Roshan Malhotra...Mumbai mein rehnewala ek imaandaar police officer....akela, tanha..andar se ekdum khali sa. Haan pichle kuch dino se se bas yehi thi uski zindagi. Lekin pehle aisa nahi tha. Tab zindagi bahot hi khush-haal hua karti thi uski...bahot hi raunakbhari.
Nisha... Nisha Malhotra. Roshan ki biwi. 5 saal pehle Nisha aur Roshan ki shaadi huyi thi..love marriage. Dono Delhi mein college mein saath padhte the aur dono ko ek-dusre se pyaar ho gaya. Phir college ke last year mein dono ne apne-apne gharwalo ko bataya aur unhone raazi-khushi se unki shaadi kar di.
Shaadi ke turant baad Roshan ne civil services ki exam di aur woh pass ho gaya. Roshan ki posting Mumbai mein huyi. Roshan ko Mumbai ke ek police quarter mein ghar diya gaya aur dono pati-patni wahan rehne aa gaye.
Nisha ne apni sujh-bujh se uss ghar ko swarg aur apne pyaar aur parwaah se Roshan ki zindagi ko behad khush-haal bana diya. Saamne Roshan ne bhi Nisha ko be-intehaa pyaar diya aur uski har khushi puri karne ki koshish mein kamyaab hua. Roshan pura din police station duty ke liye jaata aur shaam ko ghar aata. Phir dono pati-patni ghar pe saath dinner karte aur khushi se ek dusre ke saath quality time spend karte. Weekend mein bahar movie dekhne jaate aur phir kisi achche se restaurant mein dinner karte.
Shaadi ke 2 saal tak toh waqt yunhi khushiyo se bit-ta gaya. Roshan ek bahot hi achcha police officer saabit hua. Woh apne kaam ke prati bahot hi sincere, dedicated aur passionate tha. Woh har case ko bahot achche se aur kaafi kam waqt mein solve kar deta. Issi wajah se dhire dhire Roshan pe apne kaam ki zimmedariyan badhne lagi. Apne kaam ki wajah se ab woh zyadatar duty par hi rehne laga tha aur der raat ko ghar aata. Phir dhire dhire toh woh 2-2...3-3 din tak ghar aata hi nahi tha. Nisha ne usse iss baare mein mithi fariyaad bhi ki lekin Roshan kehta ke jitna woh usse pyaar karta hain utna hi pyaar apne kaam se bhi karta hain aur apne kaam mein woh zara si bhi la-parwaahu nahi karna chahta. Roshan ke senior officers bhi uske liye bahot hi garv mehsoos karte aur uss ke prati kaam ko lekar bahot hi asha rakhte.
Lekin ab Nisha yahan bahot hi akelapan mehsoos karne lag gayi thi. Woh kaafi udaas aur mayoos rehne lagi thi. Lekin apne kaam ke prati kuch zyada hi samarpit Roshan ne kabhi bhi iss baat par dhyan nahi diya. Usko toh ab inn sab baato ki parwaah hi nahi thi. Ab toh usne Nisha ke phone calls lena bhi kam kar diye the...lagbhag naa ke barabar. Hafte mein ek ya zyada se zyada do din hi woh ghar pe hota... aur jab bhi woh ghar jaata toh issi baat ko lekar dono pati-patni ke bich jaghde hote. Ab Nisha bahot hi chidh-chidhi hone lagi thi.
Ek din Nisha ne Roshan se kahin job karne ki baat ki taaki uska waqt guzre lekin Roshan ne usse mana kar diya. Nisha ne kaha ki, "Agar tum mujhe job nahi karne dena chahte toh kam se kam mujhe ek bachcha dedo...wese bhi humari shaadi ko 2 saal toh ho hi chuke hain aur bachche ki wajah se mera mann bhi laga rahega." Aur Nisha ko apne mann mein yeh bhi ummid thi ki bachche ki wajah se Roshan phir se pehle ki tarah apne ghar ko, Nisha ko aur apne bachche ko waqt dega. Lekin Roshan ne yeh keh kar baat taal di ki woh bachche ke baare mein baad mein sochega.
Ese hi ek saal aur bita. Kaam ke prati apne behad hi dedicated nature ki wajah se 3 saal mein Roshan ki promotion ho gayi aur woh Police Sub Inspector se Police Inspector ban gaya. Lekin Nisha aaj bhi kai-kai dino tak Roshan bagair ghar mein akeli hi bitati. Ab uske swabhav mein aur bhi zyada gussa aur chidh-chidhapan badh gaya tha. Iss taraf promotion ki khushi mein ussi din uske colleagues ne raat ko ek shaandar dinner party ka aayojan kiya aur usme unke seniors ko bhi invite kiya gaya tha. Sab apni family ke saath party mein jaane waale the. Roshan ne office se hi call kar ke Nisha ko bata diya ki woh party mein aane ke liye tayyar rahe. Woh shaam ko ghar ayega aur phir dono saath mein party mein jayenge.
