Toh janab mera naam Badal hai or meri kahani ki sabse khoobsurat ladki yani is kahani ki mehbooba ka naam hai'Vishakha' ji haa wo bhi apne naam ki tarah hi kafi khoobsurat hua karti thi isiliye aaj mere kahani ka wo ek aisa hissa ban chuki hai jo aap sabko meri kahani jan ne ke liye majboor kar sakti hai to aaiye shuru karte hai bachpan se jab maine use pehli baar dekha or usi mein kho gya. .....
Mere school mein hame exams khatm hone ke 20 din baad school jana hota tha.Waha par
ham apne results collect karte or school kab star hoga bas iska intezaar kiya karte the.Mai bhi kuch sabhi ki tarah aam hi tha mai uss waqt bhi apne ek haath se papa ko pakde hue tha toh dusre hath mein marksheet liye sir niche jhukakar teachers or dad dono ki daat sun rha tha mai padhai mein utna achha bhi nahi tha.
Is mahol mein jaha sab log udaas the ek hi chehra khila khila or muskurata hua dikh rha tha sabhi uski tarif hi kiye jaa rhe tvhe maine socha ki jara dekha jaye ki kon tha ye shaks jo itna khush is waqt bhi ho sakta mano apne jivan ka sabse sahi faisla us waqt kar liya ho maine jab use pehli baar dekha to aisa laga jaise ye ham sab ki tarah koi aam nahi hai ye to aisa lag rha tha mano sidha sidha aasman se utarkar aayi ho din mein jo saare tare gayab ho jate hai mano kisi ne unhe churakar uski aankhon mein sajaye ho mano wo mano wo is duniya ki hi na ho jo hoor pariya kahaniyo mein suni thi wo usi ki parchhayi ho maano sab kuch theher sa jata ho uski muskurahat dekh kar mano mai to pagal sa ho gya tha use dekh kar us din koi wajah nahi thi mere muakurane ki bas kami thi to papa ke chatein lagane ki fir bhi fir bhi mai har chiz se anjan hokar bas uski or dekhta rha laga ki agar wo meri jindagi mein na ho toh ye jindagi barbaad hai wo hi toh hai jiska bachpan se intezaar hai.
Par kya fayda mujhe pata tha ki kaha wo apne kitabon mein ghusi hui scholar or khoobsurat kaha mai mai anpadh sa bewakoof or badsoorat mere to tiffin box bhi koi or chhin le jata hai ab wo uski kya hogi jo khud ki bhi hifazat nahi kar pata hai. Bas ab soch liya maine ki agar uska hona hai to pehle uske jaisa hona padega maine kaha tha na ki mai jyada padhai mei achha nahi tha par bas uska mere jindagi mein aane tak. Har baar apna impression achha karne ke liye mai agle din jo school mein sikhane wale hai wo pehle hi ghar se padh ke nikal jata tha or teachers ke har sawal pe uss se pehle apna haath uthata tha.
Ab yeh bhagwan ki meherbani ho ya meri lagan or mehnat jab school mei break ka time hua or maine apne bag se tiffin nikali or jab mere dost mera tiffin mujhse le gaye or main kuch nahi kar paya tabhi tabhi achanak koi dheere dheere chalakar mere paas aaya or bola "hey i saw u, tumahara lunchbox wo le gye or tumne kuch nahi kaha. I like ur behaviour, usne apna lunchbox mujh tak badhate hue kaha ye lo khalo shayad tumhe bhhookh lagi ho".Ab mai thehra ladka har baat mei herogiri jhadne se chukta nahi tha maine keh diya "thanks par mujhe nahi chaiye mai thik hoon waise bhi mujhe doosro ka bhala karna achha lagta ".
Fir wo bhi muskakar waha se chal di pehle to sab kuch sapna laga ki kaise wo mere paas aai or usne mujhe kuch khane ke liye order kiya or kaise wo meri fikr kar rahi thi mano isi pal ke liye mai ji rha tha sab kuch achha chalne laga mai har roz us se baat karne laga mere sense of humour use achha lagne lage the ab ham sirf dost nahi kafi ache dost ban chuke the freinship goals wale charche hamare har jagah failne lage the mai hamesha uski bagal wali bench par baithne laga ab tiffin bhi bas uska hi aata tha mera toh lectures mein hi khatam ho jata tha dheere dhere ham dono bohot kareeb hone lage or bas usi pal mein ham jine lage the.
Uska mujhse milna mere jivan ka sabse khoobsurat hissa ban chuka tha jo ab kisi kisse mein badal rha tha.