Mere Dad ki textbooks and books ki shop hai aksar college baad main dukan par baithta tha Dad ke sath aur pdhai bhi karta tha wahi.
Ek din jab main baitha hua tha toh shop par kisi ki aawaz aai maine bahar jakar dekha toh wo wahi ladki thi jise maine us din baarish main dekha tha. jab main waha gaya toh mujhe ajib nazroun se wo dekh rahi thi. main foran andar gaya aur Dad ko bahar bhej diya. aur piche chup kar use dekh raha tha.
Use chemistry ki textbook chahiye thi. maine jaisi hi suna waise hi book lene chala gaya itne mein Dad ki aawaz aai ke beta chemistry ki textbook lete aao. maine book lejakar foran Dad ko pakda kar wapis chala aaya.
Na jane kyu mujhe kuch alag mehsus hota hai us ladki ko dekh kar. naam kya hai us ladki ka. uske bare mein ab mujhe sari baatein pta lgani thi.
jab wo waha se chali gayi toh mera dost waha aaya usi waqt. usne mujhe chupke dekhte hue dekh liya. maine usse paas jakar pucha "bhai tu us ladki ko janta hai kya?" "ooho, tujhe kyu janna hai uske bare mein, waise meri college main hi padhti hai." "achha! kuch nahi usne abhi yaha se textbook li chemistry ki." achha, mujhe zara drawing book dede." "ha ruk,....le" "chal fir kal milte hai college mein" asad ye bolkar waha se chala gaya.
Aur ittefaq se 2 din pehle mera admission usi college mein hua tha. ghar mein problems ki wajah se main college gaya nahi tha. lekin ab zarur jaunga.