Chereads / dashtaane zindagi / Chapter 1 - DHARM KE NAM PAR TAKRAAR

dashtaane zindagi

sonal_pandey_5250
  • --
    chs / week
  • --
    NOT RATINGS
  • 3.2k
    Views
Synopsis

Chapter 1 - DHARM KE NAM PAR TAKRAAR

Dharm ke nam Par takraar

Hum Hindustani hain to humare Hindustan ki rakha krna humara kartawya hain. Us uper wale ne insaan banaya aur humne unhe hindu aur musalmaan bana diya. Aur fir suru ho gye daram ke naam par takrar karne me. Ye soch badal kar Hindustani bann kr desh ki raks

Kal hi baat hai humare Prime Minister bane Mr Modi. Humari janti is baat se khush thi bhi aur ni bhi. In sab se aage badh kr main apni hi life ki kal ki baat batana chahti hun. Jab result declaration Ho gya to uske baad humare college girls group me bahes hone lagi Muslim ladkiyan bhut hi asantusth thi. Aur un logo ne in baaton ka rukh kahi aur hi mood diya ye baat humari sarkar se hat kr dharm par aa gyi. Un logo ka kahna tha educated Ho kr uneducated ko prime minister banaya. Mujhe Bs itna khyal aaya ki uneduacated ko Prime Minister banaya theek hain galat huaa but educated ho kr aise Hindu Muslim krna ye kon se education me sikhaya jata hain. Hume to Bachpan se padhaya jata hain 'Hindu Muslim Bhai Bhai'. Hum aisa kr ke dusri country ko invite kr rahe hain ki hm to kamzor hain apne me hi ladai kr rahe hain tum log iska benefit le lo. Hum Hindu Muslim kr ke Ek dusre se ladai krenge maar krenge to kya kbhi Hum dusre deshon se jeet payenge kbhi ni. Humko Hindu ya Muslim ho kr ni agar ladna hain to Hindustani ho kr ladai krni chahiye. Border par humari rakha kr rahe vo jawan Muslim bhi hain Aur Hindu bhi unhe dekho vaha na koi Hindu ki rakhsha ke liye hain na Muslim ki waha log Hindustan ki rakhsha ke liye hain.

"Na Hindu ke liye ,Na Musalmaan ke liye.

Ladai ladni hain to lado Hindustan ke liye "