmari prishanta Hume aavshey kisi dusre ke dukho ke badle mi mili hai.mujhe ek din pehle hi pta chal Chuka tha ki mehmano ki khatir mere gosht se ki jayegi. Rampo behad besavri se lambe lambe aayal vali meri gardan ko sehla rhi thi...garv se unnat rehne vali Meri yeh gardan thodi der bd dhul mi pdi hogi.aapne chitkavre khubsurat pankho ko,jinpr mai behad garv krta tha,behad hasrat se dekh kar Mai thandi thandi sanse le rha tha.mai janta tha ki shaam ki dawat mi Mai Kai Plato mi bat jaunga,gosht se bhari Meri mansal tange khas ladke ke baap ke aage pesh ki jayengi aur wo aapni hone vali putrbadhu ki paak vidhiya ki prishansha krte hue haddiyo PR chipta gosht noch noch kr kha jayega.mas kha lene ke bd wo Meri haddiyo ko kallu dhobi ke bdsurat kutte dhavru ke aage dal dega,Jo aisi dawato mi bin bulaye mehman ki tarah pahuch jata tha. uss Janam mi Meri gardan pr tezz dhar vali ek chhuri fira di gyi thi,Mere sekdo sapne,hzaro ummide lakho arjuye uss tezz dhar vali chhuri se Kat diye gye the,Meri Rampo ne Raghu kumhar ki choti ladki aur barat ki khushiya mna rhe logo ko kya kya n bdduaye di hongi. magar yeh duniya kisi duao ya bdduao pr nhi chalti hai,iss duniya mi jeene ke liye ek tezz dhar vali chhuri se dusro ki khushiyo ka gala katne ki Kla aana zaruri hai lekin ye Kla Hume kbhi nhi aayegi.

Nirmal Kumar Saxena