Shaam ko Roshan ghar gaya. Ghar jaate hi usne dekha ki Nisha abhi tak tayyar nahi huyi thi. Usne Nisha se gusse se iss baare mein pucha toh Nisha ne usse kaha ki, "Aap apne colleagues aur dusro ke saath party karne ke liye kaise bhi kar ke waqt nikaal loge, lekin mere saath toh ab kuch pal bitane ka bhi aap ke paas time nahi hain. Ab jab aap ko meri khushi yaa mere ghum ki koi parwaah nahi rahi toh mein kyu aap ki khushi yaa aap ke ghum ki parwaah karu!? Aur main jaanti hu ki aap mujhe party mein sirf isiliye le jaa rahe ho kyu ki wahan aap ke saare colleagues apni family aur apne biwi-bachcho ke saath aayenge. Lekin mujhe sirf juthe dikhave ke liye aap ke saath nahi aana. Aap ki khushi aap ko hi mubarak. Aap akele hi jaavo."
Iss baat ko lekar dono mein bahes shuru ho gayi. Jaghda badh gaya...ab aisa lag raha tha ki yeh dono woh pehle waale Roshan aur Nisha rahe hi nahi the jo kabhi ek-dusre se be-intehaa mohabbat kiya karte the aur ek dusre ka itna maan kiya karte the.
Ghar ka darwaza khol kar Roshan akela hi party ke liye nikal gaya. Party jhoro-shoro se chal rahi thi. Aise mein kuch der baad Roshan ke number pe ek call aya. Phone pe usne jo suna woh sunte hi woh hil gaya, thodi der ke liye woh hosh kho kar ekdum sunn reh gaya. Woh aur uske colleagues party chhod kar turant hi uss ke ghar pahunche. Ghar jaate hi ussne dekha ki saamne Nisha ki laash padi huyi thi. Police ne bataya ki, "Jab Maid shaam ko kaam karne ke liye aapke ghar ayi toh usne dekha ki ghar ka darwaza ese hi atkaya hua tha aur jaise hi usne darwaza khola toh saamne Nisha madam ki pankhe se latki huyi laash thi aur phir aap ki maid ne humein call kiya."
Roshan dang reh chuka tha...woh sadme mein chala gaya tha....usne yeh socha tak nahi tha ki uss jaghde ko Nisha itna mann pe le legi ki woh aatmahatya kar legi.
Din bit-te gaye....Lekin Roshan abhi tak Nisha ke chale jaane ke ghum mein jee raha tha. Ab woh...aur uski zindagi..dono puri tarah se badal gaye the. Usse raat-din iss baat ka pachtava ho raha tha ki kaash usne Nisha ki baat...uski fariyaad suni hoti, kaash usne Nisha ko waqt diya hota, kaash usne Nisha ke saath itni berukhi naa ki hoti...magar ab woh saare kaash sirf "kaash" ban kar hi reh gaye the.
Apne ghum aur pachtave ko halka karne ke liye dhire dhire ab woh sharaab ka sahara pakadne lag gaya. Kabhi ghar mein akele toh kabhi bar mein jaa kar woh itni sharab peeta ki chahe kuch waqt ke liye hi sahi magar apne ghum bhula deta.
Bar mein itni saari ladkiyan naachti aur saare mard unke deewane ho jaate...lekin ek Roshan hi tha jisko kisi bhi bar dancer mein koi dilchaspi nahi thi...arrey woh toh unn me se kisi ko ek nazar dekhta tak nahi tha. Woh toh bas sharaab piye jaata aur Nisha ki yaado mein khoya rehta.
Phir ek din bar mein ek nayi dancer aayi...Sophia...Sophia ke piche saare mard deewane ho gaye lekin Sophia....Sophia ko unn sab mein se sirf Roshan hi achcha lagta tha. Roshan uski taraf dekhta tak nahi lekin woh saamne se Roshan ke paas jaati. Kuch din tak toh Roshan usse yunhi nazar-andaz karta raha lekin dhire dhire usse bhi Sophia pasand aane lagi. Dekhte hi dekhte unn dono ko ek-dusre se pyaar ho gaya.
