☆Baithe-baithe yuhi kabhi-kabhi sochta hu,
Chalo aj main kavita likhta hu.
☆Kagaj kalam batorkar, kursi mein sarkata hu,
Maze par saadhan rakh , dimag par zor dalta hu.
☆Apne antah kararn mein pravesh kar
Karne lagta kavita ke vishaye ki khoj,
Soojha to kuchh nahi par fir bhi
Raha hi tha main soch,
Tabhi mummy ki aawaz aaa jati
Ki taiyaar ho gaya hai bhoj.
☆''Koi baat nahi, kal karunga '' kehkar
Khudko main sambhalta hu
Fir vivash ho kar kavita-lekhan ko
Mein kal par taalta hu.
☆Baithe-baithe yuhi kabhi-kabhi sochta hu
Chalo kal main kavita likhta hu.
☆Agle din pratah fir se main
Kagaz-kalam uthata hu,
Man se koi bhi vishay uthakar
Do panktiyaan likh daalta hu.
☆Ek martaba parkar dekha
Tukbandi ka namonishan nhi,
Tukbandi na ho jisme bhaiyaa
Us kavita mein jaan nahi.
☆ Shabdo ki puri mala jap li
Tukbandi lane ke liye ,
Shabdo ki khan mein chhalaang lagali
Shabdo ko milane ke liye.
☆Tukbandi hai bari vidambana
Yah baat main jaanta hu,
Fir Vivash ho kar kavita-lekhan ko
Main kal par taalta hu.
☆Baithe-baithe yuhi kabhi kabhi sochta hu,
Chalo kal main kavita likhta hu.
☆Thak-haarkar baith gaya main
Fir mili papa ki seekh,
Josh bhar gaya mujh mein jab bole
Haar ke baad hi hoti jeet.
☆ Haar n mani, raar n thani ,
Nahi miti kavita likhne ki bhookh ,
Dhyan lagakar socha maine,
Kahin na kahin to ho rahi hai mujhse chook.
☆Chook raha tha vishay-chayan mein
Kha raha tha tabhi itne jhatke,
Lena chahiye tha aisa vishay mujhko
Jo ho bakiyon se bilkul hatke.
☆Vishay-chayan hetu laga raha tha
Chakkar main sansaar ka ,
Lena chahiye tha vishay aisa
Jisse hu main guzar chuka.
☆Manan kiya, fir chintan kiya,
Fir socha kya hai meri zindagi mein bawaal ,
Mein to para hu kavita likhne ke pichhe
Lo mil gaya ek vishay kamaal.
☆Ek din n hua, do din n hua,
Bhala tisre din kaise n hota ,
Kavita banne ki hui shuruaat
Jab us vishay mein mara gota.
☆Shuru hua to likhta hi gaya,
Hath mere tez gati se bhag.
Sochna tab na par raha tha mujhe
Tukband shabd khud hi aane lage.
☆Poora din main likhta raha ,
Na ruka bhale hi ai raat kaali ,
Shabdo ka saagar aisa baha ki
Us raat maine puri kavita likh daali
☆Yah sambhav hua kyoki us din maine,
Apne dil ki baat mani ,
Iske alava us din maine
Do batein aur jaani.
☆Pehli ki, "kavita lekhan ka matlab ye nhi
Ki kon kr skta hai tukbandi bariya,
Are yah to h apne bhavo apne vicharo ko
Prakat karne ka uttam zariya"
☆Aur dusri ki, "Kavita-lekhan to kala hai aisi
Jisme sagar-tal se nikalte hai shabd-rupi moti"
Aur n bhule kabhi ki,
"Lehro se darkar noka paar nhi hoti,
Koshish karne walon ki
Kabhi haar nhi hoti, kabhi haar nhi hoti"
☆Fir main ruka nhi, fir thama nhi ,
Bas aage , aur aage barta raha.
Mere sang-sang kavitao ka silsila bhi
Uchaiyo ko chhoota raha .
☆Ab main likhne se darta nhi, katrata nhi,
Balki dusro ko bhi prerit karta hu .
Banata bahana nhi, ab garv se kehta hu :
"CHALO AJ MAIN KAVITA LIKHTA HU,
CHALO AJ MAIN KAVITA LIKHTA HU, "
..........................................