Ab Roshan dhire-dhire normal hone laga tha. Usne aur Sophia ne bar se dur kahin aur milne ka faisla kiya. Phir toh mulakato ka silsila yun hi badhne laga. Dono ka pyaar aur bhi gehra ho gaya. Ab toh Roshan ke mann mein se Nisha ka ghum puri tarah se khatam ho gaya. Usne Sophia se kaha, "Ab maine bar aur sharaab dono chhod diya hain aur tum bhi bar mein dance karna bandh kar do...kyu ki main tumse shaadi karna chahta hu aur tumhe ek bahot achchi zindagi dena chahta hu." Sophia bahot khush ho gayi...usse toh yeh sab ek sapne jaisa lag raha tha. Sophia ne Roshan se vaada kiya ki woh ab se kabhi bhi bar mein kadam tak nahi rakhegi. Dono ne shaadi karne ka faisla kar liya. Lekin Roshan ko ek baat mann me khaye jaa rahi thi ki usne abhi tak Sophia ko apne bite hue kal...yaani ki apne past ke baare mein nahi bataya hain. Ek din usne Sophia ko saari sachchai bata dene ka faisla kiya.
Usne Sophia ko apne ghar bulaya. Usne kaha ki, "Aaj main tumhe meri zindagi ki ek bahot hi badi sachchai batana chahta hun. Kyu ki main humari zindagi ki nayi shuruat tumhe kisi dhokhe mein rakh kar yaa tumse kuch chhup kar nahi karna chahta. Dar-asal aaj se 5 saal pehle meri shaadi Nisha se huyi thi. Hum dono ek-dusre se bahot pyaar karte the lekin phir dhire-dhire mere kaam ki wajah se main usko bilkul bhi waqt nahi de paa raha tha. Uss wajah se woh bahot hi akela mehsoos kar rahi thi aur humare bich mein bahot jaghde shuru ho gaye. Phir ek din ese hi humare bich mein bahot hi bada jaghda hua aur main ghar se bahar chala gaya. Aur phir mujhe pata chala ki usne aatmahatya kar li. Lekin ab main yeh galti phir se nahi karunga. Main tumse vaada karta hu ki mere liye tum sab se pehle rahogi aur main hamesha tumhe pura waqt dunga." Jaise hi Roshan ne itna kaha ki uske piche khadi huyi Sophia ne kaha ki, "Main bahot khush hu aur mujhe tum par bahot fakr hain ki tumne mujhe saari sachchai bata di. Lekin tumne abhi bhi ek sachchai nahi batayi." Roshan ne pucha," Kaunsi sachchai?" Piche se awaaz aayi, "Yehi ki maine aatmahatya nahi ki thi, balki tumne hi mujhe maar daala tha." Woh awaaz Nisha ki thi. Roshan ne piche mood kar dekha toh piche Nisha khadi thi. Usne kaha "Nisha!!?? tum!!??? tum zinda ho???" Nisha ne kaha, "Nahi main toh aaj se 2 saal pehle ussi din hi mar gayi thi jab tumne mujhe dupatte se latka kar apne haatho se kiye gaye mere katal ko duniya ke aage meri aatmahatya ka roop dikhaya tha." Jab Roshan ne aaspas dekha toh Nisha ne kaha, "Kise dhoondh rahe ho? Sophia ko? Hahaha...woh koi Sophia-Vophia nahi...main hi thi...woh to sirf koi nayaa aur anjaan chehra aur sharir hi tha...ek chhalawa hi tha jo maine tumse badla lene ke liye apnaya tha." Roshan dang reh gaya...Usne behad tajjub se kaha, "KYA!!???" Nisha ne kaha, "Haa....haa kyu ki ab tak toh tum tumne kiye hue mere katal ke pachtave mein mare hue jaise hi jee rahe the. Aur kisi mare hue ko kya maarna!! Isliye main tumhe phir se zinda karna chahti thi, tumhari zindagi mein phir se kisi ka pyaar aur khushiyan laana chahti thi, tumhare andar phir se jeene ki chaah jagana chahti thi aur phir...phir tumhe maarna chahti thi." Shaam ko maid aayi. Aaj 2 saal baad usne ussi ghar mein, ussi kamre mein phir se wohi nazara dekha. Police aayi aur postmortem ke baad yeh confirm hua ki Roshan ne aatmahatya kar li hain. Leki dar-asal iss baar Nisha...matlab ki Nisha ki rooh ne usse ussi tarah maar dala jaise aaj se 2 saal pehle Roshan ne Nisha ko maar dala tha.